Ai Subah Main Ab Kahañ Raha Hun | Jaun Elia | Love Sad Ghazal | Urdu Poetry | Best of Jaun Elia | Zee&Poetry
  • 4 years ago

ai subah maiñ ab kahāñ rahā huuñ

ḳhvāboñ hī meñ sarf ho chukā huuñ

sab mere baġhair mutma.in hoñ

maiñ sab ke baġhair jī rahā huuñ

kyā hai jo badal ga.ī hai duniyā

maiñ bhī to bahut badal gayā huuñ

go apne hazār naam rakh luuñ

par apne sivā maiñ aur kyā huuñ

maiñ jurm kā e'tirāf kar ke

kuchh aur hai jo chhupā gayā huuñ

maiñ aur faqat usī kī ḳhvāhish

aḳhlāq meñ jhuuT boltā huuñ

ik shaḳhs jo mujh se vaqt le kar

aaj aa na sakā to ḳhush huā huuñ

har shaḳhs se be-niyāz ho jā

pr ye kah ki maiñ ḳhudā huuñ

charke to tujhe diye haiñ maiñ ne

par ḳhuun bhī maiñ hī thūktā huuñ

royā huuñ to apne dostoñ meñ

par tujh se to hañs ke hī milā huuñ

ai shaḳhs maiñ terī justujū se

bezār nahīñ huuñ thak gayā huuñ

maiñ sham-e-sahar kā naġhma-gar thā

ab thak ke karāhne lagā huuñ

kal par hī rakho vafā kī bāteñ

maiñ aaj bahut bojhā huā huuñ

koī bhī nahīñ hai mujh se nādim

bas tai ye huā ki maiñ burā huuñ
Recommended