Nusrat Fateh Ali Khan Qawwali Dil Jis Se Zinda Hain. The poet/writer of this qawwali was Molana Zafar Ali Khan. Source --> https://www.youtube.com/watch?v=JlwpnvqyN_4
teri zulf gar shab-e-qadr hai tera chehra badr-e-muneer hai tere sadqe jaaon mein ya-nabi tu habib-e-rabb-e-qadeer hai
tera husn jalwa e toor hai teri shakal surah e noor hai ke jahaan mein koi aaj tak teri misl hai na nazeer hai
teri deed jisko naseeb hai wo naseeb qabil-e-deed hai tera dekhna meri eid hai tera rukh kalam-e-majeed hai
teri deed karne ko khud khuda tujhe paas apne bula liya to bitha ke saamne yeh kaha meri aaj arsh pe eid hai
tera noor noor-e-qadeem hai tera husn husn-e-kamaal hai nahi jiski koi misaal hai tu he aamina ka wo laal hai
ay alam nashra de seene waliya ay shahenshah madina waliya aavi ja wal fajr chehre waliya aavi ja yasin sehre waliya yaad teri da mei deeva waliya aavi ja hun kaali kamli waliya
dil jis se zinda hai wo tum ho dil jis se zinda hai wo tum ho (Sufi Chants)
roya shab e hijraan mein bohot ashq bahaya itni mein musawwir ko rehm jo aaya naqshe kayi tasveero ke wo saamnay laaya bola ke yeh yusuf hai yeh eesa hai yeh musa mein ne kaha in mein se kisi per nahi sheda jab saamnay laya wo shabeeh e shah e wala besaakhta us waqt zubaan se meri nikla...
mujh chand bashar shasaniye matthe chamke laath nooraniye kali zulf te akh mastaniye makhmor akhi hinmat bharya teri surat nu mein jaan akha jaana ke jaane jahan akha sach aakha te rub di shaan akha jis shaan to shana sub banya
subhanallah, ma ajmalaka, ma ahsanaka, ma akmalaka kithe mehr ali kithe teri sana gustaakh akhi kithe ja ariyan
subhanallah ma ajmalaka, ma ahsanaka, ma akmalaka subhanallah allah allah subhanallah allah allah
jine dekhiya kamli waliya nu noohu nikliya wah subhanallah noori mukhre te kayi chamk diye kaise zulf e siyaah subhanallah
lab'laal-e-yemen qadsarv-e-chaman ey naafa kutan ate her hai badan tere husn di ki tareef karaan kahay uthiya khuda subhanallah
bus Allah Allah subhanallah Allah Allah subhanallah (Sufi Chants)
farishta dar pe basad ehtiraam aata hai khuda ke baad tumhara he naam aata hai kaleem hoon ge tumhein kya kaleem se nisbat tumhara ghar mein khuda ka kalaam aata hai 15:00
bus allah allah subhanallah allah allah subhanallah allah allah (Sufi chants)
tu ne qabl az do jahaan shan e tajalla dekhi arsh banta howa sajti howi dunya dekhi tere qadmo mein jhuki saray rasoolon ki jabeen sub ne allah ko mana teri dekha dekhi
allah allah subhanallah allah allah subhanallah bus allah allah (Sufi chants)
her ik kundal kundal uthe aashiq ta dil dolay husn tere di sift di aakha kaafir kalma bolay aakhe
allah allah subhanallah
Subhanallah, Ma Ajmalaka Ma Ahsanaka, Ma Akmalaka kithe mehr ali kithe teri sana gustaakh akhi kithe ja ariyan
marhaba marhaba
ya noor ul ainee marhaba jaddil hussaini marhaba
ya imam ul qiblatain ya nabi ul harmein
aap hein aankhon ki thandak aap hein her dil ka chein
innaka shams ud duha innaka badr ud doja innaka noor ul huda innaka sadr ul ula az ibtida ta intiha tu ya muhammad mustafa
dil jis se zinda hai wo tum ho dil jis se zinda hai wo tum ho
mujh purkhata ki laaj tumhare he haath hai mujh nange do jaha ka wasila tumhe to ho 19:00
jo dastageer hai wo tumhara he haath hai
jo dastageer hai wo tumhara he haath hai jo doobne na de wo sahara tumhe to ho
dunya mein rehmat-e-do'jahaan aur kon hai jiski nahi nazeer wo tanha tumhe to ho
phoota jo seena-e shab-e-tare alast se us noor-e-awwaleen ka ujala tumhe to ho
chalte hein gibrael ke par jis maqaam per uski haqeeqaton se shanasa tumhe to ho
sub kuch tumhare waastay paida keya gaya ay taajdar e yasrab o bat'ha tumhe to ho
dil jis se zinda hai wo tumhe to ho dil jis se zinda hai...