Skip to playerSkip to main contentSkip to footer
  • 9/3/2023
Deen e Fitrat | Speaker: Shaykh Mufti Tauqeer

Subscribe Here : https://bit.ly/3dh3Yj1

#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv

Official Facebook: https://www.facebook.com/ARYQTV/
Official Website: https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live : http://live.aryqtv.tv/
Programs Schedule: https://aryqtv.tv/schedule/
Islamic Information: https://bit.ly/2MfIF4P
Android App: https://bit.ly/33wgto4
Ios App: https://apple.co/2v3zoXW
To Watch More Click Here: http://aryqtv.tv
Transcript
00:00 As-salamu alaykum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
00:18 Alhamdulillah wa kafa wa salamu 'ala ibadihi allatheena asthafa amma ba'n.
00:23 Fa'udhu billahi minash shaitanir rajim.
00:25 Bismillahir rahmanir rahim.
00:27 Wa ibadur rahman allatheena yamshuuna 'ala al-ardi hauna.
00:32 Subhana rabbika rabbil 'izzati 'amma yasifoon.
00:34 Wa salamun 'ala al-mursaleena walhamdulillahi rabbil 'alameen.
00:38 Allahumma salli 'ala sayyidina wa nabiyyina Muhammad wa 'ala aali sayyidina wa habibina
00:42 Muhammad wa barik wa sallim.
00:46 Hum sab log insan hain. Allah ta'ala na hum sab ko insan banaya hain. Aur hum sab barabar hain. Koi rang, koi nasal, wo kisi ko kisi se behtar nahi banati hain. Ek baut important concept hai. Kyunke ye cheez Islam ne humko sikhayi hain. Humayi insaniyat ki taarikh padeyen to log nasalon ki wajah se, log rang ki wajah se, zabaan ki wajah se, nationalities ki wajah se, kabilon ki wajah se.
01:16 Apne aapko doston se behtar samajhte hain aur samajhte the.
01:20 Lekin Islam ne aanke is concept ko khatam kiya hai.
01:25 Ki hum sab insan hain. Allah ta'ala ne hum sab ko banaya hain.
01:28 Aur fazilat ka meyaar ki hum kaun doston se behtar hai. Who is better than others.
01:35 It's not based on ki aapki what's the color of your skin.
01:40 Yiske upar nahi hain. Ki aap kahan se aayin hain. Isme nahi hain.
01:43 Allah ta'ala firmaatein ki inna akramakum indallahi atqaakum.
01:47 Ki Allah ke nazdeek aapme sabse zyada ikram wala, the most honorable amongst all of you is the one who has the most taqwa.
01:55 Jisme khuda khaufi zyada hain. Jo Allah ta'ala ki maan ke chalta hain. Jo Allah ta'ala ki batayi hui baaton pe amal karta hain.
02:03 Wo hai Allah ke nazdeek sabse zyada respectable insan.
02:07 Wo kisi bhi rang ka ho, kisi bhi nasal ka ho, kisi bhi khitte se ho, koi bhi zabaan bolta ho, isse koi faraq nahi padta.
02:15 Agar koi shags apne aapko doosre se behtar samajhta hai, kisi bhi bajasa,
02:22 wo wajah shakal surat ho sakti hain, wo rang ho sakta hain, wo zabaan ho sakti hain, wo tribe ho sakta hain,
02:29 wo ilm ho sakta hain. Kabhi kabhi insan jiske paas zyada ilm hota hain, wo duniya ka ilm ho aur ya deen ka ilm ho.
02:36 Kisi bhi vanas agar ek insan doosre se apne aapko behtar samjhe, to isko arrogance kahte hain, isko takabur kahte hain.
02:44 Aur Allah ta'ala ko yeh sakt na pasang hain.
02:47 Allah ta'ala ki ek sift hai al-mutakabbir.
02:51 Bada hone ka haq sirf Allah ko hain, Allah ta'ala ko hain. Allahu Akbar.
02:57 Allah ki zaad sabse badi hain. Baaki saari makhloog to Allah ki makhloog hain.
03:02 To koi bhi insan khud se apne aapko bada nahi keh sakta.
03:09 Agar Allah ta'ala kisi ko bada kahein, wo bada hain.
03:12 Anbiya alaihimu s-salatu wa s-salam, wo sabse zyada fazilat wale log hain, insaniyat ke andar.
03:19 Aur uske andar bhi, afdalul anbiya, sabse zyada fazilat wale nabi, hamaare nabi kareem, aakhri nabi Sayyidina Muhammad sallallahu alaihi wa sallam hain.
03:29 To jisko Allah ta'ala fazilat wala keh deyin, wo fazilat wala hain. Uska, he is virtuous.
03:33 Lekin koi shaks apne aapko bada nahi keh sakta.
03:38 Arrogance, takabbur, jaise maine kahan ki Allah ta'ala ko sakht na pasand hai.
03:43 Ek hadith-e-mubarakah mein aata hai ki Nabi Kareem alaihi s-salatu wa s-salam mein fahar maaya hai ki
03:46 laa yadkhulul jannat man kaana fee qalbihi mithqaalu zarratin min kibar.
03:52 Keh wo shaks jannat mein jaahi nahi sakta, jiske dil mein raayi ke daane ke barabar bhi takabbur hoka.
03:59 Even equal to the weight of a mustard seed, even this much.
04:05 Itna bhi takabbur Allah ta'ala ko bardaash nahi hai, keh insaan apne aapko doosre se kisi bhi wajah se behtar samjhen.
04:14 Ab ye toh bhoti dangerous baat hai, keh wo shaks jannat mein hi nahi jaa sakta.
04:20 Log sawal karte hain lekin imaan wala toh jannat mein jayega.
04:23 Ji bilkul jayega, inshaAllah.
04:25 Jaise humaar aqeeda hai, Quran mein hai.
04:27 Lekin, kya sab log guaranteed hai ke agar uske dil mein imaan hai, toh wo direct entry uski jannat mein hogi, toh aisa toh nahi hai.
04:36 Ye toh kahin bhi na Quran se sabit hai, na hadith se sabit hai.
04:39 Jo log zalim hai, jo log oppressive hai, wo toh agar unhone tauba na ki, toh phir toh direct entry jannat ki koi guaranteed nahi hai.
04:50 Aur unmein se jo guaranteed humari khatam karte hai cheez, usmein se sare phere sabse on top of the line, toh takabur hai, arrogance hai.
04:58 Toh please hum apne andar, apne dil ke andar jhang ke dekhen.
05:02 Bohot gehrahi se jhang ke dekhen, ke kya humare dil ke andar arrogance toh nahi hai.
05:08 Ye arrogance bohot subtle cheez hai. Kabhi kabhi bohot obvious hoti hai.
05:11 Lekin kabhi kabhi bohot subtle bhi hoti hai.
05:14 Hum apne aapko kisi se behtar samjh rahe hote hain, lekin humein is cheez ka aisaas hi nahi hota.
05:19 Toh ek dil mein nazar daalein, ek apne upar, apna muhasba karein, apne aapko assess karein.
05:26 Aur dekhen ki hum kahin apne aapko kisi se behtar toh nahi samjh rahein.
05:31 Kabhi hum log jaise maine ka ke ilm hasal karte hain, aur apne aapko ilm ki wajah se doosra se behtar samjh rahe hain.
05:36 Kabhi humare paas paise hote hain, Allah ta'ala ne humko maal diya hai doosra se zyada, aur hum apne aapko doosra se behtar samjh rahe hain.
05:44 Hum kisna ki gaadi chalanein? Agar hum badi gaadi chalanein, koi SUV chalanein for example,
05:50 aur doosra banda jo hai, wo normal gaadi mein safar kar raha hai, toh apne aapko log behtar samjh nahi shuru ho jate hain.
05:56 Aur uska assess karne ka bada behtreen tariqa hai ki for example, koi conflict ho jayein.
06:03 Gaadi ki misaal agar hum de rahe hain, toh for example, ki hum road pe traffic stuck hai,
06:08 ya kisi ne gaadi jo hai wo paas ki, aur usne ghalat tariqa se paas kar di humare saamnein, sab wo gaadi humare se choti hain.
06:15 Toh hume kitna gussa aata hai, kya us gussa ki baniyat diye hai, ki dekho iski gaadi,
06:21 choti se gaadi chalana raha hai, aur iski harkate dekho, log isra se react karte hain na.
06:25 Toh assess karne apne aapko. Allah ta'ala ko aajzi pasand hai, jo ke opposite hai arrogance ki, humility.
06:35 Allah ta'ala ko pasand hai.
06:38 Shuru mein main ek ayat-e-mubarak ka uska ek chota sa tukda uski tilawat ki.
06:45 Wo surat-ul-furqan ki aakhir mein Allah subhanahu wa ta'ala ne kuch logon ka zikar kiya hai,
06:50 jinko Allah ta'ala ne 'ibadur-rahman' ka hai. Rahman ke bande hain.
06:55 Ab Allah ta'ala firma sakte the ki 'ibadullah' hain, Allah ke bande hain.
06:59 Lekin Allah ta'ala ne unko jo title diya hai, wo 'ibadur-rahman' ka title hain.
07:03 Rahman wo zaat hai jiski rahmat bohot wasi hain. Extensive mercy jisko kehte hain.
07:09 Do, rahm ki bohot saari sifat hain. Ek Rahman hai, ek Rahim hai. Rahman hota hai extensive mercy.
07:17 Rahim hota hai intensive mercy.
07:20 Toh wo zaat jiski extensive mercy hai, jiski rahmat bohot wasi hain, pheli hui hain.
07:26 Uske bande, uske bande kaun hain?
07:30 Yani yeh wo log hain, jenke upar Allah ta'ala ki bohot extensive mercy haati hain.
07:35 Bohot hi wasi rahmat unke upar Allah ta'ala ki naazil hoti hain.
07:39 Unki khususiyat Allah subhanahu wa ta'ala ne di hain.
07:43 Aur usme se pehli sifat jo Allah ta'ala ne zikar kiye hai, wo hi hain,
07:46 'kau 'ibadur-rahman'. Yeh Rahman ke bande wo hain,
07:49 'al-nadheena yamshuuna 'alil-ardi hauna'.
07:52 Jo zameen par aajzi ki chaal chalte hain. Humble walk.
07:56 Unke chalne se pada chalta hain ki yeh log aajiz hain.
07:59 Unke andar aajzi hain. Unke andar humility hain.
08:03 Unko aap dekh ke bata sakte hain.
08:06 Jo kuch insaan ke andar hota hain, wo insaan ke bahar zahir ho jata hain.
08:11 Agar insaan arrogant ho, to uski baat se pada chal jata hain ki yeh arrogant insaan hain.
08:16 Jis tariqah se the choice of words that he uses.
08:19 Jis tarah se wo alfas ka chunau karta hain.
08:23 Jis tariqah se wo baat karta hain.
08:25 Koi bhi log jaye baat baat pe maazallah gaali dete hain.
08:29 Abusive words use karte hain.
08:32 Log bore alfas ka istamaal karte hain.
08:34 Jab unko gussa aajaata hain to,
08:36 jis tarah unke chehre surkh ho jata hain.
08:38 Jis tariqah se wo izhaar karte hain apne aap ka,
08:41 usse pata chal jata hain ki yeh log arrogant hain.
08:44 Yeh log apne aap ko kuch samajhte hain.
08:46 Jaise maine ka, kuch log ke baas maal hota hain.
08:49 Aur jis tariqah se wo behave karte hain apne employees ke saath,
08:52 apne subordinates ke saath.
08:53 Wo log jo unke liye kaam karte hain.
08:56 Hamare gharon mein kabhi kabhi log helpers hote hain,
08:59 kaam karte hain hamare ghar mein log.
09:02 Aap dekhiye kya hum unko respect dete hain?
09:05 Kya hum unki izzat karte hain?
09:07 Wo bhi toh insaan hain na?
09:09 Kabhi kuch khawateen kaam karte hain gharon ke andar,
09:12 safai ka kaam karte hain,
09:13 bartand dhoti hain,
09:14 khaane banate hain.
09:15 Jo wo ghar mein aate hain kaam karte hain,
09:18 wo insaan hain.
09:20 Jis bhi background se ho, ek sawaal hain,
09:22 kya hum unko bhi hasit insaan respect dete hain?
09:25 Hum kya unko wohi khaana khilate hain,
09:29 jo kya hum khud khaate hain?
09:31 Main toh note kiya hain,
09:32 khas toh aur pe maare Pakistani maushara ke andar
09:35 main ye cheez note kiye hain,
09:36 kuch gharon ke andar,
09:37 ke unke bartand bhi bilkul alag,
09:39 toote poote bartand.
09:40 Jo khaana unko diya jaata hain,
09:42 toh jo khaane me se,
09:44 jo behtreen choice hoti hain,
09:46 ye pieces of meat for example,
09:49 jo best of the food hota hain, wo apne liye rakhte hain,
09:52 aur jo kharab khaana hota hain, wo unke liye rakhte hain.
09:56 Wo bhi kisi ki maa hain,
09:57 kisi ki beti hain,
09:58 kisi ki behen hain,
10:00 jis tarah humari maa hain,
10:01 behne hain, beti hain,
10:02 wo bhi toh kisi ki maa, behen, beti hain.
10:04 Toh kya hum usko izzat dete hain?
10:07 Thodi der ke liye hum assume karein,
10:09 thodi der ke liye soch hain,
10:11 kuch reflection,
10:12 ki Allah na karein,
10:14 ki humari waalda, humari behen, humari beti,
10:17 wo kisi ke ghar kaam karne chale jaayin.
10:19 Khuda na khasta.
10:21 Toh agar wo log uski beizzati karein,
10:24 aur beizzati bohot tariqa se hoti hain,
10:26 patkismati se,
10:27 lekin agar wo usko sahi khaana na deyen,
10:29 uske saath battameezi karein,
10:31 usse sahi tariqa se baat na karein,
10:33 toh humein kaisa lagega?
10:35 Ya humari behen ko kaisa lagega?
10:36 Humari beti ko kaisa lagega?
10:38 Humari waalda ko kaisa lagega?
10:40 Hum tohda socha karein, right?
10:42 Toh kya hum unke saath wohi rawaya rakhte hain,
10:46 unkah taht na tariqa se hum apni maa, behen, beti ke saath rakhenge?
10:49 Nabi Karim (A.S) ne toh firmaaya,
10:51 ki tum misse koi shaks momin ho hi nahi sakta,
10:54 jab tak ke wo doosre ke liye wo pasand na kare,
10:56 jo apne liye pasand karta hai.
10:58 Yeh lamah-e-fiqriya hai.
11:00 Iska matlab hain ki humarein dar arrogance hai.
11:03 Toh jo insaan ke andar hota hai,
11:06 wo insaan ke bahar nazar aata hai.
11:08 Toh Allah Ta'ala firmaa rahe hain ki yeh shlok,
11:12 jo zameen pe aajzi ki chaal chalte hain,
11:14 iska matlab hain ki inke andar humility hai.
11:17 That's why they are walking the way they are walking.
11:19 Unko dekh ke pata chalta hai yeh aajiz log hai.
11:22 Bade status wale log ho sakte hain,
11:24 bahut ilm wale log ho sakte hain,
11:25 unko dekh ke pata hi nahi chalta ke inke andar kitna ilm hai.
11:28 Ek aam jaise bande hote hain.
11:30 Aam logon ki tarah react karte hain,
11:31 logon ki saath ghulmil jaate hain,
11:33 logon se ussi tarah baat karte hain,
11:34 jaise koi bhi baat karte hain.
11:36 Wo PhD ho sakta hai,
11:37 wo ek bahut bada aalim ho sakta hai,
11:39 bahut bada mufti ho sakta hai,
11:41 uska koi bahut jabardast background ho sakta hai,
11:44 wo bahut bahaldar aadmi ho sakta hai,
11:46 lekin jis tarah, jis tariqe se wo logon se baat karta hai,
11:49 pata hi nahi chalta,
11:50 Allah ki khususi rahmat hai aise logon pe,
11:53 nazil hoti hain, yeh Quran keh raha hai.
11:56 Main aur misaal deta hoon,
11:58 apne maushalay ki misaal mein de raha hoon.
12:00 Hum khareetne jaate hain,
12:01 koi phal, koi fruit,
12:03 aur log fruit carts pe,
12:05 phal bech rahe hote hain,
12:06 redi langahi hoti hain,
12:08 wo bichara saara din garmi mein,
12:10 wo bura aadmi,
12:11 aksar logon ko dekha hai,
12:12 wo bude bude logon hote hain,
12:14 lekin jis tariqe se hum unke saar deal karte hain,
12:17 right,
12:18 the way that we talk to them,
12:19 wo humare walet ki umar ka kabhi hota hai,
12:21 humare badon ki umar ka hota hai,
12:23 lekin log unke saad bhi battameezi karte hain,
12:26 buray tariqe se baat karte hain,
12:28 iska matlam hai,
12:29 just the fact ke wo banda predi laga raha hai,
12:33 wo gharib aadmi hai,
12:34 aur humare paas maal hai,
12:35 hum ek achi gadi chala ke jaate hain,
12:37 aur usse fruit kharite hain,
12:38 toh humara fars banta hai,
12:40 ke hum be hasit e insaan uski izzat karein,
12:43 apne aap ko usse behtar na samjhe,
12:45 yeh Allah taala ki takseem hai,
12:47 ke Allah taala ne kisi ko zyada maal diya,
12:50 kisi ko kam maal diya,
12:51 yeh distribution Allah ki taraf se aayi hai,
12:53 isme na mera kamal hai,
12:54 na aapka kamal hai,
12:55 hummise kisi ka kamal nahi hai,
12:57 yeh Allah taala ne duniya ka nizam aise chalaaya hua hai,
13:00 aur Allah taala ne duniya ka nizam isliye chalaaya hai,
13:03 kyunke yeh zaruri hai,
13:04 kisi ko mechanic banna hai,
13:08 kisi ko fruit bechna hai,
13:11 kisi ko companies ka CEO banna hai,
13:13 right,
13:14 agar yeh saare ke saare kaam na ho,
13:19 yeh saare ke saare logon ke paas,
13:22 yeh saari designations na ho,
13:24 toh duniya ka nizam nahi chal sakta hai,
13:26 toh yeh Allah taala ki takseem hai,
13:28 dekin iska matlab ka thaan yeh nahi hai,
13:30 ke hum kisi ko apne se chota samjhein,
13:33 please,
13:34 sab insaanon ki izzat karein,
13:36 sab se pyar karein,
13:37 sab ka khayal karein,
13:38 unke bhi jazbaat hai,
13:40 unke bhi aisaasat hai,
13:41 unke bhi gharwale hai,
13:42 unke bhi bibi hai,
13:43 bachche hai,
13:44 waldein hai,
13:45 unko bhi takleef pe takleef hoti hai,
13:47 unko bhi dukh hota hai,
13:48 unke saath bhi koi buray tariqah se baat karein,
13:51 toh unko bura lagta hai,
13:53 unka bhi dil dukhta hai,
13:56 aur sab se badkar jaise maine kaha,
13:58 ke Allah taala chaate hain,
14:00 ki hum sab ki izzat karein,
14:01 sab ka ikram karein,
14:03 sab ko respect deyin,
14:05 aur kisi ke dil mein,
14:07 agar zarra barabar,
14:09 even a particle's weight,
14:10 zarra barabar bhi takabbar hoga,
14:13 Allah taala ke farmaarein,
14:14 ki main isko channat mein nahi daakhil kar sakta,
14:16 at least not with the first entrance,
14:19 first entrance mein toh,
14:20 nahi jaa sakta hai yeh banda,
14:22 is bandein ne kaise samjha ki yeh,
14:24 doosre se behtar hai,
14:25 behtar toh,
14:26 mere nasdeek wo hai,
14:28 Allah taala yeh farmaarein hai,
14:30 ki mere nasdeek,
14:32 sabse behtar toh wo hai,
14:34 jo Allah taala ke imaan ke chalta hai,
14:37 shariat pe amal karta hai,
14:38 sunnat pe amal karta hai,
14:39 Nabi Kareem alaihi salatu was salam ki,
14:41 yeh hai izzat ka meyaar,
14:42 aur wo bhi Allah ke nasdeek hai,
14:44 wo bhi Allah ko pata hai,
14:45 kisi ko nahi pata,
14:46 ki koon Allah ke nasdeek,
14:47 zyada respectable, honorable hai,
14:50 hum nahi kaisakte,
14:51 yeh Allah aur bande ka maamla hai,
14:53 humara kaam yeh hai,
14:55 ki hum sab ka khayal karein,
14:57 sab ke baare mein sochein,
14:58 jis tarah hum kisi bhi,
15:01 us shaks ko,
15:02 jis ko Allah ne duniya mein status diya hai,
15:04 uski izzat kartein,
15:06 humein chahiye,
15:07 ki hum unlongi bhi izzat karein,
15:08 jo ki duniya mein itne status wale nahi hai,
15:10 Allah taala hum sab ko taufeeq ataafin maine,
15:13 ki hum logon ki izzat karne wale banein,
15:17 irrespective of race,
15:19 irrespective of even religion,
15:21 irrespective of colour,
15:23 irrespective of the language that we speak,
15:25 the tribes that we are from,
15:27 jahan se bhi,
15:28 jo bhi humara background hai,
15:29 zaban, nasal, rang, deen,
15:32 hum sab logon ki izzat karein,
15:34 Allah karein ki humare andar yeh quality aaye,
15:37 taake hum Allah taala ki khususi rahmat paane walon mein ho jayein,
15:41 InshaAllah ek chhoti si break letein,
15:43 aur break ke baad aapke kuch sawalon ke jawab denge,
15:45 InshaAllah taala ap apne sawalat email kar saktein,
15:48 deenfitrat@arydigital.tv par,
15:51 ye email address aapki screen pe nazar bhi aara hoga,
15:54 InshaAllah break ke baad sawalon ke jawab ke saath hazir hotein,
15:58 Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,
16:00 welcome back,
16:01 aapke sawalon ke saath hazir hain,
16:03 aap apne sawalat email kar saktein,
16:05 deenfitrat@arydigital.tv par,
16:09 kuch logon ne kaha ki ye email karna hume bada mushkil lagta hai,
16:13 mujhe nahi malom ki uske waja kya hai ki mushkil lagta hai,
16:16 kyunki email toh baudh aasaan hai,
16:18 aaj kar har phone ki upar logon ke paas email access hota hai,
16:22 mera khayal hai mujhe toh personally zyada aasaan lagta hai email karna,
16:26 bichaye whatsapp ke,
16:28 whatsapp asal mein zyada maare jo live programs hotein hain,
16:33 usme whatsapp use kartein,
16:35 lekin jo recorded programs hotein uske andar email zyada aasaan hai humare liye,
16:41 toh basically jo program ka naam hai deenfitrat,
16:46 wo shuru me hai deenfitrat@arydigital.tv,
16:52 bahut aasaan email address hai,
16:54 inshaAllah taala aap koshish karein ki email hi karein,
16:57 taake humare liye access karna bhi aasaan hoga,
17:00 aur inshaAllah aapke sawalon ke jababat bhi hum dete rahenge,
17:04 ek sawal aaj ke program se mutaalik,
17:08 main sawal ka jawab deta hu ussi mein aapko sawal samajh mein aajaayega,
17:16 humare naujawan bachche, humari bachcheyan,
17:19 college jaane wale bachche, universities jaane wale bachche,
17:24 unke andar bhi ye jo arrogance ka factor hai, ye bahut zyada hota jaa raha hai,
17:30 jaise maine kaah ke kayi bachche jo hai, wo because they are intelligent,
17:35 wo Allah taala ne unko zihin zyada betar diya hua hai,
17:38 aur doosre bachche who are not so intelligent,
17:41 jo ke itni jaldi pick nahi kar sakte cheezon ko,
17:43 wo unka mazaak udhate hain, wo unko dumb samajhte hain,
17:46 wo samajhte hain ki unko toh kuch nahi aata hai,
17:49 dekhe mare bachcho, it's dangerous,
17:51 jaise maine kaah ke ye bilkul Allah taala ko pasand nahi hai,
17:55 baat ke hum kisi ko kam samjhen,
17:58 theek hai, Allah taala ne unko zihin itna shayad,
18:02 sharp nahi diya, jaise doosron ko diya hai,
18:05 lekin kisi ka mazaak udhana, iski base ke upar ye toh bilkul theek baat nahi hai,
18:09 koshish karni chahiye, ke hum apne aap ko samjhayein,
18:13 ki ye jo mere paas zain hai, ye mera kamal nahi hai,
18:16 ye Allah taala ki deen hai, aur kisi ke paas samajh itni zyada nahi hai,
18:20 toh ye bhi uska kusur nahi hai,
18:24 toh inshaAllah apne aap ko samjhayenge,
18:26 us hadith mubarakah ko saamne rakhenge,
18:28 ke Allah taala sakht aaraaz hote hain,
18:30 aisa banda direct entry into paradise qaalban ho sakta hai,
18:34 ke na ho, jis bande, jis bande ke andar arrogance hoti hai,
18:39 toh inshaAllah taala hum apne aap ko behtar bana sakte hain,
18:43 aur waise bhi human respect ek humanity ka basic ideology hai,
18:50 ke hum har insaan ki respect karein,
18:53 humare class walas ki respect karein,
18:55 apne erd ke logon ki respect karein,
18:57 cholog aur jobs karein hain unki respect karein,
19:01 sabki respect karein,
19:03 aur issi tarah se log shakal ka mazaak wadaate hain,
19:06 agar kisi ko Allah taala ne achi shakal diye hain,
19:08 dusre bande ki shakal us tara ki nahi hai,
19:12 jaise ki kisi ki hai,
19:13 kisi ka naag aisa, kisi ki aankh hai aisi, kisi ka rang aisa,
19:17 toh please again, wo bhi Allah ka banda hai,
19:19 insaan hai, please uski respect karein.
19:22 Dusra sawal ye hai ki agar main apne indar arrogance feel karoon,
19:27 aaj mujhe isaas hua ki arrogance nahi honi chahiye,
19:30 toh itni khatarnak jeez hai, toh main kya karoon?
19:33 Toh uska asaan se hal ye hai,
19:36 ke please, ek thodi si self reflection.
19:41 Main ek waqt tha, bacha tha, chota sa,
19:45 hum saare chote bache the,
19:47 hum sab apni maa ke peht me the,
19:49 aur Allah taala na main is duniya mein bheja,
19:52 toh us waqt humari kya halat thi?
19:54 Wo hum hi the na,
19:56 hum apne karwat bhi nahi badal sakte the,
19:58 we could not even change our sides,
20:00 humare paas koi ikhtiyar nahi tha,
20:02 humare moonme daad bhi nahi the,
20:04 right, we were absolutely dependent on our parents,
20:07 aur logon par, hum bilkul unke upar dependent the,
20:12 phir Allah taala, Allah taala na main takat di,
20:14 Allah taala na main bada kiya,
20:16 you know we did not choose our features,
20:20 we did not choose our heights,
20:23 na humne apni heights choose ki,
20:25 na humne apni features choose ki,
20:27 na humne apna khandaan choose kiya,
20:30 jab humne khud choose hi nahi kiya,
20:32 toh phir mera kya kamal hai?
20:34 Iske alawa bhi apne upar ghor karna chahiye,
20:36 ke meri haqiqat kya hai,
20:38 what's my reality?
20:39 Right, agar koi insaan do din ghusl na le,
20:44 if he doesn't take a bath for like a couple of days,
20:47 toh insaan people start stinking,
20:49 uske andar se badboon aani shuru ho jati hai,
20:51 insaan apne daan saaf na kare,
20:53 ek din, do din,
20:54 toh uske moon se badboon aani shuru ho jati hai,
20:56 we are so much dependent to go to the toilet,
20:58 right, hum jo khaate hain,
21:00 wo sab waste ke zariye se nikal jata hai,
21:03 and it's smelly, ye toh humari haqiqat hai,
21:06 hum log ye hai, humare andar itni weakness hai,
21:12 toh apne baare mein sochna chahiye,
21:15 ke ye meri asal haqiqat hai,
21:17 toh phir inshaAllah taala,
21:19 insaan ke andar se aromas jati rahegi,
21:21 kyunke if this is me, right,
21:23 agar ye main hoon, toh saari aise hain,
21:27 main bhi aise hoon, wo bhi aise hain,
21:29 hum sab aise hi hain,
21:30 toh agar temporary kisi ke us maal hain,
21:33 ya temporary kisi ke paas beauty hain,
21:36 aur with age, beauty also fades away,
21:39 insaan ka khubsurti bhi chali jati hai,
21:42 waqt ke saath saath,
21:43 toh ye toh sab temporary hain,
21:45 balke kai loon ka maal bhi chala jata hai,
21:47 mohot saari loon ke status chali jate hain,
21:49 kitne loon hote hain,
21:50 itne bade status wale hote hain,
21:52 and end up being, you know, nobody,
21:55 toh insaan ko sochna chahiye,
21:56 jo kuch humare paas hai,
21:57 wo itna temporary hain,
21:59 aur ye sab imtehaan,
22:00 it's a test from Allah,
22:01 and at the end of the day,
22:02 we are all going to go back to Allah,
22:03 Allah taala ke baaz wapas jayenge,
22:05 ek din humari maut aajaegi,
22:07 aur humko kabar mein, matti ke andar dafna diya jayega,
22:09 yeh humeri haqeeqat hai,
22:10 yeh aapki haqeeqat hai,
22:11 hum sabki haqeeqat hai,
22:13 self-reflection, inshaAllah,
22:15 aur bohot mujhe Allah se umeed hai,
22:18 agar hum self-reflection bhi kare,
22:20 aur Allah taala se dua bhi karne chahiye,
22:21 ke Allah main apne aapko arrogant feel karta hu,
22:25 aap please ye toh meri spiritual disease hai,
22:27 ye rohani bimaari hai,
22:28 mere dil se nikal dijiye,
22:29 aur inshaAllah taala,
22:30 Allah taala ki taraf se madad bhi aati hai,
22:32 toh Allah taala humko khush rakhe,
22:34 inshaAllah,
22:35 will come back with the next episode next week,
22:37 aap apne sawalat email karte rahiye,
22:39 inshaAllah taala aap se agli hafta mulaqat hogi,
22:41 Salam o alaikum wa rahmatullah wa barakatuh.
22:44 [Music]
22:58 [BLANK_AUDIO]

Recommended