Nazar Ya! ki iss video main hum batayenge Samosa ki actual history aur kya Samosa aur Aloo ka saath starting se strong tha? Aur kaise yeh snack duniya bhar mein apna rang badalta gaya? Toh bas, chai aur garma garam samose ke saath iss video ko enjoy karo!
Category
🏖
TravelTranscript
00:00Arz kiya hai, jab tak rahega samosa mein aloo, jab tak rahega samosa mein aloo, tab
00:13tak rahega channel yeh chaloo aur aap ladte rahiye kaunsi chutney hai better, aap ladte
00:19rahiye kaunsi chutney hai better, saut ki meethi wali ya hari chutney, tab tak mai yeh
00:25samosa kha loon.
00:27Aap aap batayiye ki aapka kya khaane ka mann karega, of course, garma garam chai aur saath
00:44mein karare samosa.
00:58Nazariya ki Khao Gali mein aapka swagat hai, main hun Ashish Chhatre aur aaj hum baat karenge
01:03desi snacks ke baadshah, crispy aur masala daar samoson ke baare mein.
01:08Aur jaanenge ki aakhir kabse hai samosa mein aloo, bhai jab tak shaadi ya tyuhaar ke ghar
01:31mein, subha-subha halwai garma-garam tel mein samosa nahi chhodta na, tab tak jashn ki
01:35why bhi set nahi hoti, northeast ka chhota singhada ho ya Andhra ka keema samosa ya apne
01:41north ka raja punjabi samosa, har region ne samosa ko apna banaya hai, yeh snack apni
01:47chutneyon ke saath ya kahen chaat ki tarah jab pesh hota hai na, maa kasam, moonme paani
01:53aa jata hai aur zabaan chatori ho jati, koi bhi ek samosa par nahi rukh sakta.
01:58Samoson ka pehla zikr hume milta hai dasvi shatabdi ke irani historian Abul Faizal Behagi
02:09ke records mein, jahan wo samboson ka zikr karte hain, jo ki us zamane mein spiced horse
02:14meat aur dry fruit se banta tha, phir 11-13 century ke beech yehi sambosa bana sambusa
02:21jo ek crescent moon ki shape mein aata hai. Is duraan fillings mein meat aur vegetables
02:27ke halke phulke experiments bhi dekhne ko mile. Throughout history, jahan jahan samosa
02:32gaya, andhar ka maal masala badla, lekin the fundamental rule of binding the filling aur
02:37usse garam tel mein fry karne ka tarika traditionally barkaraar raha. Jaise maine apni biryani wali
02:43video mein aapko bataya tha, aur agar nahi dekhi hai, toh yeh raha link, ki kaise Persian
02:48traders biryani yeha lekar aaye the, theek usi raste yeh Persian traders sambusa ko
02:5314th century mein India lekar aaye. Phir kya tha, yaha aate hi samosa ne dhoom macha di.
02:59Sufi poet Ameer Khusro aur mashoor traveller Ibn Battuta ne bhi apne kalamon mein samosa
03:04ki tarifon ke bharpoor phul bande hain. Lekin apne Laila Majnu yaani samosa aur aloo ke
03:10ishka agaaz hua 17th century mein, jab Portuguese trader ke zariye South American aloo Europe
03:16hota hua India pohncha, British ne aloo ko banane ka tarika popularize kiya, aur tab
03:21jaakar hua samosa aur aloo ka sangam. Heer, Ranjha, Shri Faraz, Romeo, Juliet ki tarah
03:27hamesha hamesha ke liye samosa aur aloo ek jism aur hum sabki jaan ban gaye.
03:38Doston, apne samosa ki family chhoti nahi hai. Yeh itna diversified hai ki har region
03:44ne isse apne rang mein rang diya hai. Jaise Punjab ka tall, dark aur muscular Punjabi
03:49samosa, jo thick crust aur aloo ke masala daar filling ke saath aata hai. Non-vegetarian
03:54Parsi community ne isse patti samosa mein badla, jo thin crust aur keema filling ke
03:59saath banta hai. Apne North Eastern states mein samosa ban gaya singhara, chhotu sa and
04:05slightly meetha. Samosa sahab bhoomte firte jab Hyderabad pohnche, toh he became lukhmi.
04:12Malabar region mein he shape-shifted into Irachi patri. Maaf kichega, meri pronunciation
04:17thoda 19-20 ho sakti. Yehi nahi, samosa bina visa, bina passport poori duniya mein ghooma
04:24aur kambakat jaha gaya, wahi ka hokar reh gaya.
04:27Myanmar mein iska naam rakha gaya Samusa. Portugal mein sab inhe pyaar se Chamusaz bulaane
04:33lage. Aur Arab nations mein Samsaz. Yakeen maaniye, aasman mein patthar bhi fekenge
04:39na, toh wo bhi samose ke kisi rishtedar par girega. Lekin apna desi aloo wala samosa aaj
04:46bhi duniya bhar mein sabse zyada pasand kiya jata hai.
04:50Aksar ek masaledar bahas dekhne ko milti hai, ki kya samosa Indian hai ya nahi? Toh hamara
04:56nazariya yeh kehta hai ki samosa bhale hi kisi aur rang roop mein yaha aaya ho, lekin aloo
05:02se aur desi masalo se milan uska yahi, Bharat me hua. So, originality ki bahas ko jane
05:08dete hain. Lekin ghabraaye nahi, neeche comment section mein bahas karne ke liye main aapko
05:13ek kadakta bhadakta issue chhode jata hoon. Modern Samosas.
05:17Nahi tarah ke samose market mein utar gaye hain. Jaise Pizza Samosa, Corn Samosa, Mango
05:23Samosa, Chowmein Samosa aur Chocolate Samosa. What? Mere mann mein kahin saare conflicting
05:30thoughts aa rahe hain. Main khud ko calm down karta hu, tab tak aap mujhe batayiye ki
05:34kya yeh gustakhi kaabil-e-bardasht hai ya kaabil-e-taarif.
05:38Dosto yeh thi hamaari aaj ki video samose ki Prem Kahani par.
05:42Aaj samose ki kasam hai aapko, agar aap Nazariya ke channel ko bina subscribe kiye gaye to.
05:48Haan haan I know, aapne like kiya hua hai, lekin subscribe bhi kar do yaar kanjuson.
05:53Hume Instagram aur Facebook par bhi follow kar sakte hain for interesting updates and stories.
05:58Mere samose ki plate mera intazaar kar rahi hai. Bhai dekhiye mere samoson ka bandobas to
06:04ho gaya. Aap bhi apne samoson ka bandobas kijiye. Main aaj shatre milunga aapko apni agli video
06:09mein. Tab tak ke liye, mohabbat baatte rahiye, khush rahiye, alvidaar.
06:15Arey shot kaha hai yaar?