Tu Mera Yaar Nahi Lyrics+Video Full Song by Shaan from Hum Tum Dushman Dushman Movie | BW-Music

  • 9 years ago
Full Lyrics:
Hujoom khushiyon ka tumko itna mile
Gham guzarna bhi chaahe to rasta na mile

Tu mera yaar nahi, tu mera pyar nahi
Tu mera yaar nahi, tu mera pyar nahi
Tu kya chhodega mujhko
Tu kya chhodega mujhko
Maine tujhko chhod diya
Oh Rabba aaina dil ka tod diya
Haan tod diya
Oh Rabba aaina dil ka tod diya
Haan tod diya

Na hi nafrat, na mohabbat
Na shararat, na shikayat
Na hi nafrat, na mohabbat
Na shararat, na shikayat
Aaj hi ishq ki maut huyi hai
Ajab si ek paheli hai
Na janaaza, na hi doli
Na hi maatam, na rangoli
Tu dilruba, tu dil-nashin
Kissa hua purana
Ab hai yakeen dil na kahin
Ab humko hai lagana
Tu mera yaar nahi, tu mera pyar nahi
Tu kya chhodega mujhko
Tu kya chhodega mujhko
Maine tujhko chhod diya
Oh Rabba aaina dil ka tod diya
Haan tod diya

Na adaawat, na bagaawat
Na hi raahat, na qayamat
Na adaawat, na bagaawat
Na hi raahat, na qayamat
Aye Khuda kyon bewafa
Itne haseen hote hain
Husn waale, adaa waale
Ishq ki tu zaraa sunle
Na hi resham, na main sheesha
Faulad ka jigar hai
Rukta nahi tere liye
Yah zindagi safar hai
Tu wafaadar nahi, tu intezar nahi
Tu mera yaar nahi, tu mera pyar nahi
Tu kya chhodega mujhko
Tu kya chhodega mujhko
Maine tujhko chhod diya
Oh Rabba aaina dil ka tod diya
Haan tod diya
Oh Rabba aaina dil ka tod diya
Haan tod diya
Oh Rabba aaina dil ka tod diya

Recommended