Ramadan mubarak 2017 Naat - Song - best islamic naat - Ramadan assalam

  • 7 years ago
Ramadan Mubarak 2017 naat sharif released by jannat ki kunji from the song of ramadan assalam.

Lyrics of Ramadan Assalam

Assalam, Asalam, Asalaam, Aasalam
Air remat e azeem kay mehman assalam
Quran kay nazool kay saman asalam,
Ramzan Assalam, Aie Ramzan Asalam.
Anwar e mustafa ka ujala liye huey
Humday khuda ka saath hawala liye huway.
Tu aagaya hai aie mah e zeshaan assalam.
Ramadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Kyun na tujhay salaam karein arsh ore zameen
Teray sabab say sajdoon main jhuknay lagein jabeen


Juzdaan mein rahay nahin Quran assalam
Ramadaan Assalam, Aie Ramdan Asalam.
Punjgana ho namaz kay har jo zakat ho
Hum sab rajoh kerat hain rehman ki taraf
Lekin karam ki had hai yeh Rab e Kareem ki
Ramzan chal kay aata hai insaan ki taraf
Phir masjidoon main ronakein aabad ho gayein
Bholi hoyi aabadatein phir yaad ho gayein
Hum per bara hai tera yeh ehsan asalam
Ramaadan Assalam, Aie Ramazan Asalam.
Sad shuker teray saath hai, pegham e eid bhi
Yani kay teray baad hai rozay saeed bhi
Kehtay hai tujh ko Aamir or Rehan asaalam
Ramadan Assalam, Aie Ramzan Asalam

Please also like jannat ki kunji islamic page on facebook-
https://www.facebook.com/jannatkikunji