Dost'on Yeh Saath (7) Hijri Ki Baat Hay Jab Musalmano Ki Izzat Untalees (39) Din Say Khayber May Daoun Per Lagi Hui Thi Aakhir Ash Dasht E Risalat Dua Kay Liye Buland Howey Aur Lab E Risalat Per Wahi E Nayiq Kuch Unh Machalne Lagi
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib
Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali,
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Pehra Ilaahiyyat Pe Naad E Ali Ka Hai Ek Khauf Mushkilaat Pe Naad E Ali Ka Hai Saaya Ajaa’ibbat Per Naad E Ali Ka Hai Ahsaan Kaainaat Per Naad E Ali Ka Hai Hai Vird Dhadkano Ka Yahi Hai Ali Madad Naad E Ali Simat Ker Bani Ya Ali Madad
Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali,
Naad E Ali X2
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Adam Say Kar Raha Hai Safar Ya Ali Madad Hai Murtaza Kay Zayr E Asar Ya Ali Madad Taweez Hai Pahenlo Agar Ya Ali Madad Karta Hai Mushkilaat Ko Sar Ya Ali Madad Mahshar May Jab Namaz Bhee Daman Churdaigi Bus Ya Ali Madad Ki Sada Kaam Aaigi
Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali,
Naad E Ali X2
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Hai Saamnay Ki Baat Na Samja Ye Admi Allah Ab Na Jism Tho Rakta Nahi Koi Zaat E Khuda Nay Isliye Khud Ko Rakha Khafi Dast E Khuda Ali Hai Lisan E Khuda Ali Khud Azamaa Ke Deykho Nazar Aaingey Ali Allah Madad Kaho Ge Magar Aaingey Ali
Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali,
Naad E Ali X2
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Jo Faqr E Mustafa Hai Madad Ussay Maangiye Jo Naasir E Khuda Hai Madad Ussay Maangiye Jo Deen Ka Asraa Hai Madad Ussay Maangiye Jo Zinda Maujaza Hai Madad Ussay Maangiye Jo Khud Hee Mar Chukay Hai Wo Kaisay Bachaingey Tum Hashr Tak Bulaatay Rahogey Na Aaingey
Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali,
Naad E Ali X2
Naad E Ali An Mazhar Al Ajaib X4
Ali, Ali, Ali, Ali As
Jungle Pahaad Kahtay Hai “Naad E Ali Ali” Mushkil Ko Meri Hal Karo Mushkil Kusha Ali
Ali Ya Ali, Ali Ya Ali, Ali Ya Ali,
Dam Dam Ali Ali Ki Aati Hai Jo Sada Dil Kah Raha Hai Cherd Dun Khaibar Ka Waqiya
Ali, Ali, Ali, Ali As
Khaibar Mey Guunj Ti Hai Ye Salman Ki Pukaar Lo Aagai Hai Haider E Karrar Hooshiyaar Khush Aaj Mustafa Kay Sahabi Hai Beshumaar Chuptee Hai Maut Run May Nikalti Hai Zulfiqar Maidaan E Kaar E Zaar Mey Haider Utar Gaye Jibreel Parr Samaitlo Warna Ye Parr Gaye
Sarr Sarr Chali Jo Tegh Tho Marhab Ka Sar Gaya Marhab Gaya Tho Dil Say Sahaba Kay Darr Gaya Do Ungliyon Say Uttah Sarro Say Guzar Gaya Abtak Nahi Pata Dar E Khaibar Kidar Gaya Aati Shikanj O Ghayz May Unki Jabeen Par Phir Dar Tho Kiya Qila Bhee Na Milta Zameen Par
Palta Alam Jo Mir Takallum Wo Gaard Kay Rak Dee Ali Nay Kufr Ki Basti Ujaad Kay Kehnay Laga Ye Dast E Khuda Haat Jhaard Kay Lo Aagai Hai Hum Dar E Khaibar Ukahaad Kay Jitnee Bhee Aaj Jisko Zaroorat Hai Loot Lo Talwaaray Chordo Maal E Ghanimat Hai Lootlo