Ye jo halka halka suroor hai Ye jo halka halka suroor hai Yeh teri nazar ka kusoor hai Ke sharaab peena sikha diya
Ye jo halka halka suroor hai Ye teri nazar ka kusoor hai Ke sharaab peena sikha diya Tere pyaar ne teri chaah ne Teri behki behki nigaah ne Mujhe ek sharaabi bana diya k sharab peena sikha diya
Sharaab kaisi, Khumaar kaisa Yeh sab tumhari nawazishen hain Pilayi hai kiss nazar se tu ne Keh mujh ko apni khabar nahin hai Tere pyaar ne teri chah ne Teri behki behki nigaah ne mujhe sharabi bana diya....k sharab peena sikha diya
Sara jahan mast Jahan ka nizam mast Sara jahan mast Jahan ka nizam mast Tum mast sheesha mast sab mast jaam mast Tum mast sheesha mast sab mast jaam mast Din mast raat mast Sahr mast shaam mast Din mast raat mast Sahr mast shaam mast Yun to saaqi har tarha ki tere maikhane mein hai Yun to saaqi har tarha ki tere maikhane mein hai woh bhi thori si.. woh bhi thori si jo in aankhon ke paimaanay mein hai Sab samajhta hoon teri ishvaagari ai saki Kaam karti hai nazar, naam hai maikhane ka Teri behki behki...
Tera piyaar hai meri zindagi Bus meri zindagi tera pyaar hai BUs meri zindagi tera pyaar hai
Na namaaz aati hai mujh ko na wuzu aata hai Sajda kar leta hoon jab saamnay tu aata hai Bus meri zindagi...
Tera pyaar hai meri zindagi Teri yaad hai meri bandagi Jo teri khushi woh meri khushi Jo teri khushi woh meri khushi Ye mere junoon ka hai mojza Ye mere junoon ka hai mojza Jahan apne sar ko jhuka diya Wahan mein ne kaaba bana diya
Mere baad kiss ko sataao ge Mere baad kiss ko sataao ge
Mein ne un ke saamne awwal-to-khanjar rakh diya Phir kaleja rakh diya dil rakh diya sar rakh diya aur arz kiya mere bad kisko sataao ge Mujhe kis tarha se mitaao ge Kahan ja ke teeri chalaao ge Meri doosti ki balaayen lo Mujhe haath utha kar duaaein do Tumhein ek kaatil bana diya
Ye jo halka halka suroor hai Yeh teri nazar ka kusoor hai Ke sharaab peena sikha diya
Ye jo halka halka suroor hai Yeh teri nazar ka kusoor hai Ke sharaab peena sikha diya