Jo Naam Wohi Pehchan Pakistan Pakistan by Nayyara Noor

  • 8 years ago
جو نام وہی پہچان پاکستان پاکستان
Jo naam wohi pehchan Pakistan Pakistan
Hamara des hai Pakistan, hamara des hai Pakistan
Hamara des hai Pakistan, hamara des hai Pakistan

Dunya bhar mein sab desiyon mein say acha naam hamara
Dunya bhar mein aman ki janib ik ik gaam hamara
Dunya bhar mein roshan hoga ik din kaam hamara
Quaid nay tareekh say larkar uncha kia nishan
Jo naam wohi pehchan, Pakistan Pakistan
Hamara des hai Pakistan, hamara des hai Pakistan
Logo apnay naam ko samjho is mein ajeb afsanah hai.
Mainay-o-matlab puch rahay kab in mein dhal jana hai
Pakistan ko jaan aur dil say Pakistan banana hai
Kar dena hai Pakistan par tann man dhan qurban
Jo naam wohi pehchan, Pakistan Pakistan
Hamara des hai Pakistan, hamara des hay Pakistan

Recommended