The End Of Shahid Afridi Boom Boom | His Last match despite Knee Injury

  • 6 years ago
Shahid Afridi is a best player of Pakistani team. He is an all rounder cricketer. Shahid Khan Afridi plays a very good cricket and plays very huge sixes across the ground. He was born on 1st March 1980 in Khyber Agency. His height is 5 ft and 11 inches. Shahid Afridi passed matric from Ibrahim Ali Bhai School. He is a younger brother of four brothers and six sisters. Shahid Afridi started his international career in 2nd October 1996 against Kenya in Nairobi. And he started his test series career in 22 October 1998 against Australia. Shahid Khan Afridi married with his cousin Nadia in 21st October 2000. By the Grace of ALLAH SUBHAN O TA’ALA he has four daughters named Aqsa Afridi, Ajwa Afridi, Asmara Afridi and Ansha Afridi. He is a very brilliant cricketer of Pakistan. In this page you can see the biography of Shahid Afridi In Urdu and Roman Hindi.Boom boom Afridi mountains ke shehzade aur cricket ground mein sixers ka badshah… yeh wo chand alqaab hain, jin se Shahid Khan Afridi ko tamam duniya mein phele hue in ke paristar yaad karte hain. Jarihana andaaz se khelne wale khiladi to duniya mein beshumar hain, magar Afridi ki baat he kuch aur hai. Kuch log to yahan tak kehte hain ke cricket ki duniya ne in jaise mizaaj ka khiladi na dekha hai aur na shayad aaiynda dekh paaenge. In ke bare mein yeh kehna ke wo jarihana style ke all rounder hain. Bilkul aisa he hai jaise yeh bataya jae ke Elbert Einstein scientist the.

Shahid Afridi ki dehshat kis tarah hareef ballers ki nafsiyat par sawar ho jati hai, in ka izhaar aik zamane mein England ke tez tareen baller Graham Dilley ne khud kiya tha. Inho ne tasleem kiya ke baller chahe spinner ho ya fast, six to zaroor parhte hain, lekin Shahid Khan Afridi ke six kuch is andaaz ke hote hain ke ballers ka waqar khaak mein mil jata hai. Aik Graham Dilley he nahi, aise kae ballers hain jo “ Lala ” ke jarihana andaaz se panah maangte hain. Shahid Afridi ne test cricket se kinara kasha zaroor ikhteyar kar li hai, tahum inhe ab bhi one day international aur twenty twenty ka king kaha ja sakta hai. Agar wo bating mein johar nahi dikha pae to balling mein jadogari dikha dete hain. Isi liye Shahid ko dunioya ke behtareen all rounder ki suff mein shamil kiya jata hai.

Recommended