Beloved (Late) Amjad Fareed Sabri Bhar Do Jholi by Sarmad Qadeer Bhar do jholi meri Ya Muhammad Bhar do jholi meri Ya Muhammad Lout kar mein na jaon ga khalii. Kuchh Nawason ka Sadqa Ataa ho Dar pe aaya hoon bankar sawaali Tum zamane kay Mukhtaar ho Ya Nabi Bekasoon kay Madadgaar ho Ya Nabi Sab ki sunte ho Apne hon ya ghair ho Tum ghareebon ke Gham-Khwaar ho Ya Nabi
Hum hain ranj-o-museebat ke maare hove Saqt mushkil mein hain gham se haare hove Ya Nabi kuch Khudaara hamein bheek do Dar pe aaye hain jhole pasaare hue Bhar do jholi meri Ya Shahe-e-Madeena Lout kar mein na jaon ga khalii. Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaein hum Haalat-e-bekasi kisko dikhlaien hum Hum Tumhaare bhikaari hain Ya Mustafa Kiske aage bhalaa haath phailaayein hum Bhar do jholi meri Ya Shahe-e-Madeena Lout kar mein na jaon ga khalii. Haq se paayi wo shaan-e-Kareemi Marhaba dono aalam ke Waali Wo Muhammad ka Pyara Nawaasa Jisne Sajde mein Gardan kataali Jo In-e-Mrtaza ne kiya kaam khoob hai Qurbaani-e-Hussain ka anjaam khoob hai Qurbaan ho ke Fatima Zehra ke chain ne Deen-e-Khuda ki shaan barhaayi Hussain ne Bakhshi hai jisne Mazhab-e-Islam ko hayaat Kitni azeem Hazrat-e-Shabbir ki hai Zaat Maidaan-e-Karbala mein Shah-e-khush Khisaal ne Sajde mein Sar kataa ke Mohammad ke laal ne Zindagi bakhsh di bandagi ko Aabroo Deen-e-Haq ki bachaali Wo Muhammad ka Pyara Nawaasa Jisne Sajde mein Gardan kataa li Bhar do jholi meri Shahe-e-Madeena Lout kar mein na jaon ga khalii. Hashr mein Unko dekhein ge jis dam Ummati ye kahein gey khushi se Aa rahey hain Wo dekho Mohammad Jinke kaandhe pe Kamli hai Kaali Mehshar ke roz pesh-e-Khuda hongey jis gharhi Hogi gunahgaaron mein kis darjaa bekali Aate hove Nabi ko jo dekhein ge ummati Ek doosre say sab ye kaheingey khushi khushi Aa rahe hain wo dekho Mohammad Jinke hai Shaan sab say Niralii. Bhar do jholi meri Ya Shahe-e-Madeena Lout kar mein na jaon ga khalii. Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein Allah Allah kitna asar tha Sachaa ye waaqiya hai Azaan-e-Bilaal ka Ek din Rasool-e-Pak se logon ne yun kaha Ya Mustafa Azaan ghalat dete hain Bilaal Kahiye Huzoor Aapka is mein hai kya khayaal Farmaaya Mustafa ne ye sach hai to dekhiye Waqt-e-sahar ki aaj Azaan aur koi de Hazrat Bilaal ne jo Azaan-e-Sahar na di Qudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar hui Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein Allah Allah kitna asar thha Aaye Nabi ke paas kuchh Ashaab-e-Baasabaa Ki arz Mustafa se ay Shah-e-Ambiya Hai kya sabab sahar na hui aaj Mustafa Jibreel laae aise mein payghaam-e-Kibriya Pehle to Mustafa ko adab se kiya Salaam Baad as Salaam Unko Khuda ka diya Payaam Youn Jibraeelaa Khair ul Anaam se Allah ko hai Pyaar Tumhaare Ghulaam say Farmaa raha hai Aap se ye Rabb-e-Zuljalaal Hogi na subha dein gey na jab tak Azaan Bilaal Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein Allah Allah kitna Asar thha Arsh waale bhi sunte the Jisko Kya Azaan thi Azaan-e-Bilaali
Bhar do jholi meri Shahe-e-Madeena Lout kar mein na jaon ga khalii Kaash purnam se aaye Nabi mein Jeete ji ho Bulawa kisi din Haal-e-dil Mustafa ko sunaaoon Thaam kar Unkay Roze ki Jaali
Bhar do jholi meri Ya Muhammad Laut kar main na jaaunga khaali Kuch Nawasonadqa Ataa ho Dar pe aaya hoon bankar sawaali