##Lyrics: _ Saadagi to hamari zara dekhiye aitbaar aapke vaade per kar liya Saadgi to hamari zara dekhiye Saadgi to hamari zara dekhiye
Masti mein ik haseen ko khuda kah gaye hain hum jo kuch bhi keh gaye hein baja keh gaye hain hum Saadgi to hamari zara dekhiye aaa saadgi to hamari zara dekhiye
Charofadgi to dekhu hamare khaloos ki kis saadgi say tujhko khuda keh gaye hain hum
saadgi to hamari zara dekhiye saadgi to hamari zara dekhiye
Kiss chop kiss tamanna kis darja sadgi se hum aap ki shikayat karte hain aap hi se
saadgi to hamari zara dekhiye saadgi to hamari zara dekhiye
Ik tere ata ki rodaad ho gaye hain hum tere ata ki rodaad ho gaye hain hum badhe khuloos se barbaad ho gaye hain hum zara dekhiye
saadgi to hamari zara dekhiye saadgi to hamari zara dekhiyeh
Saadgi to hamari zara daikh'iyeh aitbaar aapke vaade par kar liya
Baat to sirf ik raat ki thi magar intzaar aap ka umar bhar kar lia
Ishq mein uljhane pehle hi kam na thi aur paida naya dard-e-sir kar lia Log darte hain kaatil ki parchaayi se humne qatil ke dil mein bhi ghar kar lia
Zikkar ik bewafa aur sitamgar ka tha shikwa kia sitam ka to namdida ho gaye
tum to zara si baat par ranjida ho gaye zikkar ik bewafa aur sitamgar ka tha
Tera zulam nahi hai shamil gar meri barbadi mein phir yeh aankhein bheeg rahi hain kyun mere afsaane se
zikkar ik bewafa aur sitamgar ka tha zikakr ik bewafa aur sitamgar ka tha
meri halat daikh ker tum kyun pareshan ho gaye zikakr ik bewafa aur sitamgar ka tha
Zikkar ik bewafa aur sitamgar ka tha aap ka aise baaton se kya waasta
Aap to bewafa aur sitamgar nahi aap ne kis liye muh udhar kar lia
Jab tulu aaftab hota hai gham ke sagar uchaal deta hoon tazkara jab wafa ka hota hai mein tumhari misaal deta hoon
aap to bewafa aur sitamgar nahi aap to bewafa aur sitamgar nahi
kyun aankh milayi thi kyun aag lagai thi ub rukh kyun chupa baithe kar ke mujhe deewana
aap to bewafa aur sitamgar nahi aap to bewafa aur sitamgar nahi
zindagi-bhar ke shikwe-gile the bahot waqt itna kahan tha ke dohratay hum ek hijki mein keh dali sub dastaan hum kisse ko yun mukhtasar kar lia