• 9 years ago
Aligarh Review 2016 | Manoj Bajpayee, Rajkummar Rao

Release se pehle charcha mei bani film Aligarh aaj cinemagharon mei release ho gayi hai..aur is film ne sabke muh band kar diye hai kyunki Director hansal Mehta aur actor manoj bajpayee ne ye sabit kar diya hai ki film Aligarh mei aesa kuch bhi nahi hai jiske liye censor board ne ise A certificate diya hai..is film mei ek 64 saal ke vyakti Siras ki kahani byan ki gayi hai jiska naam Siras hai aur jo homosexual yani samlangik hai..is do ghante ki biopic film mei Hansal Mehta ne Gay Rights ke sabhi sides ko bht ache se dikhaya hai..Manoj Bajpayee Aligarh vishwavidyalya mei Marathi Vishay ke professer bane hai, lekin ek raat mei hi unki zindagi tehas nehas ho jati hai jab unhe kisi aadmi ke saath sex karte dekha gaya..jiske baad unhe college se nilambit kar diya jata hai..phir actor Rajkumar Rao ki entry hoti hai jo film mei ek patrakar bane hai jinka naam Deepu hai jo Siras ki zindagi par roshni dalte ahi..jahan Manoj aur Rajkumar ki jugalbandi film mei kamal ki lagi hai..hansal ne ek Samlangik ki aantrik bhavna, dard, pyar aur chahat ko manoj ke zariye bht ache se dikhaya hai jahan manoj ne apne lifetime ki best performance di hai..Well Aligarh ek serious cinema hai jise dekhne ke liye aapko dharya rakhna padega jahan Manoj bajpayee apni masumiyat se apaka dil jeet jeet liya hai..aur is behatrin film ko sabko zarur dekhni chahiye... Bollywood ke more updates ke liye dekhte rahe hamara channel..

Watch The Video To Know More!!

SUBSCRIBE To BollywoodEverywhere-
► https://goo.gl/1wOHB8

Stay Connected With Us On:
Website: http://studiozidrream.com/

Category

😹
Fun

Recommended