Main Rahoon Ya Na Rahoon Full Video - Emraan Hashmi - Esha Gupta - Amaal Mallik

  • 8 years ago
----LYRICS----

Main rahoon ya na rahoon
Tum mujh mein kahin baaki rehna
Mujhe neend aaye jo aakhiri
Tum khwabon mein aate rehna

Bas itna hai tumse kehna

Main rahoon ya na rahoon
Tum mujhme kahin baaki rehna

Kisi roz baarish jo aaye
Samajh lena boondon mein main hoon
Subah dhoop tumko sataaye
Samajh lena kirno mein main hoon

Kuch kahun ya na kahun
Tum mujhko sada sunte rehna

Bas itna hai tumse kehna

Hawaaon mein lipta hua main
Guzar jaaunga tumko chhu ke
Agar mann ho to rok lena
Thehar jaaunga in labon pe

Main dikhu ya na dikhu
Tum mujhko mehsoos karna

Bas itna hai tumse kehna

Hmm..

Bas itna hai tumse kehna

Main rahun ya na rahun
Tum mujh mein kahin baaki rehna..

Recommended