Aks e Khushbu Hoon Bikharne se no rokay koi aor bikhar jaon to mujhe ko na samaitay koi kanp uthati hoon mein yeh soch ke tanhai mein mere chehre pe tera naam na parh le koi jis tarah mere khawab ho gaye raiza raiza is tarah se na kabhi toot ke bikharay koi mein to us din se hirasaan hoon k jab hukam milay khushak phoolon ko kitabon mein na rakhay koi ab to is rah se woh shakhs guzarta hi nahin ab kis umeed pe darwazay se jhankay koi koi aahat koi awaaz koi chaap nahin dil ki galiyan bari sunsaan hein aye koi