Kia Hajj aur Umrah mein mardon aurton dono ko sar mundwane ka hukum nahein hai? - 10/16 - Hajj Umrah

  • 5 years ago


کیا حج اور عمرہ میں مردوں اور عورتوں دونوں کو سر منڈوانے کا حکم نہیں ہے؟ - 10/16 - حج اور عمرہ

Hajj aur Umrah - Quran kia kehta hai.

حج اور عمرہ ایک ایسا سفر ہے جسکی ادائیگی کے لئے ہر مسلمان کو مکہ جانا پڑتا ہے جہاں اللہ کا گھر کعبہ ہے - حج کے ارکان کی ادائیگی میں مکہ کے علاوہ منٰی, عرفات, مزدلفہ کے مقامات شامل ہیں جنکی طرف ہم سفر کرتے ہیں اور حج کے ارکان کی اللہ کی محکم آیات اور قانون کے مطابق ادائیگی کرتے ہیں - حج کے لفظی معنی حجت کے ہیں جو اس سفر میں ہر ایمان والا اپنے نفس سے کرتا ہے اور اللہ کی آیات کے مطابق اپنے کردار اور شخصیت میں مثبت تبدیلی لاتا ہے تاکہ وہ اپنی کمزوریوں پر غالب آ جائیں اور اپنے بنائے ہوئے بتوں کو توڑ ڈالیں اور شرک سے پاک ہو جائیں جس کی بخشش نہیں ہے - حج کی تکمیل کے بعد آخر میں مدینہ کی طرف سفر کیا جاتا ہے - آیات کے مطابق ان سب باتوں کی سمجھ اور وضاحت کے لئے یہ درس دیکھنا
لازمی ہے -

Hajj aur Umrah aik aisa safar hai jiski adaigi ke liye har musalman ko Makkah jana parta hai jahan Allah ka ghar kaaba hai. Hajj ke arkan ki adaigi mein Makkah ke ilawa Mina, Arafat, Muzdalifah ke muqamat shamil hein jinki taraf hum safar karte hein aur Hajj ke arkan ki Allah ki mehkom ayaat aur qanoon ke mutabiq adaigi karte hein. Hajj ke lafzi mani hujjat ke hein jo iss safar mein har imaan wale apnay nafs se karta hai aur Allah ki ayaat ke mutabiq apne kirdar aur shakhsiyat mein masbat tabdeeli lata hai ta ke wo apni kamzoriyon par ghalib ajaein aur apney banaye hoye buton ko tor dalein aur shirk se paak ho jaein jis ki bakhshish nahein hai. Hajj ki takmeel ke baad akhir mein madina ki taraf safar kiya jata hai. Ayaat ke mutabiq in sab baton ki samajh aur wazahat ke liye ye dars daikhna lazmi hai.

Recommended