Saib kay faide (Apple benefits in urdu): 1 - Saib(Apple) koshish kar kay chehre par 10 minute lagaiye. Is se jild mai chamak aur khubsurti paida hoti hai. 2 - Saib(Apple) chehre ka rang nikharta hai aur ye khoon mai surkh seal paida karta hai. 3 - Agar rozana do saib(Apple) khakar ek pao doodh subah nihar mun pia jae to 6 hafto mai insani sehat qabil-e-rashk hojati hai. 4 - Raat ko sote waqt 3 saib(Apple) khana qabz kasha asar rakhta hai. 5 - Dimaghi kam karne walo kay saib(Apple) qudrat ka ek tohfa hai. 6 - Saib(Apple) ka murabba bhook barhane kay liye ek behtreen nuskha hai. 7 - Chehre ka rang nikharta hai. Ma'ada ko taqat deta hai. 8 - Kamzor mareezon ko be had faida deta hai. 9 - Saib(Apple) dil ko shagufta aur dimagh ko tar-o-taza banata hai. Is waja se pareshani wagera ki soorat mai insani jism mai quwat mada'afat barhata hai. 10 - Saib ki chilko ki chae mai agar leemu aur shehed ka izafa karlia jae petchis aur bukhar ki kamzoriyon ko door karta hai. 11 - Saib(Apple) danton ko mazboot karta hai.Is kay ajza danton aur masoorhon mai jazb hokar inhen mazboot hone mai madad karte hain. 12 - Bache ki paidaish se pehle agar saib(Apple) ka sahi istemal kia jae to bacha khoobsurat paida hota hai aur haamla aurat mukhtalif beemariyon se mehfooz rehti hai. 13 - Agar bache ko saib(Apple) ki kashe tarash kar di jae aur bacha isko chaba kar khae to is kay dant ba asani ajate hain. 14 - Saib(Apple) ko khoob chaba kar khana chahiye ta kay is kay mufeed ajza danton aur masoorhon ko mazboot karen. 15 - Saib(Apple) kay musalsal istemal se badan mai phurti aur jism mai chusti ati hai.
Saib kay juice Apple juice, Saib ka murabba kay istemal aur is kay faide benefits.