Halat-e-haal ke sabab halat-e-haal hi gayi, Shauq main kuch nahin geya shauq ki zindagi gayi,
Aik hee hadsa toh hai or wo ye ke aaj yak Baat nahi kahi gayi baat nahi suni gayi,
Baad bhi tere jan-e-jan dil main raha ajab samaan, Yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gayi,
Us ke badan ko di numuud humne sukhan mein, or phir Us ke badan ke wastey, aik qaba bhi see gayi,
Us ke visaal ke liye apne kamaal ke liye, Halat-e-haal dil ke thi kharaab aur kharaab ki gayi, . Us ki umeed-e-naaz ka hum se yeh maan tha ke aap, Umar guzaar dijiye umar guzaar di gayi, . Tera firaaq jan-e-jaan aish tha kya mere liye, Yaani tere firaaq main khoob sharab pee gayi
Us ki gali se uth k main aan para tha apne ghar Aik gali ki baat thi or gali gali gayi