Syed Farhan Ali Waris Presents Shahadat Hazrat Mola Abbas Noha 2025 i.e muharram 2025 / 1447.
Title | ABBAS(a.s.) HAI NA Poetry | MAZHAR ABIDI Tazmeen Kalam | SALAMAT FIROZE Composed & Originally Recited by | ABID MEHAR ALI Additional Variations | SYED FARHAN ALI WARIS Courus | Moshin Hashmi, Safdar Kaleem, Meesum Zaidi, Minhal Rizvi Audio Recording | Meesum Zaidi (LAWA - Studio Karachi) Audio Mixed & Mastered by | Meesum Zaidi (LAWA - Studio Karachi) Video | The Focus Studio (Safdar Kaleem) Special Thanks | FAW Team
NOHA LYRICS |
Haaye
Sab ki ridaon ka nigahdaar hai Ghazi (a.s) mera aisa wafadaar hai Cheen nahi sakta koi chaadrein Jab talak Abbas (a.s) alamdaar hai
Yeh keh ke behnon ko Yeh keh ke behnon ko Zainab (s.a) ka tasalli dena
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Har ek behan ko bhai pe maan hota hai Jahan mein bhai to behnon ki jaan hota hai Ghamon ki dhoop mein woh saaye-baan hota hai Bas is yaqeen se khemon mein mutmain rehna
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Haram ki aas bandhati raho meri khwahar Batao in ko bharosa kitna Ghazi (a.s) par Rahain woh baazu salamat dua karo mil kar Nazar utha ke dar-e-khaima par to dekho na
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Isi ke saath ummari mein aayi thein ghar se Bohat mujhe bhi hai dhaaras isi baradar se Na hone dega woh mehroom hum ko chaadar se Barhein jo ranj ke saaye to bas yehi kehna
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Dikhaayi de tumhe jis dam Yazeed (l.a) ka lashkar Dikhaayein woh tumhein talwar o neiza o khanjar Chamakhtay neezon pe parh jaaye gar tumhari nazar Tum apne dil mein jagah khauf ko nahi dena
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Kaha yeh Ghazi (a.s) ne Kulsoom (s.a) se meri khwahar Fida Hussain (a.s) pe har maa karegi apne pisar Jo tere betay nahi hain to koi gham na kar Teri taraf se fida Shah (a.s) pe hone ko behna
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Phoophi yeh boli Sakina (s.a) se ae meri bachi Chacha (a.s) se kehdo woh le aayenge abhi paani Yeh mashk kya hai woh darya utha ke la dein abhi Bas apni aankh mein aansu nahi aane dena
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Bayaan kaise woh manzar ho dono janib ka Udhar tarai pe Ghazi (a.s) ka mashk ko bharna Katay jo baazu, chhidi mashk, saara paani baha Idhar Sakina (s.a) ka pyaason ko dilasa dena
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Tere hasham pe hain qurbaan Mazhar o Farhan Alam gharon pe lagata hai aaj saara jahan Hai tu hi ab bhi ghareebon ka, bekason ka maan Alam ko dekh ke har waqt bas yehi kehna
Abbas (a.s) hai na Abbas (a.s) hai na
Yeh keh ke behnon ko Zainab (s.a) ka tasalli dena Abbas (a.s) hai na