Aa kahin door chale jaayein hum Aa kahin door chale jaayein hum Door itna ki hamein chhu na sake koi gham Aa kahin door chale jaayein hum Aa kahin door chale jaayein hum Door itna ki hamein chhu na sake koi gham Aa kahin door chale jaayein hum
Phoolon aur kaliyon se mehke huye ik jangal mein Ik haseen jheel ke sahil pe hamara ghar ho Oas mein bheegi huyi ghaas pe hum chalte hon Rang aur noor mein dooba hua har manzar ho Main tujhe pyar karoon mere sanam Tu mujhe pyar kare mere sanam Aa kahin door chale jaayein hum Door itna ki hamein chhu na sake koi gham Aa kahin door chale jaayein hum
Shaam ka rang ho gehra to sitare jaage Raat jo aaye to resham se andhere laaye Chand jab jheel ke pani mein nahane utre Meri baahon mein tujhe dekh ke sharma jaaye Main tujhe pyar karoon mere sanam Tu mujhe pyar kare mere sanam Aa kahin door chale jaayein hum Door itna ki hamein chhu na sake koi gham Aa kahin door chale jaayein hum