AEY MERE BE ZABAAN | Mir Hasan Mir Nohay 2020 | New Nohay 2020 | Shahzad e Ali Asghar Noha 2020
Mir Hasan Mir Nohay | Muharram 2020/1442 #AEYMEREBEZABAAN #MirHasanMirNohay #Nohay2020
More Noha | ●Asghar ع Main Teri Maa Hun | https://youtu.be/dctWUdOTsIo
Nouha | Aey Mere Be Zabaa'n Recited By | Mir Hasan Mir Poetry By | Janab Mir Takallum Composition | Raza Shah Audio Recorded By | ODS Studio (KARACHI) Video & Editing By | TNA Production Translation | Ahmed Virani USA Creatives | Alamdar Raza ☆ SAR Creative
============================== Follow Us On Our Other Social Media Channels :- Facebook: https://bit.ly/2G2F2vt Android App: https://goo.gl/YgsjeD Sound Cloud: https://www.soundcloud.com/Mir-Hasan-Mir Official Website: https://www.MirHassanMir.com ==============================
●● NOHA LYRICS ● ●
●Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan Asghar jiye gi kese,tere bagair maa
●Haye Asghar mere Asghar,haye Asghar mere Asghar Ae raaj dulare Asghar,maa tujh ko pukare Asghar Meri ankh ke tare Asghar,aaja mere pyare Asghar Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Chehra wo chaand jaisa,kaise bhulai maa Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Kiya waqt agaya hai,bano ki bekasi per Gurbat pe tere matam,kaise kaise karegi ki madar Aada ne bandh di hain,hathon mai rasiyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Himmat pe maa tumhari,qurban kyun na Jaye Sunti hai teer kha ker,tum ran Mai muskurai Madar ki laaj rakh li,shabash meri jaan Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Madar ki hai wasiyat,beta khayal rakh Godi mai in ki Asghar,jane ki zid na karna Pehle hee hain shikasta,dadi ki pasliyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Kiya zer r khaak ab bhi soye ho mun chupai Maa sari bibiyon se,sharminda ho na Jaye Har ik shaheed Ka hai,sar bar sar e sina Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Dushwar hogaya hai,ran mai tumhara jeena Ab khali god jaa ker,maa kia kre madina Mujh ko wohin bula lo,ae laal ho jahan Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Sansein to chal rahi hain,zinda kahan rahi hai Maa Zindagi se apni,azadi chahti ha Mushkil khusha ho tum bhi,khulwado beriyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Jangle mai ik beta,awaz ghunjti ha Yeh soch ker bhi madar,maqtal mai ro rahi ha Lagta hai dard se tum,lete ho shiskiyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Yeh ujri god beta,kese sukoon paye Halat pe teri maa ki,hanste hai shaam wale Daman mai hain tumhare,jhoole ki lakriyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa
●Rote thy sub taqallum,ik maa ne jab Kaha tha Paigham Karbala mai,jaker hawa yeh dena Zindan ke dar pe ab bhi,bethi hai ik maa Asghar jiye gi kese tere bagair maa