• 2 months ago
#nawazsharif #shehbazsharif #london #pmln #headlines #arynews

Bushra Bibi released from Adiala Jail after IHC bail

Three journalists killed in Israeli air strike in Lebanon near border with Syria

PM Shehbaz stresses use of modern technology for effective taxation

Punjab police kill 10 terrorists in Mianwali

Citizens stage protest over water, electricity shortage in Karachi

BNP Mengal former lawmaker arrested on terror charges

World’s biggest airport set to open in 2030 — here’s a sneak peek

Pakistan introduces major amendments for taxpayers

Indian airplane enroute to London faces bomb threat

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia

Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial

Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv

Website: https://arynews.tv

Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv

Listen Live: http://live.arynews.tv/audio

Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews

ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.

Category

🗞
News
Transcript
00:00Sadaar Noon League Nawaz Sharif kuch der mein Britannia ke liye udaan dharenge, Zaraay ka
00:08kehna hai Nawaz Sharif medical check up ke liye barasah Dubai London jayenge. Nawaz Sharif
00:13Dubai mein ek roz qayam ke baad London rawana honge. Nawaz Sharif Britannia mein chand hafte
00:17qayam ke baad America bhi jayenge. Wazir-e-Ala Punjab, Maryam Nawaz ka November ke pehle
00:22hafte mein Britannia ke niji daure par jane ka imkaan.
00:30Bani PTI ki ahliya Bushra Bibi ne Adiala Jail se zamanat par rehai ke baad pehli raat
00:38CM House Peshawar mein guzari. Sabir Khatun-e-Awal ko poore protocol ke saath CM House Peshawar
00:43pahunchaya gaya.
00:44Security par mamur tha. Adiala Jail se rehai ke baad Bushra Bibi kuch der Bani Gala roki.
00:51Zaraay ka kehna hai Bushra Bibi ko Bani Gala se zaman park Lahore jana tha. Bani PTI ki
00:56hidayat pe Peshawar jane ka faisla kiya. Zaraay ka kehna hai Bani PTI ne Bushra Bibi ko kuch
01:01hidayat di. Bushra Bibi Wazir-e-Ala ko hidayat se aaga karengi. Jiske mutaabik party aayinda
01:07qalai amal teh karegi. Bushra Bibi Wazir-e-Ala House ki NXC mein qayam karengi. Aaj Shaukat
01:12Khanam Hospital Peshawar mein tibi muayena hoga.
01:15Tosha Khana 2 case mein Islamabad High Court mein guzarta roz zamanat manzoor ki thi. 31
01:20Januari ko Tosha Khana case mein Bushra Bibi ko 14 saal qaid ki sazah sunay gayi. Unhone
01:25khud jail jaakar ghariftaari di. High Court mein sazah mautal ki tohne Tosha Khana 2 case
01:30mein ghariftaar kiya gaya. Bushra Bibi majmooi taur par 9 maaar Adiala jail mein rahi.
01:49Bushra Bibi ka ab koi political role hoga party?
01:52Main nahi samjhta ki unka koi political role hoga.
01:55Unka yahaan se nikalna, seeda chief minister KP wahan jaa ke mulaqat honi sab kuch.
01:59Wo bilkul unka role gharelu hi rahega. Wo sirf KP si liya aayi hai ki aaj raat fir koi shabkhoon na maara jaye.
02:07Bushra Bibi gharelu khatun hai, siyasat se koi taaluk nahi. Salman Akram Raja ki program
02:12Khabar Mein Guftugu. Kaha Bushra Bibi isliye KP gayi ki raat ko fir koi jhoota muqadwa na bana diya jaye.
02:18Bushra Bibi ki rehai yateeni thi, muqadwaat hi jali thi. Chairman PTI Barister Gohan ne kaha,
02:23koi deal nahi hui, Bushra Bibi ki rehai merit par hui. Aisa mumkin hota to wo 9 maa jail mein na rehti.
02:29Bani ki rehai bhi merit par hogi, lekin koi deal nahi hogi.
02:33Mukla se mulaqat me sabik Wazir-e-Azam ka Bushra Bibi ki rehai par itminan ka izhaar,
02:37Waqeel Faisal Chaudhry ne bataya, Bani chahate hain awami jazbaat ke mutaabik siyasat ki jaye.
02:43Party rahnawa, karkunan ke saamne se kyadat karein. Aami tarmeen karke, mulk se jamuriyat khatun kar di gayi.
02:50Islamabad High Court ka Bani PTI ke check-up ke liye medical board tashkeel dene ka hukum,
02:54zaati mawlish Dr. Faisal Sultan ko shamil karne ki hidayat.
02:58Tosha Khana case mein Bani PTI ki saza ke khilaf appeal ki samaat 29 October ko hogi.
03:21Begum sahiba reha hogein jaise maine pehle ka wo ho jayengi, ghaadiyan andar gayi unko receive karne ke liye.
03:26Agar yeh kisi ko pata nahi tha yeh hona hai, toh fir Bani Gala mein paint aur rogan kyun ho raha tha?
03:32Deal nahi thi toh Bani Gala mein rangon rogan kyun ho raha tha?
03:35Maine kaha tha ki Bushra Bibi bahar aayengi aur woh bahar aagayi.
03:38Senator Faisal Wada ki program The Reporters mein guftagu,
03:41bole Bani PTI ki ahliya ko siyasat mein laya jaayega.
03:45Bani PTI ki ahliya saamne nahi aayengi, peeche se siyasat karengi.
03:49PTI Qayadat chahti hai ke Bani PTI ki behne jail mein rahein.
03:52Ab main zor lagaunga ke Bani ki behne jail se bahar aaye.
03:55Kyunke woh bhai se mukhlis hain.
03:57Bani PTI aaj bhi mulaqaat ke liye bulaayenge toh main jaaunga.
04:00Din ke ujaale mein jaaunga.
04:02PTI ki Qayadat chahti hai Bani bahar na nikle, kyunke yeh beneficiary hain.
04:06Ameriki Senators Palestine par baat nahi karte, PTI ke liye khat likte hain.
04:10Yeh ek khel hai, iste qaum ko aga karna chahata hui.
04:19Army Chief General Asim Muneer intihar pasandon ke khilaf tawan awaaz.
04:32Ameriki Central Command ke jaleed-e-Unipat ka Army Chief ko shandaar alfaz mein khiraj-e-tehseen.
04:37Pesha, warana aur qaidana salahiton ka itaraaf.
04:40Likha Army Chief ki Qayadat mein shiddat pasand groupon ke khilaf wasi Fauji Operation hua.
04:46General Asim Muneer ne waze kiya, daishat gardon ko riyasati rit ke saamne sar-e-taslim-e-kham karna hoga.
04:51Amerika jaise mulko se Fauji, siparati taluqat ki mazbooti kaabal-e-taarif hai.
04:57Army Chief ka maqsad, andoomi challenges se nimatna.
05:00Musalla, Fauj aur qaum mein itihad ko farookh dena hai.
05:03Army Chief ne SIFC Green Pakistan Initiative jaise ekdaamat mein taamun kiya.
05:08Mulansmatein peyda karne aur moshri taraki ki himayat ki.
05:11Army Chief, mazabi humahangi, akhiyaton ke tahafuz ki zarurat par zor dete hain.
05:155th Generation Warfare se darpe challenges ko tasleem karte hain.
05:19Defan-e-mahireen ka kehna hai, kisi bhi mulke Army Chief se mutalik likha jane wala yeh mazboon,
05:24ek ghar mamooli ishaat hai.
05:26Koi shakt nahi, General Asim Muneer ne qaum ko yakja karne,
05:29mul ki moshri surat-e-hal behtar banane mein, apna kirdaar ada kiya.
05:41Moshri dabaw se nikalne ke liye, aalmi maaliyati fund se takreeban 1 arab dollar ki maali maamnat darkaar hai.
05:55Aalmi maaliyati fund ko rakham faraham karne ki bazaapta darkhaus ki hai.
05:59Wazir-e-Khazana Mohammad Aurangzeb ka Bardanwi Khabar-e-Sahid Aare ko interview.
06:03Kaha zar-e-mubadla ke zakhair mein, izafir se tijarti aur credit rating behtar banane mein madad milegi.
06:08Ghar mulki zar-e-mubadla ko mustaqam rakhne ke liye, dharamdaat par pabandhi lagane jaise ikdamaat kiye hain.
06:13Zar-e-mubadla ke zakhair, agli saal March ke aakhir tak 13 billion dollar tak pahunj jaayenge.
06:20Panda Band Chin ki badi mandiyon mein rasai hasal karne jaa rahe hain.
06:24Pakistan tijarti karzon ke hawale se, mashrik-e-mustaqe bankon ke saath muzaqraat kar raha hai.
06:29IMF ne guzarsna maa Pakistan ke liye saath arab dollar ke karz ki manzoori di hai.
06:33IMF ne mazeed fund ko RST ke tehad financing ke zariye mashroot kiya.
06:37Mehngai ki shara 30% ke kam hokar 7% par aa gayi.
06:56Muasar tax aur mehsulat nizam ke liye jadeed technology ka istimaal intihar yaaham hain.
07:00Wazir Azam Shahbaz Sharif ki FDR islahat ki feshraf se mutaalik islahat mein guftagu.
07:05Kaha FDR mein tax dehendagan ke liye dostana mahal faraham kiya jaaye.
07:09Mutaalika apsaraan tamaam FDR islahat ki barwaq takmeel yakini banaye.
07:14Pakistan stock market mein nai tarikh rakam 88000 ke sata uboor.
07:18100 index mein 1751 points ka azaafa, market 88945 points par band.
07:25Tarobar ke dauraan index ne 89000 ke sata bhi uboor ki.
07:29Chief Justice Qazi Faiz Issa ki retirement pe full court reference aaj hoga.
07:43Chief Justice mulazmat ke aakhri roh sirf chamber work karenge.
07:46Kuzashtha roh Supreme Court Bar aur Pakistan Bar Council ne ishaya diya.
07:50Namza Chief Justice Yahya Afridi, Justice Muhammad Ali Mazhar, Justice Aminuddin,
07:56Justice Jamal Mandokhil samayal, Supreme Court ke digar judgeon ki shirkat.
08:00Islamabad High Court ke Chief Justice Aamir Farooq bhi al-widai ishaya mein sharik huye.
08:04Justice Muneeb Akhtar, Justice Athar Minalla, Justice Ayesha Malik aur Justice Shahid Waheed nahi paunche.
08:11Namza Chief Justice Yahya Afridi ne registrar office ko I.N.E. bench se mutaalik policy diya.
08:27Supreme Court mein dauraane samaat remands diya.
08:29Jinn muqadmaat mein koi kanooni challenge ho, unki alaq category banane ki hidayat ki hai.
08:34I.N.E. ki tashree ki zaroorat wale muqadmaat saath saath muntakil karte rahenge.
08:38I.N.E. bencho ko muqadmaat ki muntakli ka silsila jaari.
08:41Islamabad mein ish chufa se mutaalik muqadmaat I.N.E. bench ko bajwa diya gaya.
08:52Judicial Commission I.N.E. benchon ki tashkeel ke liye judges namzat karega.
08:56Chhabeesmi I.N.E. tarmeen mein Judicial Commission ki tashkeel-e-nauk par wazaat-e-qanoon ki wazaahat.
09:00Kaha namzat judges mein se senior tareen judge I.N.E. bench ka Sabra aur Judicial Commission ka member bhi hoga.
09:07I.N.E. bench ka Sabra pehle hi commission ka rukun hua to agla senior judge member hoga.
09:12Judicial Commission ka koi faisla asami ya member ki ghar haazri par ghar qanooni nahi hoga.
09:18High Courts mein I.N.E. benches ki tashkeel Subahi Assembly ki qaradaat se mansoob hogi.
09:23Islamabad High Court ke liye qaradaat Parliament aksariyat se mansoob karegi.
09:27I.N.E. benches ki tashkeel se pehle High Courts ka dair-e-akhtiyar tabdeel nahi hoga.
09:37Mianwali mein CTD aur Police ka kamyaab operation.
09:45Das Khawar-e-Jahan-u-Wasil, Wazir-e-Ala Punjab, Bandia Nawaz ka CTD aur Punjab Police ko khiraj-e-tahseen.
09:50Operation mein shamil DPO aur Police jawano ko shabashi di.
09:54Kaha Punjab Police ke bahadur sapoot hamara fakhar hain.
09:57Daesh-e-gardi aur fitna-fasad ke khilaf jang mein qaum muttahid hai.
10:08Commander Sri Lankan Fazaria ka daura-e-Pakistan Joint Staff Headquarters mein Guard of Honour presh kiya gaya.
10:13Chairman Joint Chiefs of Staff Committee se mulaqat mein do tarfa security aur defaik taawun badhane ke azam ka yaada.
10:19General Sahil Shamshad ne kaha Pakistan Sri Lanka ke saath paaydaar taluqat ko qadar ki nigaah se dekhta hai.
10:25Air Marshal R.A.U.P. Raja Bakse ne Pak-Afghaj ke pesha-varana meyar ko saraha.
10:31Daesh-e-gardi ke khilaf Pakistan ki kamyabi aur alaqa-e-amla-e-stehkaam ke liye koshishon ki tarif ki.
10:45Unfortunately humare khelo ke meydan 10-15 saal se Ghairabad padhe hua hain.
10:49Humare poori koshish hai ki koi hum iss saal PSL ke koi kamas ka main match kara le.
10:55Koshish hai is baar PSL ka ek match Peshawar mein kara hain.
10:59Governor Khyber Pakhtunkhwa Faisal Kareem Kundi ki Karachi mein media se kuftugu.
11:03Kaha jab bhi humare subah ka naam aata hai log daesh-e-gardi ki baat karte hain.
11:07Khayam-e-amn aur masbat sargarmiyo ko farookh dene ke liye sabko milkar kaam karna hoga.
11:11Governor ne Karachi mein jaari National Softball Championship ka muqabala dekha.
11:15Shajirkari muhim ke liye pohda lagaya. KP ki team se mulaqat bhi ki.
11:30Final ka ticket kaun katayega? Kaun semi-final se ghar jaayega?
11:34Emerging Asia Cup T20 ke dono semi-final aaj ke liye jaayenge.
11:38Tupahar 2 baje Defied Champion Pakistan Shaheen aur Sri Lanka A takraayenge.
11:43Shaam 6.30 baje Bharat A aur Afghanistan A mein jod padega.
11:47Event ki champion ka faisla Ittawar ko hoga.
11:50Shehre kaayad mein shehri chaar roz se paani ki boon-boon ko taras gaye.
12:02Paani Bijli ki adham farahmi par PIB colony ke makino ka raat gaye University road par ehtejaaj.
12:08Dono track traffic ke liye band rahe. Ittaraaf ki sharaahon par bhi baddareen traffic jam raha.
12:13Redline mansoobe ke kaam ke dauran purani sabzi University road ke qareen
12:17Water Corporation ki main line mein leakages ke baayes paani ka rasao.
12:21Sarag par paani jama hone se traffic ki rawani sust.
12:37Turnover of 5 of these digital diagnostic laboratory bands along with 3 diagnostic x-ray machines,
12:44AI enabled x-ray machines for Pakistan's screening and treatment of tuberculosis.
13:15Amreiki safree ne bahali mansoobe mukamal hone par Frayer Hall ka iftitaah bhi kiya.
13:20Kehte hain 3 zaal pehle humne Sindh Exploration and Adventure Society ke saath shirakardari ki thi.
13:25Jiske tehad Frayer Hall ko dubara asal haarat mein bahal kiya.
13:37Aur Arts Council Karachi mein World Culture Festival jaari.
13:40Emirati fankaro ki performance ke saath riwayati khaane bhi saje UAE Consul General bhi pohche.
13:45Consul General ussi taur par apna baaz bhi saath laaye.
13:48Aur hazireen ko tasveeni khichwane ki daawat di.
13:51Amreiki group ne theatre play pesh kiya.
13:53Aaj Palasini group theatre NRIM pesh karega.

Recommended