Wo Intehai Ishq Thi , Ya Noor E Be-Hisaab Tha Main Qaid O Band Se Azaad Us Sadi Main Tha Wo Dor E Mustafa Tha Main Madina E Nabi Main Tha
Aane Wale Dor Ka Hain Umati Gunahgaar Hind Se Ye Hain Hazoor Hain Magar Sayaah Kaar Muskra K Aapne Kaha Rokna Nahi Umati Hain Wo Bhi Aane Wale Dor Ka Te Huwa Asar K Baad Hogi Meri Haazri Roh Ba Roh Nabi K Pass Hogi Meri Haazri
Tasawur e Adalate Nabi Kiya To Darr Gaya K Jaa K Kiya Kahu Ga Main To Soch K Hi Marr Gaya
Sahabiye Rasool Ne Kaha K Beth Ja Yaha Mehfile Hazoor K Asool Seekh Le Zara
Bethna Sikha Rahe The Wo K Is Tarah Chal K Bhi Dikha Rahe The Wo K Is Tarah
ye Bhi Keh Rahe The Khaam Kha Se Mu Na Kholna Bol K Bata Rahe The K Is Tarah Se Bolna
Wo Khush Naseeb Log The Jo dor E Mustafa Main The Fiza Bhi Khush Naseeb Thi Zameen Bhi Kush Naseeb Thi
Naya Naya Sa Khila Khila Sa Neela Asmaan Tha Poorani Tarz Pe Bane Nae Nae Makaan The
Kahi Gharo Main Oont The Kahi Gharo Main Bakriya Pak Raha Tha Kuch Jaha Pe Jal Rahi Thi Lakriyaa
Itne Main Azaan Hui To Rongte Khare Huwe Dil K Jese Khul Gae Ho Taale Sab Pare Huwe
Wo Asmaan Ka Raag Tha Wo Dawat E Bilal Thi Mere Liye To Dawate Wisaaliye Jamaal Thi
Dho Liya Nahaa K Maine Wuzu Bhi Bana Liya Nisbate Hazoor Maine Ood Bhi Laga Liya,Ghar Se Hum Nikal Pare Sahabiye Hazoor K
Ja Rahe The sab Hi Simt Masjid e Hazoor K Wo Dharkane Ajeeb Thi Wo Kapkapi Kamaal Thi K Aankh Ashk Baar Thi Sarap E Malaal Thi
Rooh Thi K Deed Ki Tarap Tarap Tarap Tarap
Dil Mera Dharak Dharak Dharak Dharak
Har qadam Pe Ghat Raha Tha Faasla Hazoor Se Har Qadam Pe Ghat Raha Tha Faasla Hazoor Se