Noha Credits: Noha: Dil Hai Karbala Main Nohakhwan: Mesum Abbas Poet & Composer: Mazher Abidi Backing Vocals: Rajab Ali, Munawwer Ali, Amanat Ali & Ghulam Abbas Recorded at ODS Studios by M. Ovais Qureshi & M. Aamir Qureshi Mixed and Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - Karachi)
Video Credits: Director: Ali Arman Baltistani (TNA Productions) D.O.P: Asad Purki Edit & Post: M. Junaid Qureshi (JQ Productions) Art Director/Cover Creatives: Yawer Damani (YAD Graphics) Stills & Artwork Photography: Yawer Damani Social Media Management: Mussaib Sajjad (IND) Web Design: Asad Rizvi (USA) Sarparast & Chief Organizer: Syed Baqar Naqvi (USA) Special Thanks: Anjuman e Tiflan e Muslim (as) English Subtitles & Translation: Ahmed Virani (USA)
LYRICS: Ya Hussain (as)
HUSSAIN AS Ne Apna Dil ALLAH SWT Ko Ata Kiya Aur ALLAH (swt) Ne HUSSAIN (as) Ko Laakhon Dil Ata Kiye
Karbala Karbala Karbala Karbala Karbala Karbala
Ishq E KHUDA SWT..Karbala Dars E Wafa..Karbala Raahnuma..Karbala Raah E Baqa..Karbala
Ghum Ki Dawa.. Haq Ka Pata.. Deen Ki Sada.. RAB Ki Ata..Karbala
Seeno'n Mein Hai Karbala Zehno'n Mein Hai Karbala Dharkano'n Mein Karbala Saanso'n Mein Hai Karbala
Jo Kabhi Na Ja Saka..Karbala Ho Ke Jo Bhi Aa Gaya..Karbala Sun Sako To Do Dilo'n Ki Ek Hi Sada Hai
Dil Hai Karbala Mai Dil Mai Karbala Hai
Sote Jagte Nigaah Mein Haramsara Hai
Dil Hai Karbala Mai Dil Mai Karbala Hai
1) Zindagi Mein Aisa Koi Shakhs To Dikha Nahi Jo Ye Keh De Karbala Mein Manga Aur Mila Nahi Dhoondhte Ho Tum Kaha'n, Hai Yahi'n Pe La Maka'n Karbala HUSSAIN Ki, HUSSAIN Ka Khuda Hai
2) Is Qadar Buland Ye Zameen Be Sabab Nahi Tashnalab Ki Sarzamee'n Pe Koi Tashnalab Nahi Rizq, Ilm, Aagahi, Mil Rahi Hai Zindagi Jis Ke Haath Kat Gaye Yahan Wo Bant'ta Hai
Karbala Karbala Karbala Karbala Karbala Karbala
IMAM JAFAR E SADIQ AS Farmate Hain Momino Karbala Jaya Karo Taki Tum Jannat Ke Rasto'n Se Anjaan Na Ho..
3) Zayeri Ka Jab Sharaf Mila HUSSAIN AS Ki Qasam Pehli Baar Karbala Main Maine Jab Rakhe Qadam Kaifiyat Bataaon Kya, Haal E Dil Sunaaon Kya Aisa Lag Raha Tha Bas Yahi Watan Mera Hai
4) Har NABI Ko Karbala Dikhayi Hai KHUDA Ne Karbala Ki Manzilat Batayi Hai KHUDA Ne Zakhm Ho Ya Ho Qaza, Har Maraz Ki Hai Dawa Sar Zameen E Karbala Ki Khaak Bhi Shifa Hai
5) Qarz Hai Yahi Lahu Pe Aur Farz Bhi Yahi Majlis E HUSSAIN Ko Hai Waqf Saari Zindagi Farsh E Ghum Bichayen Hum, Aur Alam Sajayen Hum Bachpane Mein Walidain Se Yahi Suna Hai
YA ZEHRA (x4)
Abad Wallah YA ZEHRA Maninsa HUSSAINA
YA ZEHRA (x4)
6) Wada SYEDA Se Jo Kiya Tha Wo Nibhayenge.. Ya ZEHRA Aane Wali Nasl Ko Bhi Karbala Sunayenge.. YA ZEHRA Ishq Ke Ye Marhale, Tai Karenge Ishq Se Majlis E HUSSAIN Se Yahi Sabaq Mila Hai
7) Ghar Mein Jo Alam Saja Rahe Hain Hum..YA HUSSIAN Majlis E Aza Kara Rahe Hain Hum.. YA HUSSAIN Har Baras Ye Ghum Mana Rahe Hain Hum Nauhe Marsiye Suna Rahe Hain Hum Dawa Jab Kiya Hai To Saboot Bhi Diya Hai