Usay Mana kar Bhi Hum Ne Dekh Liya Dil Jala Kar Bhi Hum Ne Dekh Liya ab usay yaad hum nahin aatay door ja kar bhi hum ne dekh liya kitni veeranian hein aangan mein ghar saja kar bhi hum ne dekh liya woh jo kehta hai mujh ko harjai us ko chah kar bhi hum ne dekh liya ab bhi aankhon mein chubhan baqi hai ashak baha kar bhi hum ne dekh liya woh kisi tor mil nahin paya sab ganwa kar bhi hum ne dekh liya woh mera zabt aazmaata hai hath chura kar bhi hum ne dekh liya