Some Simple Eyes Exercises To Improve Your Eyes

  • 9 years ago
Visit http://www.islamiwazaif.com
Islamic and Quranic Wazaif in urdu, Ahadees Sharif, Masnoon Duain, Durood Sharif, complete Quran Pak with Urdu and English Translation, health tips, beauty tips, ghareloo totkay, fruit benefits, vegetable benefits and find the solution of all your problems through Rohani ilaj.

Facebook Page: http://www.facebook.com/islamiwazaifurdu
Twitter: https://twitter.com/iftikharalamsbg
Google+: https://plus.google.com/116083544705757703790

Aankhon Ki Chand Exercises
Aankhon ki sehat or tandurusti ke liye zail mein di gai exercise se fawaid hasil karein or apni eyes ko khoobsurat banayen. Eyes bohat bari naimat hein or bohat si ladies apni eyes ki care theek tarikay se nahi karti. Jis se eyes be ronaq or kharab ho jati hein is liye eyes par tawajja dena zaroori ha.

Apni hatheli ki piyale ki shakal banayen or eyes band kar ke hatheli (Isi shakal mein) eyes par rakh lein. Is ke baad eyes khol dein or hatheli ke andar chupaye hue andhere ko dekhen. Is amal se aap ki eyes ko sukoon mile ga.

Sar ko seedha rakhein phir eyes ko zor se upar uthayen or thori dair isi halat mein rahen phir nazar ko jahan tak ho sake neeche karein. Thori dair thehren, phir bayen taraf door tak dekhen, phir thori dair thehren or right side dekhen. 1 lamha younhi theherne ke baad putlio ko charo taraf ghumayen. In exercise se chand hi roz mein eyes roshan, chamkeli or kali ki tarah khil jati hein or eyes par herat angez asar hota ha.

Study karte ya likte waqt thori thori dair ke baad chand second ke liye apni eyes band kar ke sukoon hasil karein. Bar bar eye lashes jhapakna bhi exercise ha. Eyes ke health or aesabi dabao se bachne ke lie ye exercises intahai ahem hein.

Recommended