Ab Ke Hum Bichray to Shahyed kabhi khawabon mein milen jis tarah sookhay hue phool kitabon mein milen Dhoond Ujray hue logon mein wafa ke moti yeh khazanay tujhe mumkin hai kharabon mein milen gham e duniya bhi gham e yaar mein shamil kar lo nasha barhta hai sharabein jo sharabon mein milein tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa dono insaan hein to kiyon itne hijabon mein milen aaj hum daar pe khainchay gaye jin baton par kya ajab kal woh zamanay ko nisabon mein milen ab na woh mein hoon na woh tu hai na woh maazi hai faraz jaisay do saye tamanna ke sarabon mein milen