Aisi Kya Baat Bata Di Hai Udaasi Ne Tujhe Yeh Jo Tu Mujh se Bohat Door Hua Jata Hai such kahon phir mein kabhi jhoot nahin bol saka neeli aankhon ki qasam jab bhi uthai mein ne tu to bas aisay hi naraaz hua hai mujh se tere naraz ruvayie ke tashadud ke sabab mera har zakhm hi nasoor hua jata hai mein ne teri to koi baat na ki thi us se mein to ghul mil ke bhi us par kabhi na khul paya aarzoon ke sattar kitne chuphaye mein ne tu ne phir mujh ko badamne dareeda samjha raat to raat rahi is ka gilla kya karna mujh ko har din mein bhi bas khawab gazeeda samjha in alamnaak hawadas se bharay jeevan mein har shabe hijar hosh ruba katoon ga ab kisi jurm ka ilzaam lagay na lagay mein tujhe yaad to karnay ki saza katoon ga kya pata ab mein tujhe yaad rahon ya na rahon tujh se mumkin hai mera aks bhi gum ho jaye ho bhi sakta hai tere haath uthen mere liye ho bhi sakta hai ke yoon mujh pe karam ho jaye aalim e sog hai aankhon ko to nam rehnay do yeh na ho baad mein tardeed e alam ho jaye tu yeh kiyon hosh mein betha hai bata mere kaleem dil to jal jal ke mera toor hua jata hai