Wo_Jazbon_Ki_Tijarat_Thi_Yeh_Dil_Kuch_Aur_Samjha_Tha._Urdu_Ghazal

  • 3 years ago
Wo jazbon ki tijarat thi ye dill kuch aur samjha tha
Usay hansane ki aadat thi ye dill kuch aur samjha tha

Mujhe usne kaha ao nayi duniya basaty hen
Usay sojhi sharat thi ye dill kuch aur samjha tha

Wo mere pass baitha dair tak ghazlain meri sunta
Usay khud se muhabbat thi ye dill kuch aur samjha tha

Hamaisha uski ankhon me dhanak se rang hote the
Ye uski aam halat thi ye dill kuch aur samjha tha

Mere kandhy pe sar rakh kar kahin pe kho gaya tha wo
Ye ikwaqt hi himayat thi ye dill kuch aur samjha tha

Mujhe wo daikh kar aksar nigahain phair laita tha
Wo darpardah haqarat thi ye dill kuch aur samjha tha
Ye dill kuch aur samjha tha