Radio Pakistan Karachi se Yaum-e-Difa ki Golden Jubilee par nashr honay wala Janab Himaayt Ali Shaair ka Khubsurat Qaumi Naghma jise Karachi Radio ke Bacchon ne gaya , 1963 mai released honay wali film "Ik Tera Sahara" ka yeh Tarana jise Irene Parveen aur Naseem begum ne gaya tha jang-e-Sitamber mai Fauji Bhaiyyon ka Josh Barhane k liye Radio Pakistan se Nashr hota raha Is ka Aakhri Bund pata nhi kion hazaf karwa diya gaya jis mai waazej tor par kaha gaya hai k "Waqt Aaye to bun Jaayen ge Teer Hum Le ke Ik Din Dikha den ge Kashmir Hum us ki khaatir kata den ge Apne Galay Apne Parcham talay" afsoso ke sath kehna parta hai ke Himaayet Ali Shaayer sahb ne yahan tak kiya ke In ashaar ko apni siyaasi wabastagi ke sabab apne majmooa-e-kalam se bhi alag kar diya hai frown emoticon aur ashaar yoon hain Waqt aye to bun jaayen ge teer hum Apne har khwab ki taqdeer hum " Khari Yeh Himayat Sahb ka masla nhi balke har us shaayer ka hai jo Bharati Mushaairon mai jata hai Kashmir ki policy par Musharraf ne Uturn liya Aaj phir Kashmiri Awam Pakistan ka sath dene Srinagar mai nikal aaye hain aur Himatyat Ali Shaayer ke Sabiqa yeh Jazbaat phir ubhartay hain ke Waqt Aaye to bun jaayen ge Teer Hum Le ke Ik Din Dikha den ge Kashmir Hum" :)