************************************ Ye kahaan leke aayi hai khwaishein Dahdkane bekhudi mein jaane kya karein Hua kya hai tujhe aye mere mann baaware Bebasi mein jaane na tu ye kya kare
Aye manwa behrupiya Tu na jaane ye kya kar diya (x2)
Ek daur koi hi kheenche Khawbon ke peeche peeche Kehna kissi ka maane na
Aye manwa behrupiya Tu na jaane ye kya kar diya (x2)
Apni kismat ko khud hi badal le Mukti ke iss pad par tu khud he chal de Sapne tere kabhi na honge adhure Tere iraade bhi ab honge pure
Janam maran ke daagoe se ab toh Tu aise bandh jayega Ruh ka parinda Udke phir se iss dharti pe aayega
Aye manwa behrupiya Tu na jaane ye kya kar diya (x2)
Saasein behkti hai mere seene mein Aane laga hai mujhko maza ab jeene mein Pass pahunch na hai taaro ke Pankh laga ke armaano ke Tu udta hi jaaye
Aye manwa behrupiya Tu na jaane ye kya kar diya (x2)
Zindagi ye jab hi afsaane naye banati hai Ashquon ke katro ko bhi moti sa chamkati hai Mitt jaate hai faasle pass jab ye bulati hai Lamho ko dhund rahe the khud chalkar aa jate hai
Pal bhar mein khusiyon ke ab ye kaise saugat hai Ubar gaye jo gaalon pe Rang hai ya jazbaat hai Kyun aise manwa..
Aye manwa behrupiya Tu na jaane ye kya kar diya (x2)
Ek daur koi hi kheenche Khawbon ke peeche peeche Kehna kissi ka maane na
Aye manwa behrupiya Tu na jaane ye kya kar diya (x2)