Ab Nahi Koi Silsila Chalegaa... By Rinky Ziist

  • 4 years ago
AB NAHI KOI SILSILA CHALEGAA BY RINKY ZIIST I EMOTIONAL POETIC LOVE STORY I WAJAH BEWAJAH STORY

Be with us. Love, Like, Share and Subscribe Wajah Bewajah Poetry.

To participate contact us at :
wajahbewajah@gmail.com

Story By : Wajah Bewajah
Author : Rinky Ziist
Narrated By : Rinky Ziist

Ek Mukhtasar Mulaaqaat...

Ek Mukhtasar Mulaaqaat thi us ajnabi se...

Aankhen bolti hain bahut khaamoshiyon men meri...

Puchha tha usne meri udaas aankhon ka raaz...

Main samjhi aakhiri Mulaaqaat jise
wo pahli Mulaaqaat ban gayi
Us ajnabi se ek hi Mulaaqaat mein
jane kaun si dor bandh gayi
Bichhadkar bhi chehra uska nazar aata rahaa
Khayaal uska dil ko sataataa rahaa...

Duur chalaa gayaa tha wo mujhse
us Mulaaqaat ke baad
Magar mere dil se jod gayaa thaa
wo apne dil ke taar...

Phir se dusri Mulaaqaat ka
silsila shuru hua thaa
Raat thi andheri, log, jagah, raaste sab anjaan
Magar mai baithi thi itminaan se
aise jaise baithi hoon kisi apne ke saath...

Kai haseen nagmein usne apni meethee aavaaz mein
gaakar us raat mujhe sunaae
Maine bhi saath dete hue uskaa
kuchh gungunaaye
Phir subah hui, phir nae ujaale aae
Raat ki khumaari ke baadal
us par din bhar the chhaae
Meri zid ab use naaraaz kar rahi thi
har baat par meri wo bigad rahaa thaa...

Pathrile tedhe-medhe se raaston par
wo mera haath thaam rahaa thaa
Main gir naa jaaun kahin
wo mujhe aise sambhaal rahaa thaa...

Wo ek lamha jo kab se machal rahaa thaa
Hamare darmiyaan hokar wo guzar chukaa thaa
Bistar me chhod akelaa mujhe
wo ja chukaa thaa
Main un bistar ki silvaton ko nihaarti rahi
Jo kah rahi thi mujhse
dekh teri rusvaai hui...

Maine jo kiyaa dil se kiyaa
Majbuuri mein ya majbuur hokar nahi kiyaa thaa
Un palon se naa to maine samjhautaa kiyaa thaa
aur naa hi un palon ka saudaa kiyaa thaa...

Dil ke haathon thi main phir ek baar haari
Main phir akeli thi, bilkul akeli
Apni tanhaaiyon ke saath maine
phir ek raat guzari...

Subah jaise hi hui
maine vahaan se jaane ki
ki taiyari
Wo so rahaa thaa der tak
Maine vaadiyon se kahi
apni daastaan saari...

Jo ghutan paidaa kar rahi thi mujhme
un saanson ko bikhraa diyaa thaa
vahin kahin maine
Nai khushbuuon ko bhar liyaa thaa...

Bak-bak karne vaali main
chup thi us lamhe mein
Bas khaamoshiyon ko sunnaa
aur khaamoshiyon ko hi kahnaa chaahti thi...

Kya koi silsila hamaare darmiyaan phir chalegaa
Yaqin nahi ab to vo mujhe milegaa
shaayad nahi, ab koi silsila chalegaa
Tham chukaa wo tuufaan jo uski saanson mein uthaa thaa
Nahi koi silsila ab nahi chalegaa
Uske liye wo pal guzar gayaa thaa usi pal mein
phir bhalaa kaise ab koi silsila chalegaa
Uski yaadon se bharaa wo pal
bas mere hi dil mein chubhan karegaa
Nahi ab nahi koi silsila chalegaa
Mukhtasar Mulaaqaaton ka silsila ab thamaa rahegaa
Ab nahi koi silsila chalegaa
Janti hoon ab nahi koi silsila chalegaa
Magar tasalli hai phir bhi jo guzar chukaa hai,
Bankar ek silsila wo dilon ke darmiyaan to rahegaa
Mukhtasar kisi Mulaaqaat ka silsila ab tham chukaa hai

-Rinky 'Ziist'