Mera PAYAMBER Azeem tar Hai

  • 8 years ago
Title : Mera PAYAMBER Azee tar Hai
Naat khwan : Muzaffar Warsi
Poet : Muzaffar Warsi

Kamal e khallaq zaat uski
Jamal e hasti hayat uski
Bashar nahin azmat e bashar hai
Mera payamber azeem tar hai

Wo sharh e ehkam e haq ta'ala
Wo khud hi qanoon khud hawala
Wo khud hi quran khud hi qaari
Wo aap mehtab aap haala
Wo aks bhi aur aaina bhi
Wo nukta bhi khat bhi daira bhi
Wo khud nazara hai khud nazar hai
Mera payamber azeem tar hai

Sha'oor laya kitab laya
Wo hashr tak ka nisaab laya
Diya bhi kamil nizam usne
Aur aap hi inqelaab laya
Wo ilm ki aur amal ki had bhi
azal bhi uska hai hai aur abad bhi
Wo hat zamanay ka rahber hai
Mera payamber azeem tar hai

Wo adam o nooh se zyada
Buland himmat buland irada
wo zuhd e esa se koson aagay
Jo sab ki manzil wo us ka jada
har ik payamber nihan hai usmen
hajoom e paighambaran hai usmen
Wo jis taraf hai khuda udhar hai
Mera payamber azeem tar hai

Bas ek mashkiza ik chataei
Zara se jou ek charpaei
Badan pe kapre bhi wajibi se
Na khush libasi na khush qabaei
Yehi hai kul qainat jiski
Gini na jain sifat jiski
Wohi to sultan e behr o bar hai
Mera payamber azeem tar hai

Jo apna daman lahu se bhar le Museebaten apni jan par le
Jo taigh zan se lare nihatta
Jo ghalib aa kar bhi sulha kr le
Aseer dushman ki chaah men bhi
Mukhalifin ki ngah men bhi
Ameen hai sadiq hai mo'tabar hai
Mera payamber azeem tar hai

Jise shah e shash jihat dekhoon
Use ghareebon ke saath dekhoon
Inaan e kon o makan jo thamain
Kudal par bhi wo haath dekhoon
Lage jo mazdoor shah aisa
na zar na dhan sarbarah aisa
Falak nashin ka zameen pe ghar hai
Mera payamber azeem tar hai

Wo khalwaton main bhi saf basaf bhi
Wo is taraf bhi wo us taraf bhi
Mahaz o mimber thikane us ke
Wo sir ba sajda bhi sar ba kaf bhi
Kahin wo moti kahin sitara
Wo jame'iat ka ista'ara
Wo subhe tehzeeb ka gajar hai
Mera payamber azeem tar hai

Kamal e khallaq zat uski
Jamal e hasti hayat uski
Bashar nahin azmat e bashar hai
Mera payamber azeem tar hai

Recommended