Jab Khuda Ko Pukara… Ali aa gaye Jab Ali aa gaye… zindagi aa gayi Jab Khuda Ko Pukara… Ali aa gaye Jab Ali aa gaye… zindagi aa gayi
Zindagi bandagi raushni aa gayi Raushni aa gayi… Aagahi Aa gayi
Jab Khuda Ko Pukara Ali aa gaye Jab Ali aa gaye Zindagi aa gayi
Maut inke muhibbhon ko aati nahi Aa bhi jaaye to phir, bach ke jaati nahi Maut ka kya khatar, Maut se kya hai darr Is Se Bachna bhi kya, Aa gayi Aa gayi
Jab Khuda Ko Pukara Ali aa gaye Jab Ali aa gaye Zindagi aa gayi
Teri Masnad Pe Gairon Ko Bithla diya Warise Mustafa Mazhar E Kibriya Tu Ali O Wasi O Wali Hi Raha Manzilat Me Teri Kya Kami aa gayi
Jab Khuda Ko Pukara Ali aa gaye Jab Ali aa gaye Zindagi aa gayi
Hum Ke Sarsar Ishk O Tawalla Me The Jaante Hi Na The Nafraton Dushmani Yeh Tabarrah Bhi Wallah Kya Cheez Hai Hum Ko Agiyaar Se Dushmani aa gayi
Jab Khuda Ko Pukara Ali aa gaye Jab Ali aa gaye Zindagi aa gayi
Maslak E Ishk Me Maangna Aaib Hai Mai Bhi Khamoosh Hun Woh Bhi Khamosh Hai Unko Sub Hai Khabar Isliye Chup Hun Mai Kya Hua Aankh Me Gar Nami aa gayi
Jab Khuda Ko Pukara Ali aa gaye Jab Ali aa gaye Zindagi aa gayi
Khums Dena Mawaddat Ki Ek Shart Hai Aur Na Dena Bhi Misle Fidak Hai Gunah Hak Ke Saadat Zehra Ke Makrrooz Se Jab Tabarra Suna To Hasi Aa gayi
Jab Khuda Ko Pukara Ali aa gaye Jab Ali aa gaye Zindagi aa gayi
Kyun Na Roie Woh Kismat Ko Apni Sada Jin Ka Pura Mukddar Hai Lanat Zada Jin Ki Kismat Me Apne Hi Aamal Se Binte Ahmad Ki Naarazgi aa gayi