#asiacup2023 #acccricket #sugarprices #inflationinpakistan #caretakergovernment #protest #newsbulletin
-Sugar price shoots to Rs220 per kg
-Switzerland announces scholarships for Pakistani students
-Govt establishes special cell to probe cases related to terror financing
-Water flow returning to normal in Sutlej River: PDMA
-After Karachi, modern bag scanning machine installed at Lahore airport
ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.
-Sugar price shoots to Rs220 per kg
-Switzerland announces scholarships for Pakistani students
-Govt establishes special cell to probe cases related to terror financing
-Water flow returning to normal in Sutlej River: PDMA
-After Karachi, modern bag scanning machine installed at Lahore airport
ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.
Category
🗞
NewsTranscript
00:00 Welcome back. Karachi to Khyber to ek hi duhai jaan le gaye mehngai. Saste bazaar bhi mehngai ke dal dal me thas gaye. Jo sabzi leta hai wo aata nahi le paata. Jaise taise aata kharid liya to bachon ke liye dood kharidne ki sakat nahi. Do bakki roti ke husool le awam ke aansu nikalwa diye.
00:23 Kitna bhi jaye ro rahe hain hum. Kari baar bhi sabzi dal khata hai wo bhi nahi kha sakta hai. Jo log rahe gaye unke liye jeena aasaan kar. Bohot hi bore halaat hain is time. Hazar pe wali medicine do zaar teen hazaar tak ponchi hui.
00:37 Sab ki ek hi duhai. Mehngai re mehngai. Do bakki roti awam ke liye ho gayi bhaari. Karachi meh tomato 150, aloo 120, payaaz 100, bhindi 240 aur gobi 150 rupai kilo farukht ki ja rahi hai. Shehri kehte hai ab peth paal na mushkil hai.
00:59 Kitna bhi jaye ro rahe hain hum. Kari baar bhi sabzi dal khata hai wo bhi nahi kha sakta hai. Jiti mushkil ke re gayi. Bohot zyada mushkil hai.
01:06 Wahane nahi denge. Inshallah umeet to ye hai ke koi achiye log aajayen aur alaat sahi ho jayen. Bhai khudkashri se pehle bachalo. To awam bohot hi zyada bil bardashta hai.
01:15 Gareeb ki sawari motor cycle bhi mehngai ki wajah se aam aadmi ki pohont se door hone lagi. Pankchar baaron ne rate padha diye.
01:22 Abhi 300 rupe ka toh mene pankchar lagwa hai. Pankchar lagwa hai, abhi petrol ne inhone 300 rupe kar diya. Abhi aane jaane ka jo humara hisaab kitab hai. Yeh purchase power yeh humari decrease kar di.
01:30 Koi 180 rupe leh raha hai, koi 150 rupe leh raha hai. Chipkane wala pankchar laga dete hain. Aage jaake gari phir pankchar ho jati hai.
01:37 Islamabad ke saste bazaar bhi barti mehngai ki lapet me hai. Dukandar kehte hai mehngai ne kharidar bhi kam kar diye hain. Mehngai ne Lahore ke awam ki bhi cheekhay nikal di.
01:48 Sheriyeon ke saath dukandar bhi pareshan. Kehte hai jo log bache hain unko toh jeene diya jaye.
01:54 Rate list lagi ho toh customer ko fata chalta hai ke government ne kya rate rakha hai aur yeh kya de rahe hain. Wo bhi nahi hai.
02:01 Bas arbaab akhtyaar se yeh hi request hai, jo log raha gaye unke liye jeena aasaan kar.
02:07 Karaya pehle 300 rupe tha, ab karaya 700 rupe hai rakshe ka idhar aane ka. 5 rupe, 6 rupe, 10 rupe sabzi mein kumaane hote hain. 5, 10 minute kam karenge, wo routine hi humari banti.
02:16 Faisalabad me jaan bachane wali adhiyat mehngi hone ke saath saath naayaab bhi ho gayi. Mareezon ki mushkilat badh gayi.
02:23 Hukumat se keematon me fauri kami karne ka mutalba.
02:26 Mohotin buray halaat hain is time. Hazar pe wali medicine 2000, 3000 tak pohnchi ho gayi hai.
02:30 Sugar ka patient, heart patient hain. Jinn ki medicine hi nahi mere rahe gaya.
02:33 Punjab ke deegar shahroon me bhi aata, sabzi, daal, chawal aur deegar ashya aam aadmi ki pohont se door ho gayi hain.
02:40 Awam kehte hain, intizamiya sarkari narkhon par amal karane mein mukkamal naakam hai. Hukumat mehgaayi ke jinn ko control kare.
02:48 Ab ek cup chai peena bhi mushkil ho gaya. Chini ke keemat ne double century cross karli hai.
02:54 Fee kilo chini 190 se 200 rupe tak faroqt hone lagi.
02:57 Idara-e-shumariyat ka kehna hai, ek hafte me mulk ki andar chini ke keemat me 18 rupe fee kilo tak izafa hua.
03:04 280 rupee, daal bhi itni mehngi, chawal bhi itni mehngi.
03:08 Chini 200 rupee kilo ho gayi hai, cup chai da bhi jade peenda.
03:11 29 na bhaaste bhi chai da cup peena bhi mushkil ho gaya.
03:14 Kamar tod diya gareeb ki, khela lagata hai, woh kaise poori kare.
03:17 Mehngi chini ne awam ki zindagi mein karbahat kholti.
03:22 Fee kilo 200 rupee faroqt hone lagi.
03:24 Lahore me chini nayab ho gayi.
03:29 Chand ek dukhano par jahan chini dastiyab hai, waha uske narkh 195 se 200 rupee fee kilo hai.
03:35 Chini mehngi ho gaya, har chit mehngi ho gaya, atta mehngi ho gaya, yeh log kahan ja rahein, bas karo tum log hai, bas karo.
03:41 Quetta me chini ki double century, fee kilo keemat 220 rupee ho gayi, zakheeran 200 aur manafa khoro ki chandi.
03:48 Karachi sabit digar shahru me bhi chini ki keemat pe izafa ho gaya, 180 se 200 rupee fee kilo faroqt ki ja rahi hai.
03:57 Multan me wholesale chini fee kilo 180 rupee, jabke retail me 190 rupee me dastiyab hai.
04:04 Chini thi roz mera, zingi me islamaar hoti ho, uske bhi rate badha diye, gareeb jaye toh jaye, kaam maari jaye.
04:08 Itni caste liye, gareeb bande ki paunche doon hai.
04:10 Idara shumaryaat ka kehna hai, ek hafte me mulk ke andar chini ki keemat me 18 rupee fee kilo tak izafa hua.
04:16 Islamabad, Rawalpindi, Lahore, Peshawar, Khuzdar, Hyderabad me chini 175 rupee fee kilo dastiyab hai.
04:23 Nigrah Wazir Azam ka awam ko bijli ke bilo me relief dene ka wadah poora na ho saka.
04:30 Mulk bhar me bhaari bharkam bil wapas lene ke liye ahitajat jaari hai.
04:34 Shehriyon ka kehna hai, kuch bhi ho jaye, ye bil adhan nahi kar sakte.
04:37 Jo do maa ka bil badha hai, isko humne bohot closely monitor bhi kiya hai, iski calculation bhi kiya hai.
04:44 Within 48 hours, we will come up with a policy also.
04:48 Awam ko bijli bilon ke pahar tale dabhe 10 roz kusar gaye.
04:56 Nigrah hukumat awam ko relief na de saki.
04:58 Nigrah Wazir Azam ka 48 ghante me relief ka wadah bhi poora na hoa.
05:02 Bijli ke bhaari bilon se parishan awam ka shehr shehr ahitajat.
05:06 Baar gayi mehngai.
05:08 Atak me shehri sadko par aagaye.
05:11 Hajisha ke maqam par GT road bandh kar diya.
05:13 Bijli ke bilon me kami aur tax ko wapas lene ka mutaliba kiya.
05:16 Shehriyon mehngai.
05:18 Jacobabad me shehriyon ne mehngai aur bijli ke bilon me izafahe ke khilaf sadko par march kiya.
05:24 Melsi me Anjuman Tajran aur Jamaat-e-Islami ne mehngi bijli aur mehngi petrol ke khilaf rally nikaali.
05:30 Shehriyon ne badi taadaat me shirkat ki.
05:32 Tata na mandoor.
05:35 Chishtiyan me izafi bilon ke khilaf Tajir baradari aur civil society ne itajaji rally nikaali.
05:40 Shuraka ne mutalibaat ke haq me play cards aur banners utha rakhe the.
05:44 Bijli ke izafi bilon me Nigrah Wazir Azam ne koi relief na diya to jail bharo tahreek shuru karenge.
05:50 Tajir baradari ki dhanki.
05:52 Kehte hain Nigrah Wazir Azam ka wada bhi wafa na hua.
05:55 Umeed hai jald relief ka ailaan hoga.
05:57 Aisa nahi hota to mulk gheer hartaal ke saath jail bharo tahreek shuru ki jayegi.
06:02 Pakistan ne bataya tha ke 48 ghanto ke andar andar hum reforms lekar aayenge, tariff ko change karenge.
06:09 Lekin abhi tak koi aisa ikdaam nahi uthaayage.
06:11 Toh liyaaza ab hum jail bharo tahreek ki taraf badege.
06:13 Wazir-e-Azam Pakistan ne 48 ghanto ke andar koi ailaan na kiya to phir Tajir baradari.
06:19 Shutterdown se bhi zyada Allah-e-Amal ikhtiyar karegi.
06:22 48 ghanto ke uzad chukte hain aur abhi taga mahamal dharamat nahi hua hai.
06:26 Kota, ek shahir-e-Pakistan ka 8 bhi dukhaane khulti hain, 6 bhi bhi band ho jati hain.
06:30 Karachi mein hum ne system laana chahiye ke subah 8 bhi dukhaane khulein.
06:35 Maghrib se pehle hi dukhaane band ho jani chahiye.
06:37 Aur koi ilaj nahi hai, nahi to phir hum Lalit-e-Ain me majboor na ho jaye.
06:41 Karachi mein do raza hartaal ke bhaujut, hukumand-e-qadar policy declare kiye
06:45 Karachi Electric ka maamla kya hoga, Bijli ke narkhon ka kya hoga.
06:48 Hum bahut jald aindhe ehtijazi laa-e-Amal ka ailaan karenge.
06:51 Jamaat-e-Islami ne IPP se kiye gaye muhaidon ke khilaf Supreme Court ka darwaza khat-khatane ka ailaan kardiya.
06:57 Siraj-ul-Haq kahte hain, PP aur PDM ke Bijli gharon se kiye gaye muhaidon se bill death warrant bant chuke.
07:03 Unhone zalibana bilon ke khilaf chaaro Governor Houses ke bhaar dharna dene ka ailaan bhi kardiya.
07:09 The terrorist party aur unke ehtihadiyon, PDM ne jo muahidi kiye unka khamiyaaza poori khaum bhogat rahi hai.
07:15 IPP's ke saath ye muahidi, in logon ne kiye hai, unhone Pakistan ke saath, awaam ke saath zulam kiya hai, haddari kiye hai.
07:26 Hum in tamaam muahidon ki tafseelaat lekar Supreme Court mein bhi jayenge.
07:30 In muahidon ki netije Pakistan ki awaam jeb pe roz haqa phal raha hai.
07:36 Logon ke zakhmon par marham rakne ki wajahe, Wazir-e-Azam ne namak bashi ki Bijli bill maut ke parwane hai.
07:46 Logon ke rang zarg pad gaye, hum chaaro Governor Houses par dharne denge.
07:52 Udhar NAB Lahore ne kickbacks ke ilzaam mein, sabik Wazir-e-Ala Punjab Chaudhry Parvez Ilahi ke Principal Secretary Mohammad Khan Bhatti ko NAB Lahore ne giraftar kar liya.
08:01 Mohammad Khan Bhatti par tamirati theko mein ek arab rupe kickbacks aur corruption ka ilzaam hai.
08:06 Mulzim par gair kanuni bhartiyon aur ikhtiyarat ke najais istimaal ka case bhi jal raha hai.
08:11 Mubayena taur par kickbacks se hasil ki jaane wali rakam Chaudhry Parvez Ilahi, Mooni Silahi aur Mohammad Khan Bhatti ke zaati accounts mein muntakil hone ka ilzaam hai.
08:20 NAB ne zir-e-hirasat mulzim ki Gujnawala jail se custody hasil kar li, remand ke liye kal Lahore ke ihtisab adalat mein pesh liya jaayega.
08:30 Asia Cup venue ki baat kar lete hain. Asian Cricket Council shadeed barishon se parishan. Colombo mein schedule matches ka venue tabdeel karne par soch pichar.
08:39 Bharti media ke mutaabik ACC member boards ka aham ishlaas talab kar liya. Zarai ne bataya final samay super 4 marhale ke matches palikele mein karaya jaa sakte hain.
08:47 Dabola mein matches karne par ab tak ittafaq na hoon saka. ACC agle 24-48 gante mein aham faisla karegi.
08:54 Colombo mein final samay the event ke 6 matches schedule hai. Super 4 marhale mein Pak Bharat mukabla bhi Colombo mein hi khela jaayega.
09:02 Toh Pak Bharat match mein barish ne broadcasters ka crore ka nukhsan kar diya hai. Asia Cup ke TV rights 350 bhaarti crore upay mein Star Sports ne khari de.
09:13 Pak Bharat match mein sirf 1 innings ka khel hi mumkin hoon saka. Match mein broadcaster ko 50 overs ki aamdani hui. 1 innings ka khel na hone se takreban 50 crore upay ka nukhsan hua.
09:25 Nukhsan ki bharpaye insurance company karegi. Asia Cup mein Pakistan aur Bharat 3 baat takraye toh broadcaster ko bharpoor fayda hoga.
09:33 Yahaan waqt hua ek break ka. Humare saath rahi hai.
09:41 Aur abhi aapko pata hai ki is waqt Nigrah Waziruddin Akhlaa Sindh, Brigadier Retired Haris Nawaz, Kankot mein is waqt maujood hai jahaan par muzaahin ki jaanab se dharna diya jaa raha hai.
09:49 Hindu community Pakistani ke saamne is pe sab shamil hai. Sab ko la ke denge koi problem nahi hoga yeh meri guarantee hai.
09:55 Main word de raha hu. Aur iske baad mai jaa ke khud unh logon se baha baat bhi karunga. Unko bhi tasalee jaaye.
10:01 Jo Priya Kumari bache unko mujhe nahi pata tha. Mai sab ki information leta hu.
10:05 Itne chaar din mein mai policy statement dunga ki unki kya problem hai, kaha progress hai, kya delay hai.
10:11 Yeh Hindu community ki baat nahi hai yeh Pakistani ki problem hai.
10:14 Is pe koi bhi Pakistani ho, Christian ho, Musliman ho, Sikh ho, hum sab isme shamil hai.
10:19 Sabhi isi ke ise problem ho rahi hai. Inshallah ka hum nikaal hai.
10:22 (Hindi)
10:30 Nahi dekhen uspe problem yeh hai. Dekhen uspe problem yeh hai ki yeh balke police ke liye problem hoti hai.
10:36 Jab families khud jaake koshish karte hai ke mulaqat karke unse milab karke paise de ke recovery kar le.
10:43 Wo middle man paisa kha jaata hai. Police ka se koi taluk nahi hai.
10:46 We have got a very good SP over there.
10:48 To abhi aap dekhenge ke wo... State compensate karega. State compensate ke lawa we will try ke jisne paise liye hain,
10:54 usko agar yeh nominate aapki community bata de kisne liye hain, mai paise aapko recover karke le.
10:58 Yeh mere sponsor hai.
11:00 (Hindi)
11:02 Abhi abhi aapko bataein ke Kantkot me Daakhu Raj aur Iqba ki tashweesh naak wardaadon ke khilaf
11:06 shehriyo ka aitajaj, kal sub 10 baje se National Highway par dharna chaari hai.
11:11 Aitajaj ke sabab, dera moor band hone se, teen subon ke darmayan traffic ke rawani mautal ho gayi hai,
11:16 gaadiyon ki tabil katare lagi hoi hain, Kantkot ke muzahireen se izhara ek jahiti ke liye,
11:20 Karachi me Clifton Teen Talwar par bhi aitajaj jaari hai, muzahireen ne 5 ghante se dharna de rakha hai.
11:25 Aur isi hawale se humare namayandegaan jo hai, wo Kantkot me bhi maujood hain, aur Karachi me bhi maujood hain.
11:30 Toh sabse pehle hum Kantkot ki surat haal jaan lete hain apne namayande se.
11:34 Ji update kije, kya kehna hai inn muzahireen ka?
11:37 Ali Hassan aapko awaaz aari hai?
11:45 Ji Ali Hassan update kije, kya taza tarihan surat haal hai, kya kehna hai yahan muzahireen ka?
11:50 Muzahireen ka kehna hai, abhi tak dharna jaari rakhe hoi hain, jab tak Mugi wapas nahi aasakte.
11:57 Mere aap aakam mein dekh sakte hain, udharstha 36 ghandon se,
12:00 mera camera aapko dekha de, ye dharna aur muzahra jaari hai, ye Sindh, Punjab, KP ke Balochistan ka rastha band ke hoi hain.
12:06 Humare aat Mugi jo zalle sakwa ke hain, jab tak wapas nahi aayenge, ye dharna aur muzahra jaari rega.
12:12 Limkein ki jo committee hain, unhone ye aalan ke aaye, jab tak Mugi wapas nahi aayenge,
12:17 Sindh bhar ke andar muzahireen dharna aur hartal jaari regi.
12:20 Aaj bhi Ghotki, Kashmor samayet digar chhote dharna aur muzahra jaari hain, unhone hartal ki we.
12:25 Gulshan, 3 dino se Kashmor, Kashmor, Kandkot, Tangwani, Karampur samayet digar chhote bade chhote mein,
12:30 3 dino se hartal, ye shutter bund down ka hartal ki gaiye,
12:33 jiske laage logon ko parishan ke saamna karna padha hai, kyunke logon ko khaane peene ka rashan nahi mil raha hai,
12:38 aur log jo doodh dharna se aale hain, unhone ko parishan ke saamna karna padha hai.
12:41 Aap mere akhap mein dekhene ki 3 roj ghushtha, 36 gandodar zyada ho gaye,
12:44 ki humare yaha dharna laga hua hai, jiski wajah sekdo gariyan,
12:47 hazar aur muzahra aur parishan ke aalam mein yaha khare hua hain,
12:50 kyunke ye main sharaa hai, kaumi sharaa hai,
12:52 jo Sindh, Punjab, KPK aur Barisanon ko milati hai,
12:55 yek sangam mein yek jo block kiya gaya hai.
12:57 Hindu panchaat aur jo shehri action committee hain,
13:00 yaha pe jo shehri samajitanati mein unhe abhi ye lahe mein joda hai,
13:05 ke jab tak Mughi wapas nahi aaye,
13:06 Teek Ali Hasan, aap humare saath hi rahi hai,
13:07 Karachi mein is waqt humare namayande Chand Nawab bhi maujood hai,
13:09 unh se puchtein, waha par kya surat-e-haal hai,
13:11 ji Chand Nawab update keeche.
13:13 Yeh mujood hoon, Karachi mein,
13:17 teen talwar pe jaha Kashmor, Kankot ke riyashi civil society ke saath,
13:22 mil kar jo aitejaaj kar rahe the,
13:25 unka kehna hai ke unke maghvi jo hai,
13:27 kacche ke daakon se baziyaab kar rahe jaaye,
13:30 Nigra Wazir-e-Daakhla, Sin, Haris Tawas saab yaha hai,
13:34 unko unhe ne kaha hai ke,
13:35 kei log maghviyo ko humne baziyaab kar rahe liya gaya,
13:38 aur main aap log ko guarantee deta hoon,
13:41 ke ek do roz mein jo hai,
13:42 baaki maghviyo ko bhi baziyaab kar rahe jaayega,
13:44 yaha par kei gante se traffic jaam ta,
13:46 uske baad Wazir-e-Daakhla, Nigra yaha pohche,
13:49 Sin aur muzaqraat is waqt jo hai,
13:51 aitejaajiyon se jaari hai,
13:53 unko kah jaa raha hai ke,
13:54 agar aapke teen din ke andar mutaalbaat,
13:56 maghvi baziyaab nahi,
13:57 aap dubhara aitejaaj kar rahe,
13:59 aa jaaye,
14:00 mein aapke is baat ki guarantee deta hoon,
14:02 lekin yaha kei gante se traffic jaam ta,
14:04 bachtariin, mudwaazil inzizam kiya gaya,
14:07 aur Wazir-e-Daakhla khud aaye,
14:09 kyunki unka mutaalbaat ta,
14:10 ke Nigra Wazir-e-Aala, Sin aaye,
14:13 wazir-e-Daakhla, Sin aaye,
14:14 to wazir-e-Daakhla yaha khud aaye,
14:16 aur media se baat ki unhone ka,
14:18 kei maghviyo ko jo hai,
14:19 aapke baziyaab kar rahe liya hai,
14:20 aur baakiyon ke liye hum koshiye kar rahe hain,
14:22 kyunki abhi bhi aitejaaj waalo,
14:24 jo aitejaaj ye unse,
14:25 wazir-e-Daakhla, Sin ke muzaakaraat jaari hain,
14:28 jee.
14:29 The minister of Internal Affairs is still in talks with the people of Kankot,
14:32 and he has said that,
14:34 koi bhi ho,
14:35 uska saath diya jaayega,
14:36 aur jo bhi karwaayi ho gyi,
14:38 wo ki jaayegi.
14:39 Update karne ke liye,
14:40 shukriya Chand Nawab,
14:41 aur Ali Hasan,
14:42 hum update kar rahe the.
14:43 Wapas aayenge ek break.
14:44 Humare saath rahi hain.
14:46 Welcome back.
14:49 Noon League rahnama Azma Bukhari ne,
14:51 zaatiyat ki had paar karti.
14:53 Senior sahafi Tariq Mateen par,
14:55 unke shaheed sahafi bhai Yathar Mateen ke katil ka ilzaam laga diya.
14:58 Tariq Mateen ke tweet par jawab diya,
15:00 ke wakil hona zyada sharm naak hai,
15:02 ya bhai ko jaidayat ke liye katil karwaa dena.
15:04 Tariq Mateen ne,
15:06 Azma Bukhari ke ghatiya ilzaam par,
15:07 kaanuni karwaayi ka ailaan karti ya.
15:09 Noon League rahnama Azma Bukhari ne,
15:11 kar di had paar.
15:12 Shaheed sahafi Yathar Mateen ke bhai,
15:14 Senior sahafi Tariq Mateen par,
15:16 laga diya sharm naak ilzaam.
15:18 Tariq Mateen ne tweet kiya,
15:19 ke sawal utta hai,
15:20 Raymond Davis ka wakil kaun tha?
15:22 Tariq ne tweet me,
15:23 Azma Bukhari ko mukhatib bhi nahi kiya tha.
15:25 Lekin Noon League ko nishanay par dekh kar,
15:27 Azma Bukhari se raha na gaya.
15:29 Aur unhone ikhlaqiyat aur zaatiyat ki had,
15:31 besharmi se paar karte hue jawab diya,
15:33 wakil hona zyada sharm naak hai,
15:35 ya jaidayat ki wajah se apne bhai ko katil karwaa.
15:38 Kairwaay se baat karte hue,
15:39 Tariq Mateen ne kaha,
15:44 Sharm naak hai,
15:45 jo unhone kiya hai,
15:46 Athar jis waqt shahadat hui hai,
15:48 us waqt 23,000 rupee ke kirai ke portion me,
15:51 second floor par raha tha.
15:53 Inke is harkat pe,
15:54 inko mai Inshallah legal notice bhejunga.
15:56 Tariq Mateen ke chhote bhai,
15:58 sahafi Athar Mateen ko,
15:59 18th February 2022 me,
16:01 Karachi North Nazimabad me,
16:02 daurane dhaketi shaheed kiya gaya tha.
16:04 Jiski CCTV bhi maujood hai.
16:06 Ab aapke dabao aur ehtijaat par,
16:08 police harkat me aayi,
16:09 aur 1st March ko Athar Mateen ka katil,
16:11 police mukabale me maara gaya.
16:12 In tamam haqqaiq ke bawajood,
16:14 sharm naak to it,
16:15 zahni basti ka aqaas hai.
16:17 Saniya jodha wala,
16:20 do afraat ki zaati ranjish ke baayas pesh aaya.
16:23 Police tehqiqaat me inkishaaf,
16:24 zarai ke mutaabik,
16:25 mulzim Parvez ne zaati ranjish par,
16:27 mukhalif Raja Umair ko phasane ke liye,
16:29 haul naak mansooba tayyaar kiya.
16:31 Mulzim Parvez ko shubha tha,
16:32 ki Raja Umair ke uski ehliya se taluqat hai,
16:34 Raja Umair ko katil karne ke liye,
16:36 mulzim Parvez se rakam lene wala shaks bhi zir-e-hiraasat hai.
16:39 Karachi ki aaham guzargaahon par,
16:42 khule naale aur ghatar,
16:43 keemati jaane negal rahi hai,
16:45 lekin intazamiyan ke kaan par,
16:46 joon tak nahi ring rahi.
16:48 Bad intazami aur ghaflat ki kahani,
16:50 Farooq Sami ki zubani.
16:52 Sehra-e-Khaid me 30 dino ke andar,
16:58 do bachche khule ghatar me girne ke baayas,
17:00 jaan baha,
17:01 dabke darjan bhar se zahid zakhmi hoga hai.
17:03 Intazamiyan sirf daavon aur numaish-e-ghadamat tak mehdood hai.
17:06 Jamshid town ke alaakhe me,
17:07 St. Lawrence College,
17:08 isse mutasil school aur madrasa ki shahra ka daura kal liye.
17:11 Ye khule ghatar aur khule naale,
17:13 intazami kar kardagi ko ayaan karne ke liye kaafi hai.
17:16 Chote-chote bachche hi zyara jo zayif logon wo bhi isme gir sakte,
17:19 intazamiyan se darkhas se ke isme taraf to ho jodeyen.
17:21 Haqomat ki summedari hai na,
17:22 ye hamaari thodi hai.
17:23 Islamia College aur New Amigina Road ke Link Road pe maujood,
17:26 ye Adi Dhasi sadak aur isme jhaakta, behta naala,
17:29 kisi bhi andhunak waqe ka baayaz ban sakta hai.
17:31 Bachche-bachchein jab school hota hai,
17:33 to matlab rash ho jata hai school ke time pe.
17:36 Shehriyon ka mutalba hai,
17:37 ke baldiyati hukumat apni zamindari adah kare.
17:39 Kisi bhi saane ke baad,
17:40 sog manane se kahin baithar hoga,
17:43 ke intazamiyan tarjih buniyadon par,
17:45 markazi shahraon aur schoolon aur collegeon ke saamne,
17:49 jo maujood ghatar aur naale khule hua hain,
17:52 unko band karne ke ikhdaamat karein.
17:54 Cameraman Yaqoob ke saath, Farooq Sami, ARY News, Karachi.
17:58 Bahawalpur mein khaatoon ke haan,
18:00 ek saath paanch bachche ki paidaaye,
18:02 Shree Rabba Khakir Haayshi khaatoon ne,
18:04 sarkari aspataal mein chaar ladkiyo aur ek ladke ko janam diya.
18:08 Aspataal intazamiya ka kehna hai,
18:09 saare bachche bohot kamzor hain,
18:11 inhe intahai negdaash ward mein rakha gaya hai.
18:20 Qudrat ne Islamabad ke shehriyon ko nawaz daka hai,
18:23 anmol taufai se.
18:24 Markla Hills par bane hacking tracks hain,
18:27 fitrat ka kareeb se nizara karne ka behitreen zariya.
18:30 Markla trail ki sehar kara rahi hain Islamabad se,
18:33 mein Vishnazeer apni is report mein.
18:35 Islamabad ka jaana pehchana trail 5,
18:37 jo apne qudrati husn ki wajah se mashhoor hai.
18:40 Jawaan, bachche, boode, sabhi yahan walk karte nazar aaye.
18:43 Mental fitness ke liye bhi bahut zaroori hai,
18:45 mental health ke liye bahut zaroori hai,
18:47 stress ko release karne ke liye bahut zaroori hai.
18:49 Aapko dikhna chahate hain na,
18:50 ka aap pithayen ke nahin.
18:51 Toh aap yehi,
18:52 hike toh yeh sabse acha test hai,
18:54 lekin aap das seediya chadke dikhein.
18:55 Aapka saans phool jata hai,
18:57 kyunki aap sedentary rahate hain.
18:58 Trail par namaz ki adaigi ke liye masjid bhi banayi gayi hai,
19:02 aur 2 km ke baad paani ka chashma bhi nikalta hai.
19:05 Is trail ke darmayan se ek raasta,
19:07 trail 3 se bhi jawa milta hai,
19:09 aur mazeed upar jaake,
19:11 peer suhawa tak le jata hai.
19:13 Humne trail 5 ke dilkash aur haseen manazir aapko dikha hai.
19:17 Raasta dashwar guzar tha,
19:19 lekin humne bahut enjoy kiya.
19:21 Aap bhi Islamabad ka rukh karein,
19:22 toh is trail par zarur aayen.
19:24 Yakeen karein,
19:25 aap bhi bahut zyada lutfandoz honge.
19:27 Cameraman Mubashir Nazir ke saath,
19:29 Mehwish Nazir, ARY News, Islamabad.
19:31 Woh Lidun se philal itna hai,
19:32 dekhte rahiye, ARY News.