Cover Credits Singer: Rida Shah Music Arranger : Munir Mann Mann's Audio Studio. Presents By STN (Sada TV Network)
Jane wale humari mehfil say Chaand taaro ko sath leta ja Hum khizaan se nibah ker len ga Tu baharo ko sath leta ja
Achi soorat ko sanwarne ki zarorat kya hai Saadgi main bhi qayamat ki ada hoti hai Tum jo aa jate ho masjid me ada kerne namaz Tum ko maloom he kitno ki qaza hoti hai
Koi hansay tu tujhe ghum lage hansi na lage Kay dil lagi bhi tere dil ko dil lagi na lage Tu roz roya kre outh k chaand raato main Khuda kare tera merey begar ji na lage
Tanhai me faryaad tu ker sakta ho Virane ko abad tu ker sakta ho Jab chaho tumhe mil nhi sakta lekin Jab chaho tumhe yaad tu ker sakta ho Koi bhi waqt ho hans ker guzar leta ho Khizaan ka dor me ehad-e-bahar leta ho Gul o se rang sitaroon se roshni le ker Jamal-e-yaar ka naqsha utar leta ho
Us k nazdik ghum-e-tark e wafa kuch bhi nahi Mutmain aesay hain wo jese huwa kuch bhi nahi Ab tu hathon se lakeeren bhi mitti jati hain Us ko kho ker tu mere pass raha kuch b nhi
Kal bicharna tu phir ehad-e-wafa soch k bandh Abi aghaz-e-mohabbat he gaya kuch b nahi Main tu is wastay chup ho k tamasha na bane Tu smajta he mujhe tujh se gila kuch b nahi
Sochta ho kay wo kitne masoom thay Kya se kya ho gaye dekhte dekhte Main ne pathar se jin ko banaya sanam Wo khuda ho gaye dekhte dekhte
Jin pathro ko hum ne ataa ki thi dharkane Wo bolne lage tu hum hi pe baras pare Mera hathon se tarashay howay pathar k sanam Mera hi samne Bhagwan banay bethe hain
Hashar hai wehshat-e-dil ki awargi Hum se pucho mohabbat ki deewangi Jo pata puchte the kisi ka kabhi La pata ho gaye dekhte dekhte
Hum se ye soch ker koi wada karo Ek waday pe umeren guzar jain gi Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa Bewafa ho gaye dekhte dekhte
Din chup gaya sooraj ka kahi naam nhi hai O wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai Shab-e-wada ye raha kerte hain baten dil se Dekhain yaar aata he pehle ka qaza aati he
Kal se be kal ho bhala khaak mujhe kal aaye Kal ka wada tha na wo aaj aaye na wo kal aaye Roz ka intezar kon kare ap ka aitabar kon kare Ho chuka wada k kab aaiye ga dekhye ab na bhool jaiye ga
Bhala koi wada khilafi ki had he Hisaab apne dil me laga ker tu socho Qayamat ka din aa gaya rafta rafta Mulaqat ka din badalte badalte
Hum se ye soch ker koi wada karo Ek waday pe umeren guzar jain gi Ye he dunya yahan kitne ehal-e-wafa bewafa ho gaye dekhte dekhte
Ghair ki baat tasleem kya kijye Ab tu khud per bhi hum ko bharoosa nhi Apna saya smajhte the jin ko kabhi Wo juda ho gaye dekhte dekhte
Sochta ho kay wo kitne masoom thay Kya se kya ho gaye dekhte dekhte..!! VFX & Post:-Qaiser Ghauri