Yeh bil yaqeen Hussain (A.S) hai Lyrics: Abu Al-Asar Hafeez Jullundhri By Nusrat Fateh Ali Khan
Libaas hai phata hua, ghubaar mein ata hua tamaam jism e naazneen, chida hua, kata hua yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai ke hai hazaaron qaatilon, ke saamne data hua
yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai, Nabi(SAW) ka noorey ain hai
ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se kai shaqi girey huey, tarap rahe hain karb se ghazab hai teighay do-sarr, ke eik eik waar par uthi sadaa’e "alamaan", zabaan e sharq o gharb se
yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai ke jiske saamn’e koi, buland hai na pust hai udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai
aba bhi taar taar hai, to jism bhi figar hai zameen bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai magar ye mard e teigh zann, ye saff shikan, falak figan kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai
dilawari mein fard hai, bara hi sheir e mard hai ke jiske dabdab’e se, dushmanon ka rung zard hai habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai
udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai ke jis taraf uthi hai teigh, bas Khuda ka naam hai
yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai, Nabi(SAW) ka noorey ain hai