Meri Pehchan - Topic: Ustad aur Shagird ka Rishta - 5 Aug 2024 - ARY Qtv
Meri Pehchan
Topic: Ustad aur Shagird ka Rishta || استاد اور شا گرد کا رشتہ
Host: Syeda Zainab
Guest: Dr Imtiaz Javed Khakvi, Sadaf Fatima
#MeriPehchan #SyedaZainabAlam #ARYQtv
A female talk show having discussion over the persisting customs and norms of the society. Female scholars and experts from different fields of life will talk about the origins where those customs, rites and ritual come from or how they evolve with time, how they affect and influence our society, their pros and cons, and what does Islam has to say about them. We'll see what criteria Islam provides to decide over adapting or rejecting to the emerging global changes, say social, technological etc. of today.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Topic: Ustad aur Shagird ka Rishta || استاد اور شا گرد کا رشتہ
Host: Syeda Zainab
Guest: Dr Imtiaz Javed Khakvi, Sadaf Fatima
#MeriPehchan #SyedaZainabAlam #ARYQtv
A female talk show having discussion over the persisting customs and norms of the society. Female scholars and experts from different fields of life will talk about the origins where those customs, rites and ritual come from or how they evolve with time, how they affect and influence our society, their pros and cons, and what does Islam has to say about them. We'll see what criteria Islam provides to decide over adapting or rejecting to the emerging global changes, say social, technological etc. of today.
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00A'uzu Billahi Minash Shaitanir Rajeem, Bismillahir Rahmanir Raheem, Allahumma Salli ala Sayyidina
00:16wa Mawlana Muhammadin, wa ala aali Sayyidina wa Mawlana Muhammadin, wa barik wa sallim wa
00:22salwale.
00:23Rabbi sharah li sadri, wa yassir li amri, wa ahlul uqdatam min lisani, yabqahu qawli.
00:29Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
00:32Janab, aap dekh rahe hain program Meri Pehchaan aur Meri Pehchaan ki ek nai episode ke saath
00:39aapki mizbaan Syeda Zainab hazir khidmat hain.
00:43Janab, Meri Pehchaan mein hum guftabu karte hain aur jis tarah se mauzoo ka intikhaab kiya
00:48jaata hain aur hum chahate hain ke muqtalif mauzooat is program mein lekar aayen.
00:53Aaj Janab, jis rishte aur jis taalluk ke baare mein baat ki ja rahi hain, wo hain ustaad
00:58aur shagird ka rishta.
01:00Ustaad ka kya maqam hain, kya martaba hain, kitna buland maqam Allah Rabbul Izzat nai
01:05bhi ustaad ko ata farmaya hain, aur ye rishta kis tarah se juda gaana hain.
01:09Ustaad ke maqam-o-martaba ke hawale se bhi baat karenge aur maqam-o-martaba ke taalluk
01:15se humari jo scholars hain inshaAllah ta'ala beyaan farmayengi.
01:18Bas iptidaiya mein ek chhota sa waqia aapke goshkuzar karti chalun, ki janab, ek ustaad
01:24jab classroom mein daakhil hote hain, wo badi gehri nazar daalte hain apni class ke jo tulba
01:31aur taalbaat hain unpar, aur uske baad wo ek lambi lakir blackboard par kheech dete hain.
01:36Tulba se farmate hain ki, kya koi is lakir ko baghair haath lagaye chhota kar sakta hain?
01:43To taalba-e-ilm badi gehri soch mein pad jate hain, aur sochte hain, ye to naamumkin baat
01:48hain, kya baghair haath lagaye is lakir ko kaise chhota kiya jaa sakta hain?
01:52Ab aap sochiye ke thoda sa waqfa lene ke baad, thoda sa soch-o-bichaar karne ke baad, jab
01:57ustaad ek gehri nazar mazeed daalte hain shagirdon par, aur koi jawab nahi deta, to phir ek lakir
02:04us lakir ke neeche aur lambi kheech di jaati hain.
02:08Jab saare shagird milkar dekhte hain, to wo uparwali lakir az khud chhoti nazar aane lagti hain.
02:14Is se ye sabak milta hain, aur itna khubsurat sabak ustaad ne apne shagirdon ko diya, ki
02:20baghair kisi ko neecha dikhaye, baghair kisi ke hasad karte huye, baghair kisi ko takleef
02:26pohchaye huye bhi, apne kardaar ko kis tarahan se buland kiya jaa sakta hain.
02:31Janab, is chhote se sabak ke saath hi program ka agaas karte hain, humaise saath maujood
02:35mehman scholars, aur bila kisi taakhir unke jaanib badhunge, aapki jaani pehchaani shagsiyat,
02:40hum unse bahut mohabbat karte hain, bahut kuch seekhte hain, humare liye ustaad ka darja
02:45rakhti hain, janab humaise saath maujood hain, Dr. Imtiaz Javed Khakvi sahiba, assalamu alaikum
02:50wa rahmatullahi wa barakatuhu.
02:51Wa alaikum assalam wa rahmatullahi wa barakatuhu.
02:53Kaise hain aap Dr. sahiba?
02:55Alhamdulillah.
02:56Aur unke saath jo agli nishas par shagsiyat raunaq afroz hain, janab humare saath QTV
03:02par bada acha izafa bhi hain, aur inka bhi taalluk darso tadreez se hain, Sadaf humaise
03:06saath maujood hain, Sadaf Fatima, assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu.
03:10Wa alaikum assalam wa rahmatullahi wa barakatuhu.
03:11Sadaf meri pehchaan mein aapko khushaamdeed kahte hain.
03:13Bahut shukreen.
03:14Ustaad aur shagit ka rishta, aaj hum is unwaan par guftuhu karenge, aur yaqeenan aap logon
03:19ko bhi apni asatiza yaad aayenge is program mein, aapa kisi bhi insaan ki zindagi mein
03:24uska ustaad unka bada aham kardar hua karta hain.
03:27Is tanazur mein ustaad ki jo ahmiyat hain, main chahungi sabse pehle yahan se aghaaz karein.
03:32Shukriya zainab.
03:34Bismillahir rahmanir rahim.
03:35Qala Rasool Allah sallallahu alaihi wa sallam.
03:37Khairukum man taallamal qurana wa allamahu.
03:41Tumme se baitareen wo hain, jisne quran seekha aur seekhaya.
03:46Dekhein, ek fard ki zindagi mein, aur qaumon ki taameer aur taraki mein,
03:50ek ustaad ka bahut aham roll hota hain.
03:53Aur main toh kehi baar yeh baat kehti hun,
03:55ki teen cheezein agar wo durst ho jayein, toh qaum ki samjh seedhi ho jati hain.
03:59Ek maa, ek maulim, aur ek media.
04:02Agar yeh teenon apni zimmadaariyon ko tariqat-e-asan ada karein,
04:07toh koi wajah nahi, ki poori qaum ka, poori maashray ka naqshah badal jayein.
04:12Dekhein, sabse jo mushkil kaam hota hain,
04:15aap jab koi product banate hain, koi pehdawaar kisi factory mein,
04:18toh machine kaam karti hain, aur machineon ke zariye aap product tayyar karte hain.
04:22Sabse jo mushkil kaam hain, wo insaan saazi hain.
04:26Insano ki kirdaar saazi hain.
04:28Afraad ko banana hain, unhe insaniyat sikhana hain,
04:32unhe buland darjah ata karna hain, unki aisi tarbiyat karni hain,
04:37ki wo zameen par rehte huye, arsh ko chuhen,
04:40toh unki itni buland parwaaz ho.
04:42Aur Sikandar-e-Azam ne kaha bhi tha,
04:44ki meri waaldein mujhe arsh se zameen par leha hain,
04:47meri ustaad mujhe zameen se arsh tak le jata hain.
04:50Toh ustaad ka rol itna ehm hain,
04:52ki wo usse akhlaaq ki bulandiyan deta hain,
04:55roohani bulandiyan deta hain,
04:56ilm ke zariye aagey deta hain, shahoor deta hain.
04:59Toh ek fard ko infaraadi sata par bhi,
05:02taameer aur taraki mein madad karta hain.
05:04Aur saath hi saath, agar wo saare muallimeen apna
05:08fareezah sahi tariqah se anjaam lein,
05:10toh qaumon ki khushaali,
05:11is baat par inasaar karte hain,
05:13ki asaadza ne kaise apna rol ada kiya.
05:16Sahi.
05:17Phir hum dekhte hain ki duniya ke har mazhab,
05:19har tahzeeb mein ustaad ko izzat ki nigaah se dekha jata hain.
05:22Hamesha se dekha jata raha,
05:24kyuki wo ilm deta hain,
05:25wo bachon ko sikhata hain,
05:27wo bachon ko taameer karta hain.
05:29Nabi Kareem alaihissalatu wassalam ne khud ko muallim farmaakar,
05:32is mansab ko aur zyada izzat aur tawqeer se nawaz diya.
05:36Aur aap sallallahu alaihi wasallam muallim-e-kaainat hain.
05:40Toh is wajah se bhi yeh pesha,
05:42yeh mansab jo hain, yeh ehm ho gaya,
05:44ki asadza jo hain,
05:45wo afraad ki aur qaumon ki taameer aur tarakki karte hain.
05:48Phir aap ek nigaah daalein,
05:49aaj aapko jitni maadi tarakki nazar aati hain,
05:52kisi bhi meydan mein.
05:54Wo zaraat hain,
05:55wo sanat-u-harfat hain,
05:56wo tijarat hain,
05:57wo adliya hain,
05:58foj hain,
05:59bureaucracy hain.
06:00Har shobh mein jo tarakki nazar aari hain,
06:02uske peeche aap dekhen toh ek ustaad hain.
06:05Ustaad ki salahiyaton ki akaasi karte huye,
06:08yeh saare shobhe tarakki karte hain.
06:10Isi liye Maghrib bhi tarakki kar raha hain,
06:13ki wahan asadza apna role acche tariqah se ada kar rahe hain.
06:16Islam yeh chahata hain,
06:18ki asadza is mansab ko ehm zimadaari samjhen.
06:22Unne sirf usse ilm aur maharate nahin sikhani bache ko.
06:26Balke bache ko wo nazariyat,
06:28wo fikr,
06:29wo aqaid uske andar daalne hain,
06:31aur saath-saath usko maharat bhi deni hain,
06:33saath-saath uski akhlaaqi tarbiyat bhi deni hain,
06:35usko shehri zimadaariyon ke bhi kaabil banane hain,
06:39ruhani uski tarbiyat karte huye,
06:41usko deen ke liye bhi nafabaqsh banane hain.
06:44Is tarah se goya,
06:45ek nafabaqsh insan tayyar karke usne maashira ko dena hain.
06:49Ek muallim nahin,
06:50kyunki tummese baitreen wo hai,
06:52jo logon ke liye nafabaqsh hain,
06:54faida mand hain.
06:55To tarbiyat aur taaleem ka pata,
06:57degreeon ya kaagat se nahin chalta,
06:59us insan ki shiksiyat se,
07:00uski aajazi se,
07:02uski akhlaaq se,
07:03uski kirdaar se pata chalta hain,
07:05jiske peeche ek ustaad ka haath hota hain.
07:07Bilkul durast.
07:08Jis tarah se,
07:09Doktor sahiba,
07:10aapne ahmiyat ke taaluk se toh bahot pyaare andaaz se samjhaya hi.
07:13Ab hum jaan lete hain mazeed,
07:15ke kya zimmedaariyan hain,
07:17kya faraiz hain,
07:18asaataza ke,
07:19aur aap baitreen andaaz se bata sakti hain,
07:21kya firmaiye ka sadaf?
07:23Ji, shukriya Zainab.
07:25Ustaad hona aur teacher hona,
07:28ek noble profession hain.
07:30Yeh ek mukaddas pesha hain.
07:32Nabiya Kareem sallallahu alaihi wa sallam ne firmaya,
07:35beshak mujhe muallim bana kar bheja gaya.
07:38Toh yani ustaad hona,
07:39aur poori kainat ki teaching karna,
07:41yeh Nabiya Paak sallallahu alaihi wa sallam ka mansab hain.
07:46Aur wo aam ustaad,
07:47jo ek class teacher hain,
07:49ek ustaad jo madrasse ka ustaad hain,
07:51ek ustaad jo kisi shobah ke andar ustaad hain,
07:55wo bhi juzi taur par,
07:57Nabiya Paak sallallahu alaihi wa sallam ke shobah se taaluk rakta hain,
08:02us mukaddas shobah ka hissa banta hain,
08:05jo Risalat-e-Mu'ab sallallahu alaihi wa sallam ka hain.
08:08Toh goya,
08:09muallim jo hain,
08:11is tarahan se hona chahiye,
08:12uski is tarahan se usko zimmedaariyan ada karni chahiye,
08:16wo jo padha raha hain,
08:17usme usko command hasir ho.
08:19Yani ke muallim ke paath jo ilm hain,
08:23wo mutaallim se zyada hona chahiye.
08:25Kyunki uska sirf ilm hona hi kaafi nahi hain,
08:28balke usko transfer karna bhi laazim hain.
08:31Ilm hona,
08:32yani ke receive karna,
08:34aur usko transfer karna,
08:35yani ke apne students tak usko muntakil karna,
08:38they both are entirely different things.
08:41Toh yeh ek professionally,
08:42aur yeh ek teaching skills hain,
08:44jo ke ek ustaad ke andar honi chahiye.
08:47Yeh ustaad ke zimmedaari hai,
08:48ke uske andar jo hai yeh teaching skills paay jaye,
08:51professional skills paay jaye.
08:53Aur ek ustaad ko ek accha learner bhi hona chahiye,
08:56taake with the passage of time,
08:57agar latest technologies introduce ho rahi hain,
09:00different pedagogies or different methodologies
09:03of teachings introduce ho rahi hain,
09:05toh wo usse bhi aaga ho,
09:06taake apne bachchon ko up-to-date
09:09aur updated information provide kar sake.
09:11Kyunki humein pata hai,
09:12ke classroom mein jo humare shagird hote hain,
09:15wo different levels ke hote hain.
09:17Koi low average hai,
09:19koi average hai,
09:20koi best hai,
09:21koi intelligent hai,
09:22koi shy hai,
09:24koi bahut confident hai.
09:25Toh teacher ki yeh zimmedaari hai,
09:27ke wo tamam students ko ek page par lekar aaye.
09:31Aur unko ek page aur ek hi tarah se unko deal kare,
09:35unke issues ko resolve kare.
09:37Aur students ko agar kahin problem hai,
09:39yeh students ka right hai question karna.
09:41Agar wo koi question raise karte hain,
09:43toh yeh teacher ki zimmedaari hai,
09:45ke wo shafqat-u-mohabbat ke saath unko sanjhaye.
09:48Usmein yeh quality honee jaaye,
09:50ke wo different ways of teachings ka use karte hue,
09:53usko convince kare.
09:55Kyunki ustaad jo hai,
09:56wo ek rohani baap hota hai.
09:58Aur baap jo hai,
09:59jis tarah apne bete ke saath shafqat-u-mohabbat ke saath pesh aata hai,
10:03ussi tarah ustaad ko bhi chahiye,
10:04ke wo apne shagird ke saath,
10:07bahut hi shafqat-u-mohabbat ke saath pesh aaye.
10:10Aur jab usko convince kar liya,
10:11usko sanjha diya,
10:13agar students ko problem ho rahi hai,
10:15nahi samajh mein aa raha,
10:16toh wo baad baad dohar aaye.
10:18Hum dekh sakte hain,
10:19nabiye paak sallallahu alaihi wa sallam,
10:22jab koi baad sanjhate,
10:24toh usko teen baad dohar aate the.
10:26Taake saamne wale ke wo zain nasheen ho jaye.
10:30Wo revision kar waye.
10:31Iss se hoga kya?
10:32Ke humare jo learners hain,
10:33humare jo students hain,
10:35unmein pukhtagi aa jayegi.
10:37Aur wo shagird,
10:38jin ko clear nahi hua concept,
10:41unke aur concepts mazeed clear ho jayenge.
10:44Iske alawa,
10:45teacher ki zimmedaari hai,
10:46ke wo is tarah,
10:47is tareeke se padhaaye,
10:49ke shagird jo hain,
10:50wo usme interest leyin.
10:52Jazba-e-shock unke andar peyda kare.
10:54Kyun?
10:54Kyun ke jazba-e-shock jo hai,
10:56wo badi se badi mushkil ko aasaan bana deta hai.
11:00Aur jab unki mushkil aasaan kar di gayi,
11:02toh phir,
11:04khaloose niyat aur imaandaari ke saath padhaaye.
11:07Ab Islam ne hume yeh zimmedaari,
11:10Islam ne hume iss cheez ka dars diya hai,
11:12kya hume poori imaandaari ke saath,
11:15apni tamaam zimmedaariyon ko ada karna hai.
11:17Toh jo ustaad hota hai,
11:19uske upar bohot zyada aur bohot bhaari zimmedaari hoti hai.
11:23Toh yeh ustaad ka farz hai,
11:24uske zimmedaari hai,
11:26ke wo khaloose niyati ke saath,
11:28aur poori imaandaari ke saath,
11:30apni responsibilities ko ada karein.
11:33Aur jis tarahan se,
11:35nabiye paak sallallahu alaihi wa sallam ka ishaad-e-qaam hi hai,
11:38ke mujhe maulim bana kar bheja gaya,
11:40taake main achche ikhlaa ki takmeel karoon.
11:43Toh yeh ustaad ka farz hai,
11:46kyunke ustaad jo hai,
11:47apne shagirdon ke liye,
11:48ek role model hota hai.
11:50Wo apni personality ko is tarahan se flourish kare,
11:52is tarahan se groom kare,
11:54ke bacche unse inspire hun,
11:56aur unse copy karein.
11:57Aur achche ikhlaa kiyaat copy karein.
11:59Toh yeh tabhi mumkin hai,
12:01jab hamara ustaad jo hai,
12:03wo khud ek ba-ikhlaaak hoga,
12:05ek khud ek ba-amal shags hoga.
12:07Subhanallah.
12:08Toh ustaad ko jo hai,
12:09amli namuna bhi hona chahiye,
12:11aur khaloose niyat ke saath,
12:13apne saari zimmedaariyon ko ada karna chahiye.
12:15Sahi,
12:15yaani nisabi sargarmiyon ke saath,
12:18saath hume ghair nisabi sargarmiyon par bhi zor dena chahiye,
12:21aur mukammal taur par,
12:22jisse kahte hain na,
12:23kirdar saazi karna,
12:25shagsiyat saazi karna,
12:27yeh ek achche ustaad ka kaam hai,
12:29aur achche ustaad ki zimmedaari,
12:31uske faraiz mein shamil hai.
12:33Ab,
12:33main yeh bhi kehna chahungi,
12:35ke ek ustaad hi yeh samajhta hai,
12:37ke kaun se bacche mein,
12:38kya kya qualities hai,
12:40aur kis tarahan se un qualities ko nikhaara jaa sakta hai,
12:43yeh bhi ek ustaad,
12:43bahut bhaitir andaas se jaante hain.
12:46Janab-e-ik waqfe par jaana hai,
12:47hajir hote hain smuqtasar se waqfe ke baad.
12:49Assalam-o-Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
12:52Waqfe ke baad,
12:53ek martaba phir,
12:54aap sabka khair maqdam hai.
12:56Janab,
12:56hum aaj guftagu kar rahe hain,
12:58ustaad aur shagit ke rishte ke taaluk se.
13:02Ke yeh kaisa juda gana,
13:03yeh kaisa mohabbat bhara,
13:04yeh kaisa qabal-e-ehteram rishta hai,
13:07is taaluk se guftagu ki ja rahe hain.
13:09Dr. Imtiaz Javed Khaqvi sahiba tashreef firma hain,
13:12aur Sadaf Fatima bhi rauna qafroz hain.
13:14Dr. Sahiba,
13:15Parwad Digaar-e-Aalam ne,
13:16Quran-e-Majeed,
13:17Furqan-e-Hameed mein,
13:19jo Nabi-e-Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ki jab shaan beyaan firmai,
13:23toh bahwasiyat-e-maulim aapki ek shaan beyaan firmai.
13:27Aur Rasool-e-Khudda Sallallahu Alaihi Wasallam ka khud bhi firman-e-Aali shaan hai,
13:31ke mujhe maulim bana kar bheja gaya.
13:34Is hawale se kya ishaad firmaayenge?
13:36Shukriya Zainab,
13:38Bismillah-e-Rahman-e-Rahim,
13:40innama buistu mualliman,
13:42muallim-e-azam,
13:43muallim-e-kainat,
13:45nabeed-e-Masiha,
13:47dua-e-Khalil,
13:48aap Sallallahu Alaihi Wasallam hai.
13:51Aur Hazrat-e-Ibrahim Khalilullah ki dua par ghor karein,
13:55toh unhone firmaaya,
13:56Allah ki bargah humein,
13:57ki Rabbana wabas feehim Rasoolam minhum,
14:00yatloo alaihim aayatina,
14:03vayu zakkeehim,
14:04vayu allimuhum-ul-kitaba wal-ikwam.
14:07Ki aye Allah,
14:08wo mehboob,
14:09wo Rasool ataa firmaade,
14:10ki jo teri aayat-e-Rabbani ki tilawat firmaaye,
14:15jo logon ka tazkiyat firmaaye,
14:17aur jo kitab-o-hikmat ki taaleen de.
14:20Toh aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko dua-e-Khalil kaha jaata hai.
14:24Aur Quran-e-Majeed mein teen maqamat par
14:27yahi faraiz-e-Nabuwat bhi beyaan huye hain.
14:29Surah-e-Jumma mein beyaan huye,
14:31Surah-e-Baqarah mein beyaan huye,
14:32Surah-e-Aal-e-Imran mein beyaan huye.
14:34Toh aap Sallallahu Alaihi Wasallam,
14:36Allah ki paigam ko duniya mein aapne pohuchaya,
14:39wahi pehla paigami aaya,
14:42ikra, wo ilm se shuru wota hai,
14:44phir aap dekhen toh tahzeeb-o-tamaddun se naa-aashina,
14:48jahaliyat wali us qaum ko aapne,
14:51tahzeeb bhi ata ki, tamaddun bhi ata kiya,
14:54ilm bhi ata kiya,
14:55unhe Rehman se aise milaya,
14:57ki wo Jamaat poori kainat ke liye
15:00muallimeen ban kar tayyaar huye,
15:02aur sari duniya mein unhone Islam ka paigam pohuchaya.
15:05Phir aap dekhen toh aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki
15:08hayat-e-mubarka ka lamha lamha taalim-o-tadrees mein guzra.
15:13Sari hayat jo 63 baras ki hai,
15:16aap Sallallahu Alaihi Wasallam kuch na kuch ata firma rahe hain,
15:20aur iss ek jahat se yu bhi dekhen,
15:22aaj hum ilm ki baat karte hain,
15:23toh ilm ke andar humara siyasi nizam aata hai,
15:26maashi nizam aata hai,
15:27akhlaqi nizam aata hai,
15:28ruhani nizam aata hai,
15:29nizam-e-ibadat aata hai,
15:31nizam-e-aqaid aata hai,
15:33yeh sari kasara aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne
15:36apne us hayat-e-mubarka mein sari nizam ata firma diye,
15:40aur us qaum ko tayyar kar diya.
15:43Aaj hum bato re khas Nabi Kareem-e-Nasrat-e-Uslam ke
15:45baisiyat muallim ek nighah daalte hain,
15:48ke wo kaunsi sifat hain,
15:49wo kaunsi khubiyah hain,
15:50jo ek aam muallim ko dekhte huya
15:53aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat-e-mubarka ko apnaani chahiye.
15:56Unmein jo ulwaa likhte hain,
15:58wo yeh ki sabse pehle ba maqsad ho,
16:00wo jo ilm de raha hain,
16:02jo tadrees ke jis shobah se baabast hain,
16:04uske zain mein ek maqsad hona chahiye,
16:06wo us maqsad ki lagan honi chahiye.
16:08Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne
16:10Allah ke us nizam ko,
16:11us deen ko,
16:12zameen par naafiz karna tha,
16:14yeh maqsad aap kisi bila mein aapne faramojh nahi kiya.
16:17Iske liye aapne takleef-e-saheen,
16:19aapne ghar baahar chhoda,
16:20aapne hijrat firmahi,
16:22aap Taif ja rahe hain,
16:23Mekka ke logon ne aapko takleef-e-ponchahi,
16:26aapke apne aapke dushman hote chale gaye,
16:29yaha tak ki aapne takht-o-taaj ko bhi thukra diya,
16:32aapne us maqsad ke liye.
16:33To ek muallim ko uski tadrees ba maqsad honi chahiye.
16:38Fir aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko,
16:40Allah ne firmahi,
16:41wa maa arsal naaka illa rahmat-al-lilal.
16:44Aap Sallallahu Alaihi Wasallam,
16:45tamaab jahanon ke liye rahmat ban kar hai.
16:47To aapke andar dard-mandi thi,
16:49dil-sozi thi.
16:50Taif ke log aapko takleef-e-ponchah rahe hain,
16:52aap unke liye fir bhi dua firmahi rahe hain.
16:55Mekka baag fatah hota hai,
16:56to aap un sab ko maaf firmahi dete hain.
16:58Aur aap khud ek hadees-e-mubarkah mein aata hai,
17:01ke aap Sallallahu Alaihi Wasallam firmahate hain,
17:03meri misaal us shikhs ki maanaj hai,
17:04ke jisne aag jilai,
17:06jisme parwane girein,
17:07main bhi tumhi khaich-khaich kar,
17:09us aag se bachane ki koshish kar raha hun,
17:11aur usse tumhe baahir nikaalne ki koshish kar raha hun.
17:14To aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke andar,
17:16dard-mandi thi,
17:17dil-sozi thi.
17:19Fir aaj hum taanim-o-tadrees ka istamal karte hui,
17:21AV aids ko istamal karte hain,
17:23jinein kehte hain,
17:23audio-visual aids.
17:25Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne,
17:27us zamane mein zara-e-ablaag ko,
17:30apni guftagu-mubarak ko,
17:32misaalon ke zariye,
17:33kiss-e-kahaniyon ke zariye,
17:36muhtalif jihito se practical karte hui,
17:39wo ilm aur wo tadrees ka kaam kiya.
17:42Dekhe aap kahin aap do ungliyon ka isharah firma rahe hain,
17:46kahin aap namaz ki misaal dete hui,
17:48ghar se bahar guzrne wali nehar ki misaal dete hui,
17:51paanch martaba naaya jaaye,
17:53toh kaise mahal rahe sakti hai,
17:54ishtara aap misaal-e diya karte,
17:56ishtara aap sawal-e-jawab ke mawake diya karte,
18:00wo badi mashoor hadith-e-mubarak hai,
18:01ke jibreel-e-ameen-sufaid kapdo mein aaye,
18:03saamne aakar do zaan-u huye,
18:05aur phir aap se sawal karte hain,
18:08aur phir firmaate hain,
18:08ki aap ne haq firma hain,
18:10toh ye ek tadrees aur ek ilm diya jaa raha hai,
18:13sahaba-e-karam ko,
18:14ishtara aap Sallallahu Alaihi Wasallam,
18:16teen baar dhuraate hain,
18:18aapki zabane-mubarak,
18:19intahai sheeri aur mitas wali hoti hain,
18:22aap bahut pyaari guftagoon firmaate hain,
18:24jo ek baar aap se mil leta,
18:26wo aapka garveeda ho jata,
18:28aapka deewana ho jata,
18:30aapka aashik ho jata,
18:31pin aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka,
18:33apne har student ke saath,
18:35ek infaraadi tahaluk ta,
18:36jo apnaayat peyda karta hain,
18:39aap dekhi jab aap firmaate hain,
18:41eh abuzar,
18:42toh naamon se ek mukhatib karna hain,
18:44eh Ayesha,
18:46Humaira,
18:47toh pyaare pyaare alqabaat se bukarna,
18:50aaj hum Hazrat Abu Bakr ko Siddiq-e-Akbar kyu kahte hain,
18:52Hazrat Umar ko Farooq-e-Azam kyu kahte hain,
18:54Hazrat Usman-e-Ghani kyu kahte hain,
18:57Sayyidina Maula Ali ko Abu Thurab,
18:59Haider-e-Karar,
19:00toh aap Sallallahu Alaihi Wasallam,
19:02pyaare pyaare alqabaat bhi dete hain,
19:04ek apnaayat ka infaraadi taaluk bhi kaayen karte hain,
19:07har ek ke saath,
19:08har ek ko yeh lagta hain,
19:09ki Huzoor mujh se muhabbat karte hain,
19:12toh rafiq aur usko hamraaz banate hain,
19:15phir aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke kaul-o-fail mein kahin tazaat nahi milta,
19:18aapne hamesha jo kaha wohi kiya,
19:21aur Islam se qabl bhi aap dekhen toh log aapko sadiq aur ameen kahte the,
19:26toh ek muallim ko apne kirdaar mein,
19:28apne akhlaaq mein,
19:29utne hi bulan maqam par hona chahiye,
19:31aur koshish karni chahiye,
19:33ke apne kirdaar ko betar banaye.
19:34Allahu Akbar,
19:35is qadar khubsurat misaalon se aapa ne bataya,
19:39aur beshak Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se badkar hamare liye kya hain,
19:45yaani behtreen,
19:46aap har shobay mein dekh liye toh aap Sallallahu Alaihi Wasallam kaamil aur akmal hain,
19:51hamare liye behtreen namuna hain.
19:54Aapke jaane baungi Sadaf Fatima.
19:55Sadaf, jis tarah se hamne faraiz ki aur zimdaari ki baat ki,
19:59asaataza ikram ke hawale se,
20:01ab jahan par asaataza ikram ki baat aati hain,
20:03ustaad ki kuch faraiz aur zimdaariya hoti hain,
20:06bilkul isi tarah se shagird ke bhi faraiz aur zimdaariya hoti hain.
20:10Main chahungi is hawale se bhi kalam kijega.
20:12Ji zarur, shukriya Zainab.
20:15Irshad-e-Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam hain,
20:18jo shaks usool-e-ilm ke liye raasta tay karta hain,
20:22toh Allah Rabb-ul-Izzat usko jannat ke raaste par chala deta hain,
20:27aur farishte talib-e-ilm ki khushi ke liye uske neeche par bicha deta hain,
20:33aasmaan-o-zameen ki tamaam cheezein,
20:35samandar ki machhliyaan samandar ke andar talib-e-ilm ki bakshish ke liye duago hoti hain,
20:41talabgaar hoti hain.
20:42Toh ye tabhi talib-e-ilm hasil kar sakta hain,
20:46jab talib-e-ilm sacha ho,
20:48ilm ka sacha talabgaar ho,
20:50ilm ki tadap rakta ho,
20:52toh goya talib-e-ilm ka sabse pehla farz aur zimdaari yeh hain,
20:57ke wo apne ustaad ke saath izzat aur ehteraam ke saath pesh aaye.
21:02Aur kyun ustaad woh rohani baap hain,
21:05toh haqiqi talib-e-ilm bhi wohi hain,
21:08jo apne ustaad ki izzat aur ehteraam kare.
21:11Aur ilm toh hasil hi adab ke saath hota hain.
21:14Imaam Abu Hanifa rahmatullah alaih farmate hain,
21:17ke mere ustaad Imaam Hamaad rahmatullah alaih,
21:21jab tak zinda rahe,
21:22toh unke makaan ki taraf maine paun tak na phelaye.
21:25Bataiye, subhanallah.
21:27Jab classroom mein enter ho gaya student,
21:30aur teacher jab padha raha hai,
21:32lecture ke dauraan,
21:34toh sabse pehla jo pehli zimdaari hai student ki,
21:37wo yeh hai, ke wo present ho.
21:39Present ho, present mind ho.
21:41Aur jab wo present mind hoga,
21:43toh phir uske baad uski yeh zimdaari hai,
21:45ke wo apne ustaad ko bahut hi tawajjo ke saath sune.
21:49Bahut hi concentration ke saath sune.
21:52Focal rahe, focused uska bahut clear ho.
21:55Ambiguity na ho, vague na ho,
21:57usko apne objective ka pata hona chahiye.
22:00Apne main aim aur main goal ka pata hona chahiye,
22:03ke wo yahaan kyun aaya hai.
22:04Apne maqsat ko zihin nasheen rakhe,
22:07aur phir apne ustaad ko bahut ghor se sune.
22:11Ab isme jo hai hazrat,
22:12jaise ke hum example le sekte hain,
22:14hazrat Abdullah bin Mubarak rahmatullah alaihi wa sallam
22:16firmaate hain,
22:17ke ilm shuru niyat se hota hai,
22:19aur phir usko samajhna,
22:21tawajjo se sunna,
22:22samajhna,
22:23aur hifz karna.
22:24Hifz karna, yani yaad karna,
22:26aur phir uspar amal karna,
22:28aur phir usse aage tak pahunchana.
22:30Toh goya shagird ko istarhaan se samajhna chahiye,
22:34istarhaan se uski listening power,
22:37istarhaan se uski strong honi chahiye.
22:39Aur Imam Ghazali ka call hai,
22:41ke ilm us waqt tumhe kuch dega,
22:43jab tak tum apna sab kuch ilm ko de doge.
22:46Subhanallah, kya baat.
22:47Toh istarhaan se tawajjo ke saath,
22:49student ko betna chahiye.
22:51Acha, agar kuch samajh mein nahi aa raha,
22:53learner ko,
22:53toh wo sawal puche.
22:55Ab sawal puchne ka bhi tariqah ho,
22:57ghar zaruri sawalat se gures kare,
22:59kuch samajh nahi aa raha,
23:00mushkilat hain,
23:01toh question bilkul kare,
23:03lekin uska taqaza yeh hai puchne ka,
23:05ke bahuti adab-o-ahtaraam ke saath puche.
23:07Bahuti munasib tariqah se puche.
23:09Nabi-e-Paak sallallahu alaihi waalaihi wa sallam
23:11ka ishaad-e-girami hai,
23:13ke ache tariqah se sawal karna bhi,
23:15aadha ilm hai.
23:16Kya baat hai.
23:17Toh isliye bahuti adab ke saath,
23:19ahtaraam ke saath,
23:20bahut munasib rawaye se,
23:22question kare.
23:23Phir uske baad,
23:25teacher agar koi task de raha hai,
23:27koi homework de raha hai,
23:29toh usko bahut hi imaan-daari ke saath,
23:32properly usko kare,
23:33usko complete kare,
23:35usko accomplished kare.
23:37Aur yeh ek shagird ka farz aur zimmedaari hai,
23:41ke woh apne task ko bahut hi acche tariqah se kare.
23:44Jis-jis tariqah se,
23:45jin-jin muaamlaat mein,
23:48ustaad jo hai talimi faide ke liye
23:51hidayat de raha hai,
23:52students ko provide kar raha hai,
23:54toh students ka,
23:55learner ka yeh zimmedaari hai,
23:57ke woh uspar amal kare.
23:58Hum iski,
24:00hum dekh sakte hain,
24:00ke jaise sahaba-e-karam,
24:02bargah-e-risalat mein jab baithte the,
24:04toh woh is tarahan se baithte the,
24:06ke jaise unke siro mein parinde baithe hain.
24:10Matlab, itna bhi woh nahi hilte the,
24:12ke aisa lagta tha,
24:13hilte nahi the,
24:14ke aisa lagta tha,
24:15ke par jo hai,
24:15woh parinde jo hai,
24:16woh ur jayenge.
24:17Jani adab ka yeh maqam tha.
24:18Itna adab ka taqaza tha,
24:20itne focus,
24:21itne yaksui ke saath baithte the.
24:23Toh goya,
24:24yeh students ka jo hai,
24:26yeh zimmedaari hai,
24:27ke woh yaksui ke saath,
24:29class room mein baithe,
24:30aur attentive baithe,
24:31teacher ko bahut adab ke saath sune.
24:34Aur farmaan-e-nabwi sallallahu alaihi wa sallam hai,
24:37jisse ilm hasil karo,
24:39uske saath aajazi-o-inqisari ke saath pesh aana chahiye.
24:49Janab humare aur aap ke darmian,
24:51ik waqfa haail hai.
24:52Hazir hote hain,
24:53is muqtasar se waqfe ke baad.
24:54Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu.
24:58Meri pehchaan mein,
24:59ek martaba phir,
25:00aap sabka khair magdam hai.
25:02Janab mauziz mehman,
25:03shahsiyat bhi,
25:04raunaq afroz hai.
25:05Aur aaj ka jo unwaan hai,
25:07woh bhi bahut pyaara hai.
25:08Yani ustaad aur shagird ke rishte ke taaluk se,
25:11hum kalam kar rahe hain.
25:13Humare saath maujood hain,
25:14Dr. Imtiaz Javed Khakri sahiba,
25:16aur Sadaf Fatima bhi tashreef farma hain.
25:18Ab janab,
25:19jis taraha se ek mashoor qaul hai,
25:21ke ustaad baadshah nahi hota,
25:24lekin baadshah bana deta hai.
25:26Apne shagird ko,
25:27wo is maqam par pauncha deta hai,
25:29ke wo baadshah ban jata hai.
25:31Dr. sahiba,
25:32aap humare saath maujood hain.
25:33Agar hum baat kar lein,
25:34ustaad ke adab aur ehteram ke taaluk se.
25:37Main chahungi,
25:37is par bhi ehmiyat,
25:38is ki kya ehmiyat hai,
25:39is par kalam kijega.
25:41Aur saath saath,
25:41humare paas beshumaar aise waqiat hain,
25:43aapa humare islaaf ke,
25:45ke jino ne apne asaat-aza ki,
25:47kis tarahan se izzat ki,
25:48kis tarahan se tauqeer ki,
25:49kaisa ehteram,
25:51kya maqam aur martaba unko ata ho hormaya,
25:53is hawale se bhi kalam kijega.
25:54Fermahiye.
25:55Shukriya Zainab.
25:57Jab hum taalim aur tadreej ke us amal par nigah daalain,
25:59to usme bada marqazi role in dono ka hai.
26:02Kyuki har cheez us shagird ke liye hai,
26:04taake uski tadbiyat ki jaa seke.
26:06Aur kitab mein hone ke baa wajood,
26:07darsgaah hone ke baa wajood,
26:09ek bahut aahim role ustaad ka hota hai.
26:11Sai.
26:11Ki ustaad ne us shagird mein muntakeel karna hai,
26:14uski lohe kalb par,
26:15uski lohe zain par,
26:17usne nakoosh utarne hai.
26:19Sai.
26:19To wo ek role model ki tarah,
26:21apne teacher ko dekh ra hota hai.
26:23To jab tak wo us role model ka adab aur ehteram nahi karta,
26:27to uske liye ilm nafabakhsh nahi hota.
26:30Jo ulma kehte hain ki,
26:31ek information ko to lena nahi hai,
26:34balke ilm ko aise hasil karna hai,
26:36ki wo shahoor de,
26:37aa gayi de,
26:37nafabakhshi de,
26:39us ilm ka faiz usko mile.
26:41To ye faiz depend karta hai,
26:43ki wo apne ustaad ka kis kadar adab aur ehteram karta hai.
26:46Aaj hum dekhe,
26:47itne degree holder hote hain,
26:49magar ikhlaak aur kirdaar ki tahmeer nahi ho rahi.
26:52Wajah ye hai,
26:52ki wo apne paise ke bulb hote par jab jaate hain,
26:55to wo ye samayte hain,
26:56ki hum itni feese de kar aaye hain,
26:57to wo asadza ka wo ehteram nahi hain,
26:59wo adab nahi hain.
27:00Unhe ye lagta hai,
27:01ki bas iska kaam ye hai,
27:02ki hume aakar information de jaye aur chala jaye,
27:05to wisdom nahi aare,
27:06uska faiz nahi aara.
27:08Jab tak asadza ka adab aur ehteram nahi aata,
27:11us waqt ab ilm ki rahein aasaan nahi hoti.
27:14Goya jab apne asadza ka adab karte hain,
27:17ehteram karte hain,
27:18ataat karte hain,
27:19usse ek muhabbat ka,
27:21aqeedat ka taaluk baante hain,
27:23to ilm hasil hota hai,
27:25ilm ki nafabakhshi ata hoti hai,
27:27phir neematon ka usool hota hai,
27:30zawaal-e-neemat se Allah bacha leta hai,
27:32aur dekhen to ilm bazaate,
27:35khud ek badi daulat hai,
27:36badi daulat hai,
27:37jisse koi churaa nahi sakta.
27:39To wo daulat aapko mil kiske zariye rahi hain?
27:42Allah Rabbul Izzat nahi,
27:45jiski ghazaayin us tak paunch nahi hain,
27:48lekin ye jo sabab banaya hai,
27:49Allah ne kisi ko,
27:51waseela banaya hai,
27:52to ab aapka kaam kya hai,
27:53ki uski qadar karein,
27:54uski izzat karein,
27:55uski tarah diyaan de,
27:57ki Allah ke hukam se hi,
27:58ye ek zariya banaya hai,
28:00kiske zariye aapko ilm ata ho raha hai,
28:03phir aap jab badon ka itaraam karte hain,
28:05apne asadza ka itaraam karte hain,
28:07to wo khush hokar duaayin dete hain,
28:09to unki jo duaayin hain,
28:11apne shagirdon ke haq mein,
28:12aap dekhen to jo shagird,
28:14zyada adab aur itaraam karte hain,
28:16izzat karte hain,
28:17wo kaamyaab ho jata hai,
28:19wajah ye hai,
28:20ke asadza ke dil se nikli hui dua,
28:22waise hi aap kisi ka dil khush kar de,
28:24to uske dil se jo dua nikalti hain,
28:26wo badi taaseer wali hoti hain,
28:28to jab aap apne asadza ka khayal rakte hain,
28:30unke liye aap adab se kharay ho jate hain,
28:32raste mein nazar a jayein,
28:33to aap itaraam dete hain,
28:35to iss se kya hota hai,
28:36ke wo khush hokar aapko duaayin dete hain,
28:39Allah ki taraf se aapko ajr aur sawab ata hota hai,
28:42aur iss ek rishte ki bina par,
28:44iss ki mazbooti ki bina par,
28:45aapki baatani taameer aur tarakki hoti hai,
28:48jo ek insaan ko kirdar saazi honi hai,
28:52insaan saazi,
28:53ke uske andar insaniyat aaye,
28:55jazba aaye,
28:56aisaas aaye,
28:57to usse ek behtar taaleem aur aagayi aur shaur milta hai,
29:01jahaan tak baat aati hai,
29:02ke misaalein jo taarikh mein milti hain,
29:05to main Huzoor-e-Akram Sallallahu alaihi wa sallam ki zaatein mubarakah se yeh shuru karu,
29:10ke jab sulah udabiyah ke mukah par,
29:12wo kufaar ki taraf se ek nomainda aaya,
29:13to wo kehte hai,
29:14ke maine aisa manzar toh kisi darbaar mein na dekha,
29:17Qaiser-o-Kisra ke darbaar mein nahin dekha,
29:20jo maine Huzoor-e-Akram Sallallahu alaihi wa sallam ki darbaar mein dekha,
29:24wo boltein,
29:25to sahaba khamos ho jatein,
29:27unka lawab-e-dahin kisi ke haton par girta hai,
29:29wo hukam detein,
29:30to sab daud partein bajah lane ko,
29:33to yeh kya tha,
29:34yeh muhabbat thi,
29:36yeh adab tha,
29:37yeh itaraam tha,
29:38ke jisse wo sahaba bhi sitaaron ki maanit chamke,
29:41phir abhi Imam Abu Hanifa ki bhi baat hui,
29:43ke apne ustaad ke ghar ki taraf paun nahin karte the,
29:47isi tarah Imam Fakhr-ud-Din Aiman-e-Waqt kailate the,
29:51bada unka maqam aur martaba tha,
29:53jo Sultan tha,
29:54wo bhi unke izzat,
29:55itaraam karte tha,
29:56wo kahte hai,
29:57yeh maqam maine paaya hai,
29:58to apne ustaad ki khidmat,
30:00aur uske adab aur itaraam se mila hai,
30:02isi tarah Allama Iqbal ko ek martaba,
30:06ek khitab dene ke liye,
30:07mera khawal hai,
30:08sar ka jab khitab mila,
30:09to aapko stage par bulaya gaya,
30:11to aapne firmaaya ki,
30:12main ise kabul nahin karunga,
30:13jab tak mere ustaad ko nahin dete,
30:16to wo intazamiya majboor ho gayi,
30:18unne kaha,
30:18aaj main jo kuch hu,
30:19apne ustaad ki wajah se hu,
30:21to jab tak mere ustaad ko,
30:23yehi khitab nahin diya jata,
30:25to main ise kabul nahin karunga,
30:27to is par unke ustaad ko bulaya gaya,
30:29aur unko bhi wo khitab diya gaya,
30:31isi tarah Ishfaq-e-Ahmad,
30:33daanishwar hain,
30:34adeeb hain,
30:34wo likhte hain,
30:35ke ek martaba,
30:36main ikhli mein padhata tha,
30:37to mera chalan ho gaya,
30:38to main chalan waqt par jama nahin karwa saka,
30:41to mujhe adalat mein bulaya gaya,
30:42to jab main adalat mein pauncha,
30:44to judge ne mujhe poocha,
30:45ke apne kyu nahin jama karaya hai,
30:47to main ne bataya ki,
30:48main tadrees ki shobhe se wabas tha hu,
30:50to main masroob tha,
30:51to kahte hain,
30:51judge uthkar khada ho gaya,
30:54aur usne kaha,
30:55a teacher in the court,
30:56yeh kaise momkin hai,
30:58to chalan bhi zarurat nahin rahi,
31:00jama karane ki,
31:01ulta unne izzat aur ehteram mila,
31:04to jin maashram mein,
31:05jin societies mein,
31:07ek ustaad ko izzat ehteram diya jata hai,
31:09wo societies tarakhi karte hain,
31:11kash aapa yeh jo manzar hain,
31:13hum apne mulk mein bhi dekhe kahin,
31:14aur humari khwahish hai,
31:16Allah kare aisa ho,
31:17aur hota bhi hai kahin kahin,
31:19ek baat aur bhi,
31:20mere zahin mein,
31:20jab aapa baat kar rahi thi,
31:22to ek zahin ke goshay mein,
31:23yeh baat aayi,
31:24to hum kahin kahin dekhte hain,
31:25ke jo bachche hain,
31:27jo aaj ke talib-e-ilm hain,
31:28wo ustaad ko judge bhi karte hain,
31:30uske ilm ko judge karne ke hisaab se bhi,
31:33sawalat poochte hain,
31:34to aisa karne se bhi,
31:35gurais karna chahiye,
31:36kyunke ustaad ke ilm ko,
31:38aapne check nahi karna,
31:39usko judge nahi karna hain,
31:41aap humaise saath maujood hain,
31:42yeh batayiye ka Sadaf,
31:43ustaad aur shagird ka jo rishta hain,
31:46ek paakeeza,
31:47aur saleh maushree ki bunyaad rakhta hain,
31:49main chahungi Sadaf,
31:50aap iss hawaale se kalam ki jayega,
31:53jee zarur,
31:54ustaad aur shagird,
31:57ek maushree ka bahut aham tareen hisa hote hain,
32:01both are the most important part of the society,
32:04agar ustaad,
32:05apne zimmedaariyon ko,
32:06bahubi nibhata hain,
32:08aur wo ala ikdaar,
32:10peyda karta hain,
32:11apne shagirdon mein,
32:12aur shagird bhi,
32:13apne faraiz aur zimmedaariyon ko,
32:16achche se sar anjaam dete hain,
32:17to phir ek maushree jo hain,
32:19paakeeza maushree janam leta hain,
32:21aur ek saaleha maushree banta hain,
32:24aur jaise ustaad jo hain,
32:26agar mukhlis hokar,
32:27apne zimmedaariyon ko poora karega,
32:29to nek ausaaf peyda honge,
32:31aur nek khaslaton ka janam hoga,
32:34ustaad ki tarbiyat se,
32:36maushra, paakeeza,
32:38aur saale banega.
32:39Iske example hum istarahan se leh sakte hain,
32:42samat sakte hain,
32:43ke jist tarahan se,
32:44agar ustaad jo hain,
32:45shagird ko,
32:46bahot achche tariqe se,
32:48apne faraiz sar anjaam deta hain,
32:50aur shagird bhi,
32:51bahot achche tariqe se,
32:52apne faraiz aur zimmedaariyon ko,
32:54samjhte huye,
32:54husool-e-ilm hasil karta hain,
32:57ilm ka husool,
32:58ilm hasil karta hain,
32:59to phir kya hum dekhte hain,
33:01ke maushree mein,
33:02jo shagird hain,
33:04wo baad mein jaake,
33:05different department se belong karte hain.
33:07Koi student jo hain,
33:09wo forces mein hain,
33:11koi medical mein hain,
33:12koi offices mein hain,
33:13koi tijarat kar raha hain,
33:15to wo different department se,
33:17jab belong karenge,
33:18lekin unmein,
33:19jab ye khubiyan paayi jaayengi,
33:20ye qualities paayi jaayengi,
33:22jo ek ustaad ne,
33:23ustak muntakil ki hain,
33:25to phir ek maushra jo hain,
33:26wo pur aman ho jaayega,
33:28ek maushra jo hain,
33:29wo misaali ban jaayega,
33:30ek maushra jo hain,
33:31wo paakeeza ban jaayega.
33:33Aur hum dekhte hain,
33:35ke islami ibtidaai maushra,
33:37jahan hum dekhen,
33:38jahan sahaba-e-karam ko,
33:41nabi-e-paak sallallahu alaihi wa sallam ne,
33:42sahaba-e-karam ki istarhan se tarbiyat ki,
33:45ke wo ek misaali maushra bana,
33:47jiska zikr aaj bhi kitabon mein maujood hain.
33:50Aur khulfa-e-rashideen ka,
33:51agar hum daur dekhen,
33:52to talim aur ikhlaqi tarbiyat se,
33:55paakeeza aur saale maushra ki tashkeel hui.
34:00To isko agar hum aaj,
34:02isme thoda samay aaj,
34:04maujood ha daur se compare karte hui,
34:05add karna chahungi,
34:07ke agar hum maujood ha daur dekhte hain,
34:09to jo aaj ka talib-e-ilm hai,
34:11wo talim se bezaar hai,
34:13aur tarbiyat se door hai.
34:15Aur jo asaaza-e-karam hain,
34:17wo apni ghaflat-o-kautahi,
34:19ya haalaat ki majboori ki bina par,
34:22chashm-pooshi ka muzaahira kar rahe hain.
34:24To haalat-e-zaar jo hai,
34:25wo Iqbal ki is shir ki aina daar hai.
34:29Gala to ghod diya ehle madrasta ne tera,
34:32kahan se aaye sada la ilaha illallah,
34:35utha mein madrasa-o-khaanka se ghamnaak,
34:38na zindagi, na mohabbat, na maarfat, na nigaah.
34:42Allahu Akbar, beshak, beshak.
34:45Aur jab hum apne poori society par,
34:48poori maushra par nazar daalte hain,
34:50to yeh jo rishta hai,
34:51wo kisi bhi age group ka ho sakte hain.
34:53Shahid humne kisi se koi aisi baat seekhi ho,
34:57wo beshak humse age mein chhota ho,
34:59lekin agar wo hamara ustad hai,
35:01ya humne usse kuch seekha hai,
35:02to hamara farz hai,
35:03ke hum uska ehteraam karein.
35:05Ab jistaan se Dr. sahiba bhi humaye saath maujood rahi,
35:08Sadaf bhi humaye saath tashreef warma hain.
35:10Ab humne bohot kuch Dr. sahiba se bhi seekha hai.
35:14Dr. sahiba, bohot accha laga aapki guftu-guft sunkar,
35:16bohot kuch aaj bhi,
35:18is bazan mein humne seekhne ka maukah mila.
35:20Humari jo behne dekhne wali,
35:21humne bhi bohot kuch seekha aap se,
35:23aap ki aamat ka bohot shukriyada karte hain.
35:25Sadaf Fatima, aap tashreef lai hain,
35:26aapki tashreef aabdi ka bhi bohot shukriyada karte hain.
35:29Aakhir bhi bas apni program ka khatam hai,
35:31share par karungi,
35:33ki yeh gham khata chala jata hai mujhko,
35:38mujhe is khawf se fursat nahi hai,
35:45kahin barkat na uth jaye waha par.
35:48Kahin barkat na uth jaye waha se,
35:50jahan ustaad ki izzat nahi hai.